Manik - puchogi nahi dad ne kya bola?
Nandini - manik yaha hum date par aaye hai naaki aapke kaam ke baare mein discuss karne....
Manik - u know what nandini... Just let it be coz tumhe kabhi nahi samajh aayega ke main yeh kyu kar raha hoon... Infact kya kabhi tumne Jaanne ki bhi koshish ki hai?
Nandini - nahi coz mujhe bta hai ke aap yeh sab apne aapko proove karne ke liye kar rahe ho nd i appreciate that but manik kitne time tk aap sirf apne kaam ko importance denge, kitne time tk mujhe aapka wait karna hoga? Aur aap puch rahe hai kya maine kabhi jaane ki koshish ki pr kya aapne kabhi btane ki koshish ki hai yaa kabhi aapne mere kaam ke baare mein yaa meri life ke baare mein jaane ki koshish ki hai?
Manik - first of all main yeh sirf mere liye nahi kar raha hoon yeh main humare liye bhi kar raha hoon. Main chahta hoon ke shaadi se pehle main itni tareeki kar loon ke main pure haq se tumhe apne ghar le aasaku. Main nahi chahta ke tumhe koi kahe ke yeh sab toh raj malhotra kaa bnaya hua hai joh manik malhotra ko sirf baithe baithe mila hai. Main chahta hoon ke mein kaabil banu tumhare liye (holding her hand) aur rahi baat tumse puchne ki toh tum nahi jaanti ke maine tumse baat karna kitna miss kiya hai par kya karu kuch n kuch bich mein aa jaata tha jisse baat hi nahi ho paati
Nandini - (removing her hands from his hold) aur iss bich aap yeh bhul gye ke sirf paise kamane se yaa bda naam karne se nahi hojaate kaabil, aap yeh bhul gye ke kissi bhi rishte mein sabse important hota hai time aur efforts ek dusre ke liye joh aapne karna chod diye bohat hi conveniently aapne khud har cheez ko humare bich aane diya
Manik - toh yeh joh main kar raha hoon woh efforts nahi toh kya hai.
Nandini - aur time? Time hai aapke pass mere liye?
Manik - yaar nandini main try toh kar raha hoon tumhe samjh kyu nahi aa raha
Nandini - mujhe sab samajh aa raha hai manik. Aap hi btaiye aap abhi jaha dream kar rahe hai company ko le jaane kaa waha tk abhi pohochi bhi nahi hai aur aapke pass mere liye itna bhi time nahi hai ke aap mujhse phone pr baat kar sake fir toh jab company waha par pohoch jaaegi tab toh naa jaane kya hoga. Ab aap mujhse 1 mahine ke baad milne aaye hai woh bhi MERE bulane pr tab toh aap saalbhar bhi mujhse naa mile
Manik - aisa nahi hai nandini..... You know what the problem is tum rehti hoon apne dreamland mein.... Tumhe lagta hai ke sab kuch Bollywood ki tarah hota hai jaha hero ghar kaam parivaar sab kuch perfectly sambhal lete hai par real life mein aisa nahi hota.
Nandini - wohi tob problem hai aapne maan liya hai ke aap nahi sambhaal sakte toh aapne koshish karna hi bnd kar diya hai
Manik - yaar nandini main har raat tumhe sone se pehle call karta hoon... Aur mujhe time hi nahi milta toh main kya karu
Nandini - wohi toh aapke pass mere liye... Infact mere liye kya kissi bhi rishte ke liye koi time nahi hai
Manik - (anger) toh tum kya chahti hoo kaam chod doon?
Nandini - (smiling sarcastically with pain)nahi mujhe chod do.....
A tear drop fell from her eye without her knowledge while manik was in a shock. Someone just pulled the floor beneath him. Never had he even thought about it.
Manik - (extremely low tone) what did you just say
Nandini - (nodded her head struggling to hold her tears back but failed coz they kept on falling like a stream) i don't think it will work between us.....
Manik - (calmed down a bit and held her by her arms ) nandini can't you just for once behave a bit more mature and talk
Nandini - u think i am immature?
YOU ARE READING
Destined To Love❤
FanfictionWhat happens when destiny plays games of Love and brings 2 strangers together in the form of arranged marriage? Will Cupid help them find Love? Would you believe if i say that the 2 people who keep on fighting over every silly reason are destined...