Ghazal mai likhunga tu andaz ban ja,
Karunga mai aakhir tu aaghaz ban ja,Nayaab Har shaye chupi hogi isme,
Qalam hogi meri tu alfaaz ban ja,Parhey Jisko duniya lage gungunane,
Wo laye hogi meri tu aawaaz ban ja,Ajib hogi dhun aur ghazab taal hogi,
Mai sur usko dunga tu bas saaz ban ja,Kalam-e-ghazal ka hai unwaan Baaqi,
Shakal dunga mai tu saraghaaz ban ja,Ghazal hogi teri takhallus bhi tera,
Ye ek raaz hoga tu hamraaz ban ja...Aaghaz:- shuruaat
Nayaab :- unique
Shaye :- things
Saaz:- instrument (musical)
Unwaan :- topic
Saraghaaz :- top most title
Takhallus :- Pen name
YOU ARE READING
Aswaat-e-Ahmad
PoetryIt's a book which contains all the poems of ahmad mirani..Ahmad_Mirani is an aspiring urdu poet. He loves to write mainly nazm. But he also wrotes some other type of poetry... Like GHAZAL, RUBAI, HAMD, NAAT, MANQABAT, ASHAAR etc.. People who are in...