°° AN ACCIDENT °°

879 75 4
                                    

Flashback continues.

(Sadak pr tree k girne py Karan car ko achanak teji sy mod deta hai jis vajah sy uska balance bigadta hai aur car palat kr sadak k dusri aur lgge tree sy ja kr takraati hai . Car k wheels abhi bhi hwa mei ghoom rhe hai. Teju accident ki vajah sy behosh ho gyi thi.

Flashback end

Mahir :- tum dono ka itna bda accident
hua tha. . . Aur yeh tumhare chot ky nishaan us din ki nishaani hai. . .. Haina?

Teju :- (apni baju ko dekhte hue) haan ab toh yeh nishaan bhi mitne lgge hai.
Mahir :- hmm.. Aur jab tumhe hosh aya toh fir kya hua.

Teju :- mujhe jab hosh aya toh mai seat belt mei atki hui ulti latak rhi thi. Maujhe yeh samajhne mei kuch seconds lgge ki abhi abhi kya hua hai. Maine apni nazre driving seat ki Or ghumayi toh sunny apni seat pr nhi tha ....maine usse boht awaazein di pr koi jwaab nhi aya
(tears rolling down her cheeks)

....car ka door bhi khula hua tha. Mai boht dar gyi thi ki bas mera sunny theek ho. Maine bdi mushkil sy seat belt htayi aur car sy bahr nikli. Bahr baarish aur bhi tej ho gyi thi aur itne andhere mei sirf car ki headlights he chl rhi thi.

Us light mei Maine dekha ki mujhe boht jagah chott lggi thi pr us wakt mujhe khud ki bilkul prvaah nhi thi. . . Mai car ki dusri taraf gyi toh vha boht bdi khayi thi . Hmari car ek tree k sahaare latki hui thi.

Mera dil beth gya tha is khyaal sy ki khi sunny ko kuch.. . .. Tabhi dbi aur karrahti hui sunny ki awaaz ayi.

Karan :- laddoo.. . Laddoo.. . Mai yha hu. . .niche..

Maine khayi k kinaare pr jhuk kr dekha toh toh kuch pal k liye jaise meri
heartbeat ruk hi gyi thi. Sunny ek pathar ko pakadkar khayi py jhool rha tha.


Uske right side pr collar bone k thora niche kaanch ka tukda lga hua tha jis vajah sy boht khoon nikl rha tha aur baarish k paani ki vajah sy uski white shirt red ho gyi thi.

Zakhm itna bda tha ki uska right hand hil bhi nhi pa rha tha. Mai kinaare pr jhuki aur uska left hand jo pathar pr tha pakad liya. Pr mai use upar nhi khich payi.

Shayd blood loss ki vajah sy meri body bhi weak ho gyi thi, pr fir bhi maine apni puri jaan lga kr uska hath pakda hua tha. Tbhi wo dard mei karrahta hua fir bola.

Karan :- ahh... Laddoo... Ahh Tu mujhe nhi khich payegi..... Mera hath chorr..
Teju:- uski yeh baat sunn kr Mera dil beth gya...aur sunny k sath bitaaye saare pal meri aakhon k samne sy guzar gye...aur fir

Teju :- nhi mai nhi chorugi.... Tum pagal
ho kya....koi hmari help jroor krega....

(Mai help k liye chillayi pr vha itne baarish aur tufaan mei, un barf sy dhaki pahadiyo mei hume sunne vala koi nhi tha.)



Karan :- laddoo.. Please kbhi toh maan liya kr meri baat... Dekh tu nhi choregi toh mai chor dunga.

Teju :- (rote hue) nhi...Nhi... Tum esa kuch nhi karogy... Tumne ajj he promise kiya tha na ki tum mera hath kabhi nhi
choro gy. . Toh fir... Tum apna promise aise nhi tod sakte.

(Mai boht ro rhi thi.... Aur fir sunny ny apni pakad dheeli kr di. )

Teju :- no no... Sunny please esa mat kro.. Mai tumhare bina nhi reh sakti please esa matt kro...

( Or maine aur bhi jor sy uska hath pakd liya. Pr dheere dheere uska hath fislne lgga . Uski aankhon mei aansu aa gye thy.

Karan :-(smiles with tear) i love you and
I'll miss you on flip side.

(Uske itna kehte kehte uska hath mere hath sy shoot gya tha. Us pal esa lgga jaise duniya rukk gyi ho.... Wakt dheema ho gya mei apne sunny ko girte hue dekh rhi thi.

Teju :- (chillate hue) sunnyyyyyy....

(Kuch pal mujhe yakeen he nhi hua ki wo insaan jise mai itna pyaar krti hu... Meri jaan basti hai jisme voh meri aankhon k samne khayi mei gir rha hai.

(Aur agle he pal wo meri nazron sy barf mei kahi gayab ho gya tha. Maine khud ko sambhala aur car ki taraf gyi usme phone dhundne lggi... Aur akhir mujhe phone mila aur maine apne baki dosto ko phone lga kr unhe btaya ki vha kya hua hai.

Mere aansu nhi ruk rhe thy aur na he ei bereham baarish. Mai vapis vhi kinaare pr beth kr andhere mei dekhne ki koshish krti rhi ki shyd vo dikh jaye e...Aur pta nhi kb mai vhi behosh ho gyi.



#tejran-LOVE TRAGEDY AND LOVEWhere stories live. Discover now