Chapter 14

353 26 2
                                    

Rakshit apna kaam start kar deta hai.. Meanwhile drishti apne room mei hai..

Drishti- Yeh rakshit sir ne khud ko kya samjh rakha hai? Kitna tight haath pakda tha.. Mujhe na baat hi nhi karni unse..
Tabh akal thikane aaygi.. Sadu akdu bedil kahike..

Rakshit ka kaam khatam ho jaata hai, aur abh lunch time ho jata hai.. Sabh log hall mei chale jaate hai.. Rakshit drishti ka intezaar kar raha hai.. Drishti niche aagayi hai.. Apne haath ke zakham ko baar baar dekh rahi hai.. Rakshit drishti ko dekh raha hai.. Aur drishti usse ignore kar rahi hai....

Rakshit-(in mind) Ms. Sood mujhe ignore kar rahi hai.. Mujhe kuch karna padega..

Drishti rakshit ke side mei aake khadi ho jaati hai..

Drishti- (in mind) Oh god! Sirf yahi jagah mili thi mujhe khade hone ke liye??
Mei jaa rahi hu yaha se

Rakshit-(in mind) yeh yaha khadi toh hogayi hai.. Bass jaani nhi chahiye..

Drishti waha se jaani wali hoti hai par rakshit uska haath pakad leta hai.. Wahi jagah jaha drishti ko chot lagi hai..

Drishti- Ahh.

Rakshit- Sorry Ms. Sood.. Mujhe nhi pata tha ki tumhare yeh haath pe chot lagi hai...

Mahima- Chalo sabh, khana tayaar hai..

Ojaswini- Ha bhabhi..

Sabh log khane ke liye beith jaate hai..

Simran- Mujhe aaj koi missing lag raha hai..

Rashi- Ha mujhe bhi, Aree D missing hai..

Divya- Hey guys!! Mujhe yaad kar rahe the?

Divya bahar shopping karne gai ti..

Ashlesha- D where where u? Aur itni saari bags? Kaha gai thi tum?

Divya- Aunty i went for shopping..

Ashlesha- Oh.. Nice.. Chalo abh aao khana khane ke liye..

Divya- Ya aunty, mei change karke aayi..

Mahima- Thik hai, tabh tak sabh khana shuru karo..

Divya change karke aajati hai aur khana khane beith jaati hai.... Lavanya abhi bhi ghussa hai.. Par rakshit ko koi farak nhi padh raha, usse drishti ki zyada parwah hai...

Lavanya- Simran rashi aur twinkle aaj tum meri help karogi mera room thoda clean karne mei.. Aur mujhe tum log ko bohot saari cheeze bhi toh dikhani hai..

Rashi- Mei aapki help karugi, bhabhi...

Simran- Mei bhi!!

Twinkle- Aur mei bhi!!

Lavanya- Gr8, khana khane ke baad chalte hai room saaf karne jaege..

Ashlesha- Aree Ms. PA tumhare haath par yeh chot kaise lag gayi....

Rakshit aur drishti ka expression change hojata hai..

Mahima- Aree haa beta, yeh kaise hua? Jaldi bhi nhi lagayi tumhe, rakshit beta Isko haldi laga dena khane ke baad..

Rakshit- Ha mom..

Drishti-(in mind) Rakshit sir hi mile the mam ko.. Ughh!!! Mei yaha unko ignore karne ka try kar rahi hu aur sabh log mujhe unke paas le jaa rahe hai..

Rakshit-(in mind) Ms. Sood ko haldi bhi laga duga aur sorry bhi bol duga..

Sabh ka khana hojata hai aur drishti kitchen mei khadi hai aur waha rakshit aa jata hai.. Drishti rakshit ke paas nhi dekh rahi hai..

Rakshit shelf mei se haldi nikalta hai aur thodi haldi haath mei leta hai drishti ko lagane ke liye..

Rakshit- Ms. Sood haath do apna..

Drishti bina kuch bole haath de deti hai.. Rakshit haldi lagana start karta hai.. Aur drishti ko thoda dukh raha hai toh woh uski aankhen tight band karti hai..

