Chapter 18 Farz aur haqq

315 26 5
                                    

Sameer moved forward instructing Naina : Naina main gadi nikal raha hun , tum aao.

Naina stopped him that halted Sameer and he turned to look at her. Her face expressed several emotions from confusion to  shock and hopelessness , from gratitude to anger all mixed up.
He went to her and asked her softly if she was fine.

Naina hesitated but uttered softly  : Sameer , aaj jo tumne kiya uske liye thank you. Par papa ne jo tumse kaha ,wo maine socha nahi tha. Tum unki baaton ka bura mat manna.

Sameer got confused abd went closer to her : Naina tum kya bol rahi ho ? Aur main bura kis baat ka manunga. Kal raat main khud tumse keh raha tha ki ek na ek din tumhare papa se milunga ,par  ye kabhi nahi socha tha ki wo khud hi tumhara hath mere hath me denge. Naina hume toh khush hona chahiye.....I mean wo bimar hai isiliye nahi ,balki  unhone  humare riahte ko sweekar kiya isiliye.

Naina hesitated a little and then continued : Papa ne shayad jazbat me aa ke keh diya hoga. Shayad unhe darr bhaith gaya hoga ki ....ki unke baad mera kya hoga.

Sameer  : Unhe kuch nahi hoga. Wo thik ho jayenge. Par tum kehna kya chahti ho ?

Naina hesitated for a moment but gathered courage to speak : Tum ...papa ki baaton ko ...seriously mat lo. Bhul jao  ...jo bhi unhone kaha. Aisi koi baat nahi hai.  ....wo bas meri chinta kar rahe the. Wo tumhe thik se jante bhi nahi hai. Aur abhi mujhe bas Papa ko thik hote dekhna hai. Uske alawa mujhe kuch nahi chahiye.

Sameer held her hand and took her to his car and made her sit on the passenger seat. Naina surprisingly followed him. Once they were seated Sameer started the engine and continued to drive. Naina couldnt understand his reaction but waited patiently. After driving for few minutes ,he halted the car in the parking area of a community park and looked at her with a stern face that made Naina also a bit nervous.

Sameer : Ab bolo , kya kehna chahti ho. Mujhe wahan hospital me koi tamasha nahi chahiye tha. Main nahi chahta tha ki mere ya tumhare jaan pehchan walon me se koi bhi hume jhagda karte dekhe....Toh bolo...jo bolna hai saaf saaf bolo. Main sun raha hun.

Naina (nervously) : Sameer ....main....main ye keh rahi hun ki ....ki  tum Papa wali baat bhul jao . Mujhe kisi se koi shadi nahi karni hai .

Sameer looked at her for a  minute without moving his gaze and said : Ek insan jisey apni zindagi ka darr ho , wo apni eklauti kuwari jawan beti ka hath kisi ke hath me de de ,toh ye koi choti baat nahi hai . Aur tum keh rahi ho ki unki baat ko main seriously nahi lun..... Naina jiski tum baat kar rahi ho ,wo tumhare papa hai , aur jis insan ke hath me unhone tumhara hath diya hai wo main hun. ....Haan wahi insan jisse tum aaj naraz ho par isi insan ke liye tumne aaj tak kisi aur se shadi nahi ki.

Naina interuppted : aisa kuch nahi hai.

Sameer retorted sternly : aisa hi hai .....tum duniya ko kahani bana ke suna sakti ho par apno ko nahi....aur mujhe toh bilkul bhi nahi.....Naina tum apne gusse me ye tak nahi samajh pa rahi ho ki kya sahi hai aur kya galat. Arey mera nahi toh kam se kam apne Papa ke barey me toh socho....kya beet rahi hogi unke dil pe jab unhe attack hua hoga. Wo har saans ke sath yahi soch rahe honge ki agar unhe kuch ho gaya toh tumhara kya hoga. Kiske sahare tumhe chor k jayenge.

Naina looked at him nervously with a horrified look.

Sameer : Naina , ek baar soch ke dekho ki agar kuch galat ho jata toh kya tum ye bardasht kar pati.

Naina got horrified and seeing to this he continued : Sehem gayi na....Ab ye socho ki agar aisi situation me unhone tumhara hath mere hath me na de ke, kisi aur ke hath me diya hota, toh tum kya karti ....?

Naina gasped and took her gaze down but remained quiet.

Sameer : Naina ye waqt insab baaton ka nahi hai , filhal hume papa ke barey me sochna hai . Aur unhone tumhari zimmedari mujhe saupi hai.

Maine Kiya Hai IntzarWhere stories live. Discover now