Episode 3

77 5 3
                                    

"Zoyi Api, aj ap k students ni ayin gae"
Noor jo Zoya se balon per teal(oil) lagwa rhe thi, puchnae lagi..

"Ni, Amara log apne nan-e-haal gaye huae hain.. Atiqa ki tbyat theek ni thi..Malaika wagaira ka b aj koi family dinner tha" Zoya ne Noor ko sb ki aj na anay ki wajah btae.

"Api ap thak ni jati aik hi routine se, university se a kr tution phr mama ki boutique mei help krna, phr kitchen mei lag jana" Noor k sawal per Zoya muskaranae lagi.

"Noor, tm hr thoray arsay baad aik hi sawal duhrati ho"

"Kun k ap hmesha mje sahi jawab ni daiti, idhar udhar ki baatain kr k taal daiti hain" Noor ne masnoi khafgi k saath Zoya ko jawab dia.

"Meri jaan aise koi baat ni, ab tm kia chahti ho mei farigh bethe rahon.. Insan jb fariq bethta hai to fazul waswasay or khayalat usko ghair laitae hai.. isi lye mei farigh ni rehna chahti.. acha choro isae..
Mei namaz parh kr kitchen mein jaon gi salan rakhna hai, utho tm b namaz k lye.. " Zoya ne kamray ki taraf jatay hue noor ko kaha.

Jis ko achi khasi neend a gae thi sir ki malish krwa kr..

Fauzia(Mausi Maa) jo Zoya ko naye orders k baray mei btanae a rhe thi Noor ka sawal sun kr darwazae per hi ruk gaye.. Zoya k jawab sun kr un k chehray per aik udas muskarahat a gaye or wahin se office ki taraf palat gaye...

Woh janti thi sirf yeh waja hi ni thi..
Zoya ne buhat saal pehlay se hi tution parhana shuru kr dia tha.. woh bojh ni banna chahti thi kisi per b. Apni maa ki kuch savings per us ne matric tk taleem mukamal ki, baki kharchae tuition wagaira se nikal jatay. Matric mei achay marks ki waja se FSc mei usae scholarship ki bunyaad per admission mil gya.. FSc mei b us ne apni mehnat se achay marks liye. University k entry test achay marks ki waja se usae wahan b scholarship mil gaye..

Ab woh O, A levels k students ko b tuition parha laiti thi...
Woh hmesha se Mausi Maa ki ahsan mand thi k unhn ne usko rehnay k lye chatt di hui thii..
woh hmesha sochti thi k agar Mausi Maa ki family yah Afridi family na hotay to woh aj kahan hoti... Gyara saal ki bachi jis ka un k allawa koi na tha, agar woh na hotay to pata ni kis kis dar ki thokrain kha rhe hoti...

Maa k janay k baad in dono families k allawa iska or koi ni tha.. woh in sb ki ahsan maand thi, isi lye koshish krti thi k bojh na banay kisi per...
Yhe baatain kahin dafa sochtae huae zoya ko besakun kr jati.....

Mausi Maa k lye to Zoya aik support system thi. Shohar ki achanak wafat, fauzia or us k bachon k lye buhat bara sadma tha.. Dono bachay chotay thay. Nauman taqreeban dus saal ka tha.. Fauzia chah kr b apnae apko is sadmay se bahair na nikal pai.. Dono bachon k lye to Baap k saath Maa b kahin kho gaye thi.. Maa un k nazron k samnae hotay huae b wahan ni hoti thi... Fauzia sara din khamosh beth kr samnae dewaron ko takti rehti.. Aas pas ka koi hosh na tha.. woh bechari kia krti, wohi to us k lye aik mazbut sahara thay.

Fauzia ka bachpan mushkilat jheeltae guzara.. woh us k lye aik chaon thay, aisae chaon jo buhat pursakun or khusion bhari thi... un k wafat ko woh qabool ni kr pa rhe thi...

Is time zoya hi thi jis ne sb sambhala...woh sola saal ki ladki un sb k lye mazbut dewar sabit hui thi..us ne saray ghar ki zimadari sambhaal li thi..Noor or Nauman ko b masruf rakhae ki koshish krti...In sb mei Ambreen anni or un k bachon ne pura saath dia..

Arif sahab(fauzia k shohar) ka taluq aik khatay peetay khandan se tha..woh khud b aik achi post per thay.. apnae janay k baad b fauzia or bachon k naam per kafi kuch chor gaye thae.. Fauzia, Nauman or Noor ki zinadagion mei bs unhi ki kaami reh gaye thi..

Zoya ne Ambreen anni k saath mil kr fauzia ko b zindagi ki taraf lana shuru kr dia, jo baimaar rehnae lagi thi. waqt guzarta gya, zakham bhartae gaye. Fauzia kafi haad tk sambhal gaye thi lakin ab b woh jb akaili hoti to maazi ki yaadon mei chali jati thi...

Umeed-e-Seher (Part1)Where stories live. Discover now