"Maliha tum janti ho tumhara rishta aya hai.." sara maliha ko sanjeedgi se kehti hai.. maliha hath mai novel pkry asmaan ki taraf dekh rhi hoti hai.. "Malihaa..??" Sara buland awaaz mai uska naam pukarti hai..
"Haan sara sun liya rishta aya hai.." maliha ukhta kr kehti hai.. "Ammi ne uski tasveer dikhai hai mujhe.." Sara maliha ki taraf dekh kr kehti haii.. "Tasveer toh jese muft mai bant dete hain ye rishtay walay.." maliha novel ko dekhtay huye kehti haii..
"Maliha mujhe lagta hai maine is larkay ko kaheen dekha hai.." sara yaad krnay ki koshish krti hai.. "ohoo sara dekha bhi ho toh kiya ho gya.." maliha kehti hai.. "Ammi tumharay jawab ki muntazir hain.." sara maliha k siranay behethtay huye ehlaan krti hai..
"khala ammi ko kaho mujhe koi ehtraaz nhi.." maliha novel ka panna palat te huye apna jawab sunati hai.. "Maliha kam se kam dekh toh lo larka hai kon kiya karta hai..?" sara fikarmand hokr kehti hai.. "Ye sb faislay khala ammi k hain.. han lekin..." maliha rukti hai.. "Lekin kiya maliha..?" sara tajasus mai puchti hai..
"Lekinn mai ek dafa amma bi se zarur mashwara lungi.. unko tasweer dikhaoungi agr unhay pasand hua toh inkaar ka koi jawaaz hi nhi banta.." Maliha sara ko dekhtay huye kehti hai..
"Phir kab dikhaogi amma bi ko..?" sara sawaal krti hai.. "Woh jald hi chakkar lagayengi tab dikha dungi inshallah.." Maliha mutmaen hokr jawaab deti hai..
***************************************************
"Rishta behejwadiya tumne..?" Woh sawaal krti hain...
"Behejwa toh diya hai lekin mujhe kuch ajeeb lag rha hai.. Zafr nazr jhukaye kehta hai.. "Tum fikr nahi kro.. nikkah nhi krna prhega tumhay ussey.." Woh zafr ko yakeen dahani krwati hain.."Dekhien inkaar ab mai nhi krunga.. mai apni family ko let down nahi kr skhta.." zafr sanjeedgi se kehta hai.. "Inkaar humari taraf se hi hoga.." Woh zafr ko phir yakeen dahani karwati hain..
"Kiya apko yakeen hai shayaan is trhan pichay hat jayega.. or pehelay jesa ho jayega..?" zafr pareshan hokr sawaal krta hai.. "Pichay toh hatna prhega usko..magr.." Woh rukti hain.. "magr kiya amma bi..?" zafr buland awaaz mai puchta hai..
"magr woh pehelay jesa ho jaye iski koi wazahat nahi.." Amma bi zafr ko dekh kr kehti hain..
"Amma bi aap aisa kesay keh sakhti hain?? mujhe apna dost wapis chahiye.." zafr ankhon mai ansu liye kehta hai.. "Woh wapis wesa nhi ho payega.. Agr ussey.." amma bi rukti hain.. "ussey kiya amma bi?" zafr pareshan hokr puchta hai..
"Agr ussey maliha se mohabbat ho gai ho.." Amma bi muskura kr kehti hain.. "woh mar jayega amma bi lekin mohabbat nhi krega kisi aurat se.." zafr yakeen k sath kehta hai..
"KUCH KHAAS DILON KO ISHQ K EHLAAM HOTAY HAIN" Amma bi ye kehtay huye muskurati hain.. Or zafr hairat se unhien dekhta hai.. "WOH EK MAUJZA HAI.." Zafr ab bhi unhi ko dekh rha hota hai.. "MAUJZAY KAB AAM HOTAY HAIN..?" Amma bi ye kehtay huye hansti hain... Or itna buland hansti hain k kothay k bahir tak unki awaaz goonjhti hai..
Amma bi beshak mohabbat krnay wali khatoon thien.. Lekin kisi aisay mard ko aurat k peechay pagal hotay dekhna jinki woh zarra barabar izzat nhi krta.. Amma bi ko ek alag sa sukoon derha tha... jese unhon ne koi jeet hasil karli thi.. jese unhon ne apni saari tawaifon ka badla leliya tha jo shayaan ki wajah se dard mai tarapti thien..
Zafar ghabra kr wahan se uth khara hota hai.. "zafar tumharay dost ko mai kabhi uska maqsad nhi hasil karnay dungi.. meri ye baat yaad rkhna tum.." Amma bi zafr ki ankhon mai dekh kr sanjeedgi se kehti hain..
Zafar bina kuch kahay wahan se chala jata hai.. Or ussey ab maliha k ghar rishta behejwanay pr sakht pachtawa hota hai.. Lekin baat ab uskay pachtaway se bohat agay nikal chuki thi... Zafr ne shayaan ki khatir apnay ammi abbu ko maliha k ghar rishta lekr janay pr raazi kiya tha.. Uskay abbu ko gareeb gharanay mai rishta karna sakht nagawarah tha jiski wajah se woh maliha k ghar pr bhi nhi gaye thay.. Lekin apnay betay ki mohabbat ki khatir razamand ho gaye thy..
