Mr &Mrs(R)

2.1K 89 47
                                    

Aj chutti ka din tha.........baqi dino k baraks wo chutti k din dair se jagta tha.......safaid shalwar kameez mae malbus....is waqt bhi wo nashta karnay k liye dining room ki taraf barh raha tha jab uski nazar kitchen mae kam karti safeena par pari....wo muskurata hua kitchen ki janib aa gaya

"Mama ap yahan kiya kar rahi hain?" Unko kandhon se thamtay huay us ne un ki peshani par bosa diya tha.......safeena jo pratha bana rahi thin muskura di

"Nashta bana rahi hun......"

"Ap q bana rahi hain?......kahan hai apki wo ladli bahu? Wo q nahi bana rahi?" Hath bandhtay huay us ne masnui ghussay se kaha tha

"Wo mulazima se saaf safai karwa rahi hai......."

"Aj saman apnay ghar ja rahi hai" plate mae pratha nikaltay huay safeena ne itla di thi

"Oh shukar hai.......azab se jan chut rahi hai" us ne shukar kartay huay mu pe hath phaira to safeena ne usay ghoora tha

"Aliyan.......esay nahi kehtay"

"Koi baat nahi anti.......mae ne bilkul bhi bura nahi mana........" Red suit mae malbus,khulay baal,muskurati hui wo kitchen k darwazay mae khari thi,aliyan or safeena ne uski janib rukh mora

"Suchi baat ka kiya bura manana" aliyan ne benayazi se kandhay achka diye

"Toooo.......tumhari nazar mae......mae ek......azab hun" shelf pe pari tokri se saib uthatay huay us ne khana shuru kiya tha.....sath hi sath aliyan ki janib qadam bhi barha diye

"Han.....ek bohat bara azab" itmenan se itla di gae thi,safeena nashta liye dining hall chali gae thin

"Hmmm.......thanks" wo phir se muskurai thi,aliyan ne mashkook nazron se usay daikha tha

"Mtlb k mae jiski bhi zindagi mae shamil hun gi......wo azab ban jaye gi?" Wo kuch sochti hui sawal kar rahi thi,aliyan ki pursoch nazrain us pe jami thin.........wo zaroor kuch ulta sidha plan kar rahi thi......akhir ko ali ki behan thi......sidhay kam ki us se tawako rakhna bekar tha

"Tum kiya soch rahi ho?" Aliyan ka lehja bhi nazron ki tarhan mashkook hua tha

"Mae? Mae kuch nahi soch rahi" us ne saib ki bite letay huay shanay achkaye thay

"A friend in need is a friend indeed........ Ye jumal to tum ne suna hi hoga" wo uski ankhon mae daikhtay huay keh raha tha......jesay parhnay ki koshish kar raha ho

"Suna kai bar hai.....par esa dost kabhi mila nahi mujhay........" Uska lehja badla tha

"You can trust me" aliyan ki baat sun k wo muskura di

"I trust you......don't worry" us ne aliyan ka kandha thapka tha

"Saman........kuch garbar hai tumharay sath........ I am dam sure about that........tum bata do to behtar hoga.......agar mujhay kahin or se pata chala to shyd mae tumhari koi madad na kar sakun" aliyan ka lehja sakht tha......saman ka dil chaha us se apnay dil ki baat keh de........lekin dil mae ajeeb se waswason ne dera dala hua tha......wo chah kar bhi usay kuch bata nahi pai thi......ye mamla wo khud hal karna chahti thi

"Mae apni problems hal karna janti hun aliyan........lekin agar kabhi na hal kar saki to tum se zaroor kahun gi......or mae janti hun tum meri help zaroor karo gay......" Uski muskurahat bilkul pheeki or be rang thi,aliyan ko yaqeen ho gaya tha k wo kisi maslay mae hai lekin wo usay force bhi nahi kar sakta tha is liye khamosh ho gaya

"Ok.......jesay tumhay thk lagay......par meri baat yad rakhna........koi bhi baat ziyada dair tak chupi nahi rehti.......har raz k afshan honay ka ek waqt hota hai.......lekin zaroori nahi tab halat bhi hamaray haq mae hon......"

Meri ChahatWhere stories live. Discover now