40 Hadees

159 13 9
                                    

Salman (Razi Allahu anhu) kehte hai ki main ne Huzoor Aqdas (Sallallahu alaihi wasallam) se pucha ke wo 40 hadees ke baare me ye kaha hai ke jo unko yaad karle Jannat me dakhil hoga wo kya hai
To huzoor-e-akram (Sallallahu alaihi wasallam) ne irshaad farmaya ke
-


1. Allah per imaan lana yani uski zaat wa sifaat per

2. Aur Akhirat ke din per

3. Aur Farishton ke wajood per

4. Aur pehli kitabon per

5. Aur tamaam ambiya per

6. Aur marne ke baad dobara zindagi per

7. Aur taqdeer per koi bhala bura hota hai sab Allah hi ki taraf se hai

8. Aur Gawahi de is amr ki ke Allah ke siwa koi ma'bud nahi aur Aap (Sallallahu alaihi wasallam) Allah ke Sacche Rasool hai

9. Aur har namaz ke waqt kaamile wazu ko karke namaz ko qaim kare ye kaamile wazu kehlata hai

10. Aur Zakaat ada kare

11. Aur ramzan ke roze rakhe

12. Agar Maal ho to Hajj kare

13. 12 rakaat sunnatein moqqeda rozaana ada kare is ki tafseel dusri riwayat me is tarah aayi hai ke subah se pehle 2 rakaat , zuhr se qabl 4 rakaat , zuhr ke baad 2 rakaat , magrib baad 2 rakaat aur isha ke baad 2 rakaat

14. Aur witr ko kisi raat me na chode chonke waajib hai

15. Aur Allah ke sath kisi cheez ko shareek na kare

16. Apne waalidain ki na-farmani na kare

17. Aur zulm se yateem ka maal na khaye

18. Aur sharaab na piye

19. Zina na kare

20. Aur jhooti qasam na khaye

21. Jhooti gawahi na de

22. Khwahishaate nafsaaniyat per amal na kare

23. Musalman bhai ki geebat na kare

24. Afeefa aurat ko tohmat na lagaye , isi tarah afeefa mard ko

25. Apne musalman bhai se keena na kare

26. Lahu wa la'b me mashgool na ho

27. Tamashaiyyon me shareek na ho

28. Kisi pasta kadd ko aib ki niyat se thakna mat karo

29. Kisi ka mazaak na udhao

30. Na musalmaanon ke darmiyaan chugal khori kar

31. Aur har haal me Allah Jalla Shanahu ki nematon per us ka shukr ada kar

32. Bala aur musibat me Sabr kar

33. Aur Allah ke azaab se be-khauf mat ho

34. Aaza se kata taalluq na karo

35. Balke inke saath silah rehmi kar

36. Allah ke kisi makhlook ko laanat na kar

37. Subhan Allahi Alhamdulillahi La ilaha illallaahu Allahu Akbar , in alfaaz ka aksar wird rakha kar

38. Jumaah aur eidain me haazri mat chodo

39. Aur is baat ka yaqeen rakh jo takleef wa raahat tujhe pahuchi hai wo muqaddar me thi , jo milne wali na thi aur jo kuch nahi pahucha wo kisi tarah pahuchne wala na tha

40. Aur Qur'an Shareef ki tilawat kisi haal me bhi mat chod

Salman (Razi Allahu anhu) kehte hai ki main ne Huzoor Akram (Sallallahu alaihi wasallam) se pucha ke Jo shakhs isko yaad kare usko kya ajar milega .
Huzoor (Sallallahu alaihi wasallam) ne irshaad farmaya ke Haqq Subhana wa taqaddus iska ambiya aur ulma k saath hashar farmawenge.

40 HadeesWhere stories live. Discover now