***************************************************
"Amma bi mai janti hun ek na ek din mujhe shaadi krni prhegi.. Lekin mai Aslam k ilawa kisi ko us darjay pr nhi rkh skhti.." Maliha udaasi se izhar krti hai.. "Meri jaan ye larka bohat piyara hai.. Isko haan krdo tum.." Amma bi maliha k baalon mai hath phertay huye kehti hain..
"Kiya aap bhi yehi chahti hainn..?" Maliha amma bi se sawaal krti h.. "haaan maliha mai jald se jald tumhari shadi hotay dekhna chahti hun.." Amma bi mukuratay huye kehti hain..
"Agr aap sach mai aisa chahti hain.. toh smjhien apki beti ne apki baat maan li hai.." Maliha rotay huye kehti hai.. "Meri jaan rona toh band kro.." Amma bi maliha ki ankhon se ansu saaf krty huye kehti hain..
"Ye khushi k ansu hain.. Bs Allah kry ye larka paak ho.. namazi ho.." maliha amma bi ko dekhtay huye kehti hai.. "Paak auraton k liye paak mard hi hotay hain.. tum hum mai se nhi ho maliha tumhay paak insaan hi milega.." Amma bi maliha k chehray pr haath phertay huye kehti hain..
"Aap mujhse kaheen ziyada achi hain amma bi.." maliha amma bi ki godh mai sar rkh krtay huye izhaar krti hai.. Or amma bi is baat ka koi jawab nhi de patien.. woh maliha ki shayaan se jaan churanay k liye ye khel racha rhi thien.. Lekin woh ye bhi smjh gai thien k maliha ko is rishtay se ummedien wabasta horhi hain..
***************************************************
"Shayaan.." Dadaji shayaan se mez pr khana khatay huye mukhatib hotay hain "Jee dadaji" Shayaan apni plate mai prhay khanay ko dekhtay huye jawab deta hai "Khana kyun nhi kha rhy ho..?" dada ji lukma mou mai daltay huye sawaal krty hain..
"Dada ji khanay hi laga tha bs.." Shayaan nazrien neechay rkhtay huye hi jawab deta hai "Itna waqt ho gaya zafr ne bhi chakkar nhi lagaya... Sb theek hai na beta..?" dada ji fikarmandi se sawaal krty hain... "jee dada ji sb theek hai bs woh kuch masroof rehta hai.." shayaan roti ka tukra apnay mou k kareeb latay huye kehta hai
"Shayaan.. tu theek nhi lag rha mujhe.." dada ki shayaan k hath se roti ka tukra cheentay huye kehtay hain.. "Mai na khaoun tb apko masla hota hai.. ab kha raha hn toh lukma mere hath se cheen liya hai!" shayaan ghussay se kehta hai...
"Ye roti ka lukma hota toh nhi cheenta.. Dehan se dekho kagaz kab se roti honay laga..?" dada ji shayaan k samnay woh kagaz ka tukra rkhty huye kehtay hain jo kuch dair pehelay shayaan roti smjh kr khanay wala tha..
Shayaan dada ji ki traf sharmindagi se dekhta hai.. "Mai araahm karna chahta hn thori dair.." shayan dada ji se kehta hai or mez se uth kr apnay kamray mai chala jata hai..
****
"Aurat h woh shayaan aurat!" shayaan sheeshay mai khud ko dekh kr yaad dahani krawata hai.. "Woh kyun har jagah h..? woh kyun..." shayaan samnay behethi larki ki pusht ko dekh kr rukta hai.. jisnay safaid kameez or sharara pehena hota hai.. Uskay hath mai laal churiyan hoti hain..
"Tum phir agai ho..?" shayaan zameen pr mayusi se beheth jata hai.. "Maliha... Tum kese ajati ho mere kamray mai.. kese ajati ho tum mere zehen mai...? Or kese ajaati ho mere dil maii..?" shayaan ankhon mai ansu liye samnay behethi lrki se puchta hai "Jawab dooo!" Ab shayaan bohat zor se cheekhta hai...
"kiya hua hai shayaan..??" dadaji pareshani se shayaan k kamray mai dakhil hotay hain.. "Dada ji us se kahien jawab de mujhe.. woh roz ajati hai pr koi jawab nhi deti.." shayaan dadaji k galay lag kr bachon ki trhan rotay huye unsay guzarish krta hai..
"yehan koi nahi h shayaan kon jawaab dega..?" Dada ji shayaan k chehray pr haath phertay huye kehtay hain..
"Woh rhi samnay.. mal.." shayaan rukta hai jab ussey andaza hota h k samnay waqai koi nahi hai.."Dada ji woh abhi yaheen thi.. aap mujhse kasam uthalien woh yaheen thi.." shayaan dada ji ko yakeen dhilanay ki koshish krta hai.. "Shayaan tum araahm kro.. tumhay araahm ki zarurat hai.." dada ji shayaan k baalon mai hath phertay huye kehtay hain or us ko zameen se utha kr bistr ki taraf lejatay hain..
"Dada ji please mera yakeen krien.." shayaan khauf k alaam mai kehta hai.."so jao shayaan..Mai tumharay pas hi hun abhi.." dada ji shayaan k sar sehlatay huye kehtay hain.. Or shayaan chat ko dekhtay dekhtay unkay sirhanay hi so jata hai..
***************************************************