2

324 62 5
                                    

As per the plan,

Today malhotra's and wagle's are going to meet for the dinner.

vivaan and sakhi was very excited especially vivaan.

vivaan came out of the room getting ready.

(guys I don't know the name of vivaan's parents names so assume their names as Ayushmaan and mihika)

mihika : vivaan sakhi ko phone karo pata karo kaha pohoche?

vivaan : mom maine pehle hi kar diya hai woh log raaste mein hi hai aate hi honge.

doorbell rang,

vivaan : lagta hai aa gaye.

he opened the door and found rajesh vandana sakhi atharva.

viv : hi, welcome.

ayushman : welcome Mr and Mrs wagle, aapke parents nahi aaye.

vandana : woh maa ki tabiyat thik nahi thi isiliye unhe chod kar papa bhi nahi aaye lekin unhone aapke liye gifts bhijwaye hai aur kaha hai next time zarur aayenge.

mihika : gifts ki kya zarurt thi vandana ji.

vandana : mihika ji agar aap log humare ghar aate toh kya aap gifts nahi laate, I know zarur laate.

ayushman : okay aaiye baithiye, hi atharva.

atharva : hi uncle.

mihika : hi sakhi.

she hugged her.

sakhi : kaise hai aap log.

ayushman : ekdum fit and fine.

servant served them water.

they talked for some time and then sat for dinner. sakhi and vivaan served.

His parents smiled.

ayushman : see I told you dekho kitna khush hai sakhi ke saath, mujhe toh yaad nahi hai ki anvita ki baat karte waqt kab uske chehre pe smile rahi hai.

mihika : you were right.

they had their dinner.

ayushman : vivaan tum sakhi aur atharva jaake video games kyu nahi khelte yaha waise bhi bore ho jaoge.

they laughed.

atharva : I agree.

vivaan : accha thik hai lets go bro chalo sakhi.

they went to vivaan's room.

rajesh and vandana noticed them little hesitated.

rajesh : kya hua ayushman ji kuch hua hai kya.

ayaushman : rajesh ji hume aap logo se kuch baat karni hai agar aap log bura na maane toh.

vandana : kahiye na.

ayushman : uh, woh hum soch rahe the ki humare bete ke liye hume sakhi bohot pasand hai, agar aap logo ko koi dikkat na ho toh...

rajesh and vandana were totally shocked.

vandana : mihika ji dono chote hai abhi.

ayushman : I know aaj ki generation mein yeh umar bhi kam hai shaadi ke liye lekin sakhi job karti hai vivaan ne bhi apna khud ka startup shuru kar diya hai aur aisa bhi nahi hai ki shaadi kal hi ho jayegi hum soch toh sakte hai na, kya hua rajesh ji.

rajesh : woh main..

mihika : dekhiye hum samajh sakte hai ki ek ladki ke parents hona aasan nahi hai, bohot saari chinta hoti hai aur hum yeh nahi keh rahe ki aapko humari baat maan ni hi hogi, bass ek baar soch kar dekhiye, hume toh sakhi bohot pasand hai, humare liye vivaan aur sakhi mein koi fark nahi hai, beti hi hai humari, phir bhi aakhri faisla aapka hoga.

they nodded.

Inside the room,

atharva was playing video game while sakhi was standing in the balcony, vivaan came to her.

vivaan : kya soch rahi ho sakh.

sakhi : kuch nahi woh main ek assignment ke baare mein soch rahi thi.

vivaan : tumhe jhuth bolna nahi aata sakh, aur khaas kar mere saath bilkul bhi nahi bolo na, lekin usse pehle meri baat ka jawab do why are you ignoring me?

sakhi : tum uss din ghar par bhi mujhse yehi sawal kar rahe the lekin maine tumhe ignore kab kiya.

vivaan : accha nahi kiya toh mere messages ka reply kyu nahi karti aur jab bhi main koi plan banata hu you never agree for it.

sakhi : vivaan tum acchi tarah se jaante ho main yeh kyu karti hu.

he pulled her to himself. she looked at atharva.

vivaan : busy hai woh, aur main nahi jaanta tum aisa kyu kar rahi ho batao mujhe.

sakhi : kyuki anvita ko pasand nahi hai.

vivaan : what?

sakhi : kyu tum nahi jaante kitni baar woh khud clear kar chuki hai ki usse pasand nahi hai mera tumhare aas pass rehna.

vivaan : lekin mujhe pasand hai sakhi tum meri best friend ho aur main apni life mein kisse baat karta hu kisse nahi yeh anvita decide nahi kar sakti.

sakhi : sabke saamne apni insult karwane se accha yeh hai ki main waha aau hi nahi, jab anvita sabke saamne mujhe taunt karti hai na toh dil par lagta hai vivaan, woh yeh jatati hai ki I throw myself on you, tumhe pata bhi hai kitni hurtful hoti hai woh feeling, aapko khud se hi disgust hone lagta hai ki koi aapke baare mein aisa soch bhi sakta hai, I admit, aaj main finally admit karti hu ki yes I have feelings for you that too more than a friend, par haa vivaan meri feelings mere self respect se badi nahi hai jisse aaye din anvita hurt karti hai, hum middle class walo ke pass na sirf ek self respect hi hoti hai jo hume paiso se zyada pyari hoti hai isiliye vivaan sahi yehi hoga ki hum durr rahe inme hi sabki bhalai hai.

vivaan : apne baare mein sochti ho, anvita ke baare mein sochti ho lekin mere baare mein nahi, sakhi you are my first ever best friend, anvita se pehle aayi thi tum meri zindagi mein, I need you sakhi.

sakhi : I am sorry vivaan I can't do this.

he left her.

vivaan : okay.

---------------------------------------

At night,

rajesh was thinking about the proposal

vandana : abhi bhi ussi baare mein soch rahe ho?

rajesh : vandu woh.

vandana : ek baat kahu raj, tum na vivaan se ukhde ukhde isiliye nahi rehte ki woh accha nahi hai balki isliye rehte ho kyuki woh tumahri beti ki life mein utni hi importance rakhta hai jitna ki tum, aur harr pita ki zindagi mein yeh pal aata hai raj, raj now you have to accept the reality, jab beti pehla kadam chalti hai na tabse hi maa baap ko pata hota hai ki yeh kadam ghar se bahar jaane ke  liye uth chuke hai.

he looked at her.

vandana : frankly speaking raj, mujhe toh vivaan mein koi burai nazar nahi aati, accha ladka hai, humari maa papa ki kitni respect karta hai atharva ka best buddy, sakhi ko jab bhi koi problem hui hai vivaan ne dhaal bann kar uska saath diya hai, aur vivaan ke parents bhi kitne acche hai, sakhi ko already apni beti maan chuke hai, maa baap ko aur kya chahiye raj ki jiss ghar mein unki beti jaa rahi hai woh usse bahu nahi beti bana kar rakhe jaise maa papa ne mujhe aur vidya ko rakha hai.

raj : vandu tum sahi keh rahi ho toh kya hume.

vandana : haa raj, dekho acche rishte na harr kisi ko naseeb nahi hote.

he nodded.

Vivaan and sakhiWhere stories live. Discover now