وقت

262 32 60
                                    


Waqt, umar qeyd, aur teri muhabbat,
lamhey sab beet gye pr yeh shiddat

baki reh gyi, ek deewangi bn gyi
lbon pr tere ishq ki bs khwahish reh gyi

kya manu in fasloon ko, jo tuu na baqi reh gyi
mere dill mein teri justuju, ragon mein tuu bharpoor

pr yeh azamaish, hamein barbaad kr chali
jo khayanat tuu ney kii, woh wahid rehh chukki.

khwaboon ko kyun kiya yun choor?
kyun huye tum ham sey yun door?

Kya yeh nazdikiyan na thin tujhey manzoor?
Akhir kya thaa meri muhabbat ka kasoor?

Kaash k tu hoti yhan, krti seraab mera jahan,
dukh jo diye, in zakhmon ka bnti makaan

meri rooh ki aarzo ka bnti samaan,
tuu hi azal, tuu hi akhir, pr tuu hei kahan?

AFSANA |  اردو شاعریWhere stories live. Discover now