chapter 8

24 4 0
                                    

Zain ne khud par Kisi ki nazre mehsoos kar ka apni nazre mobile se hata kar idhar udhar dekhna chaha.
Pehle dai janib dekha toh wahan koi nhi tha aur nah koi aesi jagah thi jahan chup kar koi chup sake phir bai janib dekha wahan dur dur tak Kisi ke qadmo ke bhi nishan nah the. Woh samne dekhne hi laga ka uska mobile ring hua. Usne nazre jhuka kar caller id Dekhi 'mummy' usne forun call received kia aur apni chair pichei karkei uth khara hua or ek konei mei aa gaya
"Assalamualaikum mummy sab kheiryet hai abhi Kuch dair pehle hi toh bat hui thi humari....." lehje mei behad fikar Liye woh kehte hi jaa aaraha tha.
"Areyy bhaee saans Le lo thori tum, meine toh yeh kehne ka lie phone kia hai tumhari nani aa Rahi hai" dusri janib se bhot pur-josh awaz aay
"Oh such me!! Kab as Rahi hai" zain apni nani ka bhi bhot karib tha isi lie unke aane ki Khabar sunte hi usey bhi Khushi hui thi.
"Jab Tum log aaogei" unhone kaha
"Oh thik hai mei Azan aur Ali ko bata deta Hun woh bhot Khush hogei ka itne saloo bad nani jaan aarhi hai wese yeh ittifaq kese hua" akhiri jumla zain ne bari heirani aur tashwish se kaha
"Yeh toh jab tum log aogei tab hi pata chaleiga" unhone bhi barely razdana lekin garam-joshi se kaha
"Lagta hai Kuch bhot bari planning hone jaa Rahi hai" zain ka kehka ubhra tha
"Han han ab jao dawat enjoy kro aur han Azan or Ali ko kuch mat Bata es barey mei abhi ... Mera irada Tumhe bhi batane ka nhi tha lekin Kya karu tumse jab tak koi bat share nah kardu toh sukoon Kahan milta hai" akhiri jumla barii bechargi se kaha gaya jisse Zain ka laboo par muskurahat bikhair gayi "koi bat nhi mere lie yeh abhi bhi kisi surprise se Kam nhi hai" uske lehje mei apni maa ka lie mohabbat saf jhalak rahi thi
"Han han bas kardo Tum acha Leyla kesi hai tum mile usse" unhone pucha tha toh zain palta aur samne dekha lambe sayah baal khule hue the jinme Halka sa curls bhi tha, sayah rang ki long maxi mei ek larki khari Ali se kuch Keh rahi thi jispe Azan battisiya nikale hue tha phir kehke bhi Laga rha tha "Nhi mei toh nhi Mila Lekin apka dusra beta uske sath battiya Nikal kar khara hua hai aur kehke bhi Laga Raha hai"
"Han tum Keh toh aese Rahe ho Jese Tumhe pata nhi hai ka Azan Ahmed kitna bara chichora hai" unhone haste hue kaha toh Zain ka bhi kehka ubhra "Ap dunya ki pehli maa hogi jo Apne hi bete ko chichora kehti hai"
"Areyyy such hi toh kehti Hun"
"Han han bilkul wese yeh Leyla ko jante kese ha ap log" zain ne sawal kia toh thori dair pehle Zain ki maa has Rahi muskura Rahi thi ab aesa lagrha tha ka unke lab sil gai ho. Unke chehre ki muskurahat simat si gayi thi aur woh bhot sanjida bhi hogyi thi "beta usey tum bhi jantei ho"
"Lekin mujhe toh yad nhi parta aesaa kuch" usne nasamjhi se kaha
"Koi bat nhi jao event enjoy kro Allah Hafiz" unhone call kat di or na-janei kitni dair woh mobile ko ghurta raha ka tabhi usey phir se apne oper kisi ki nazro ka ehsaas honei laga.
Woh palta lekin wahan koi nhi tha ya shayad usne Kisi ko dekha hi nhi.
Woh apni jagah wapis aa beitha aur mobile pr nazre jamali ka usey phirse nazro ka ehsas hua Lekin es dafa in nazro mei Kuch tapish thi jisne usey majbur krdia sochne par. Iski aankhei besakta samne ki janib uthi.
Ek larki khari thi, uski aankhein bhuri thi aur unmei surkhi bhi thi.
Zain ki aankhein heirat se pheil gayi.
"Yeh...ye...yeh yahan kese" uske lab hilei.
Usei apni aankho par yakin nah hua.
Woh apne samne khari bhuri aankho wali larki ko beyakin nazro se dekhta raha.
Woh larki Apne qadam uthatei uske karib aanei lagi.
Zain apni kursi pichei karta khara hogaya.
Woh dono ab amne samne the.
Aankho mei aankhein dalei kharei the.
"Kese ho Zain" naram aur surili awaz Zain ki simato se takrai aur Zain ka rang bhak se uraaa, usne heirani se samne khari larki ke chehre ko dekha, sanjidah sa chehra 'yeh Mera khuwab nhi hai' woh ab uski aankho mei dekh raha tha, behad karib se, bhura rang, surkh lakeerei, sujii aankhein 'yeh haqeeqat hai.....' woh phatii phatii aankho se samne khare wajud ko dekhta gaya...

***************

.

ishq ka rang (ROMAN URDU/HINDI)Where stories live. Discover now