Rakshit- Ms. Sood, am sorry... Mera koi intention nhi tha tumhe hurt karne ka.. Abh bht hogaya.. Mujhe maaf kardo...

Drishti- Aur agar mei nhi karu toh?

Rakshit drishti ke aur paas jaata hai..

Rakshit- Toh mei tumhe tabh tak manauga jabh tak tum nhi manti, aur jabh tak tum nhi manti mei tumhe kitchen ke bahar nhi jaane duga..

Drishti- Toh aap zabardasti karege?

Rakshit- Tumhari maafi ke liye kuch bhi..

Drishti- Thik hai, Meine aapko maaf kiya..

Rakshit-(halki si smile deke) Thnku!

Drishti hass rahi hai...

Rakshit- Abh haso mat, aaj ka kaam baaki hai.. Chalo meeting room mei..

Drishti-(in mind) Aree yaar kaha se inhe maaf kar diya.. Wapas se kaam shuru ho jayga..

Rakshit- Drishti??

Drishti- Yes sir?

Rakshit- Yes kya yes, chalo kaam karne..

Drishti- Oh ha...

Rakshit aur drishti meeting room mei jaate hai.. Kaam karne ke liye..

Drishti- Waise mujhe puchna toh nhi chahiye par kya aapka aur lavanya ka jhagda khtm hogaya??

Rakshit kuch bolne hi wala hota ki lavanya waha aa jati hai... Usne sunn liya ki drishti ne kya pucha..

Lavanya- Nhi Ms. PA, jhagda nhi khtm hua.. Jhagda khtm karne ke liye kuch efforts lene padte hai.. Joh kisi ne liye nhi..

Lavanya ne yeh rakshit ke paas dekhke bola.. M

Rakshit- Lavanya agar tumhari pakau baatein khtm hogayi ho toh mei aur Ms. PA kaam start kare...

Lavanya- Ya sure, sorry fr disturbing..

Rakshit- Thnku

Lavanya waha se ghusse mei chali jaati hai apne room mei aur Rakshit drishti kaam shuru kar dete hai..

Lavanya- Yeh rakshit ko pakka kuch hua hai, kal bhi mein usko observe kar rahi thi.. Woh alag behave kar raha tha.. Aur Ms. PA rakshit ko ignore kar rahi thi.. Par abhi sabh thik lag raha tha inke beech mei.. Rakshit pakka Ms. PA ko pasand karta hai..

Lavanya bed pe beithti hai aur woh roo rahi hai...

Lavanya- Yeh mere saath hi kyu hota hai?? Meine kya bigaada hai kisi ka...
Nhi nhi, rone se kuch nhi hoga. Mujhe koi plan sochna padega.. Drishti ko hamare life se nikalne ka plan sochna hoga mujhe.. Aise koi bhi mere aur rakshit ke beech mei nhi aa sakta..
"MS.PA, U JUST WAIT AND WATCH, MEI TUMHE YEH GHAR SE NIKALKAR HI RAHUGI"

Lavanya Plan soch rahi hai, meanwhile Drishti rakshit ka kaam hojata hai...

Rakshit- Ms. Sood, abhi ke liye kaam khtm ho chuka hai.. So u can rest till lunch time.. Lunch ke baad wapas se kaam shuru karege..

Drishti- Ok sir..

Drishti apne room mei jaati hai aur waha pe divya kuch dresses try kar rahi hai.. Aur joh dresses usse pasand nhi aaye woh usne zameen pe feke hai

Drishti- Ayee, yeh kya hai??!!

Divya- Kapde hai, dikhayi nhi deta kya??

Drishti- Tumne yeh dresses zameen pe kyu feke?? Tumhe room saaf rakhne ki aadat hi nhi hai na?! Manners naam ki cheez nhi hai tum mei..

Divya- Ha nhi hai mujh mei manners..
Abh mujhe disturb mat karo, mei dresses dekh rahi hu..

Drishti-(in mind) Aree iske Cupboard mei mujhe mumma ki photo mili thi.. Mei isse puchu kya ki agar woh divi hai kya??

Stay tuned for the next part..
Till then, bye!!!

Divya DrishtiWhere stories live. Discover now