PART 16

381 42 13
                                    

After sometime they both were sitting in the tent and Roshni was in Aman's arms...they both were sitting in side the blanket
Roshni - Khanbaba aapko nahi lagta hai ki humne galat kiya hai
Aman- matlab
Roshni - matlab dadi ne hume 10 din tak milne se mana kiya tha aur hum hai ki sabse chup chup ke mil rahe hai... mujhe bilkul bhi acha nhi lag raha hai
She started sobbing lightly
Aman- Roshni aap to kyu rahi hai... dekhiye aaj mujhe kaise bhi karke aapse milna hi tha aapko pata hai mujhe kitna bura laga tha us wakt jab main aapko balcony se dhakka de diya kehne ke liye to mazak mein le rahe the lekin mujhe kitna bura laga ye dekh kar ki aapko meri wajah se chot lagi...aapko kuch ho jata hai na Roshni to dard mujhe hota hai, humari rooh ek dusre se judi hui hai... main aapko nahi Kho sakta... pata hai roshni abbu ke jaane ke baad maine jeena lagbhag chod hi diya tha... main 17 saal ka tha jab abbu ka accident hua aur vo hume chod kar chale gaye the... main na apne doston se zyada baat karta tha na unke saath kahi jaata tha ghar par bhi bas ammi ke saamne khush hone ka naatak karta tha taki unko bura na lag jaye...sara saima bhi badi ho gayi thi jab badi ho gayi jab abbu hume chod kar gaye...vo dono 15 saal ki thi, main nahi chahta tha ki unhe abbu ki kami khale isiliye unke saath zyada se zyada wakt bitane ki koshish karta tha... par meri maa padhai ki vajah se mujhe London jana pada KYUKI main chahta tha ki jad se jald main kabil banu se ammi ko aaram dekar main business sambhal saku...aur phir jab main aapse mila na to meri life mein ek change aaya ek aisa change jisne mujhe vo pehle vala hasta khelta aman bana diya...aur agar aapko kuch ho gaya na Roshni to main apne aapko nhi sambhal paunga main mar jaunga...
Roshni was in tears after hearing how much he suffered and was also happy to hear that she is actually very important to him

Roshni just hugged Aman tightly burring his head in her chest and started consoling him as he was crying

Roshni-  Bas khanbaba shaant ho jaiye main aapko chod kar kahi nhi jaar rahi hi aur na kabhi jaaungi...'Roshni ki jaan chali jayegi par Roshni apne khanbaba ko chod kar kabhi nhi jayegi'

Roshni - Khanbaba bohut raat ho gayi hai chaliye ghar chalte hai
Aman - Theek hai Roshni main apko ghar chod deta hu chaliye
They both went to home
Next day,
They were talking on video call as it was allowed
Roshni - Khanbaba ab hum dono das din tak nahi milenge
Aman -Kyuuuuu*shouted*
Roshni - KYUKI dadi ne kaha hai na ki ye ek test hai to Hume bhi badi ki baat maanni chahiye aur Loyal rehkar puri emaandari ke saath test pura karna hai
Aman (sadly)- theek hai
Roshni - Aap sad kyu ho rahe hai khanbaba bas das din ki hi to baat hai uske baad 11th day to humare nikkah hai na to bas phir to Hume humesha saath hi rehna hai
Aman - Theek hai aapka Hukum sar akhon par
Roshni and Aman both laughed and talked for sometime
After 8 days
(In these days Neither Aman met Pravisht nor Roshni met Stuti as they both were out of town for some work nor they talked with each other due to their tight schedule so they didn't knew about Roshan's date at night)
Pravisht came to Aman
Pravisht- Kya hua bhai kya haal hai bhabhi maani ki nahi??
Aman- Maani ki nahi matlab
Pravisht- jo tune is din kaand kiya tha uske baad kya hua trailer to bohut darawna tha movie kaisi gayi... bhabhi ne zyada to nhi peeta na
Aman - koi pitai nahi hui meri balki movie to bohut hi romantic thi hum dono aadhi raat ko sabse chupte chupate bike par ek romantic si jagah par saath mein baith kar..,
Pravisht- Cheee...are bhai acha hua bhabhi maan gayi lekin itni details mein jaana achi baat nahi hai main bechara bhola bhala ladka kya kya suna raha hai tu mujhe
Aman - Abe o nautanki aisa kuch nahi hua hum dono bas baith ke baatein kar rahe the aur ek dusre ko aur achi tarah se jaanne ki koshish kar rahe the
Pravisht- ye to bohut achi baat hai ki tu bach gaya varna yaha to Stuti ne maar maar kar mera bhartha bana diya... yaar kya ladki hai matlab bhabhi ko to lagi bhi thi lekin tab bhi unhone tujhe maaf kar diya par Stuti ne to mujhe bina baat ke peet diya
Hence proved vo sach mein junglee billi hai
Aman- hahaha...bechara zyada lagi to nahi na
Pravisht- chup 😑😑
Aman- vaise tujhe Stuti pasand hai kya I mean...
Pravisht-*shouted*noooo
Pravisht- Haa mana ki humari dosti ho gayi hai par hai to vo abhi bhi junglee billi hi na main aur usse pyaar kabhi nahi ho sakta hai ye
Aman- par maine to tujhse pucha hi nahi ki tu usse pyaar karta hai ki nahi maine to bas itna pucha ki tujhe vo pasand hai ki nahi..
Pravisht-aaaa...aa.. mujhe dad ko call karna hai main abhi aata hu
And he left
On the other side
Roshni and Stuti were in a cafe in mall
Stuti - wow yaar jiju kitne romantic hai kitne pyaar se manaya tujhe unhone
Roshni - ye to hai
Pehle tu bata ki tu us ladke se mili ya nahi
Stuti- Haan yaar mili thi....Rishi naam hai uska matlab acha dikhta hai mature bhi hai... par ab dekhti hu abhi socha nahi hai...par haan koi vajah bhi nahi hai use naa karne ki
Roshni - koi baat nhi tu Aran se faisla lena kyuki le teri puri zindagi ka sawal hai
Stuti - hmm
On the other side
Arnav was planning something in the jail and sent some goons to kidnap Roshni

Here in the mall Roshni met some of her batchmates from her college in which one girl's name was Rhea and she was very selfish, arrogant kind of a girl and always thinks that she is the most beautiful and rich girl(in short self obsessed jo auro ko humesha neecha dikhaye)
In college no one knew that Roshni was Ahmad's daughter because she doesn't want to show off so everyone thought that Roshni was a simple girl and no one knew that she was the daughter of one of the greatest industrialists daughter and they didn't knew that she is going to marry Aman
Rhea - Hi Roshni
Roshni- hi Rhea
Rhea- kaisi ho tum aur yaha mall mein kya kar rahi ho tumhe pata hai na yaha par jo cheezein milti hai vo tum kabhi afford nahi kar sakti ho
Stuti- o hello tumhe pata hai tum kisse baat kar thi ho
Roshni- Stuti chup!! Haan Rhea mujhe pata hai ki main yaha kyu aayi hu aur main kya afford kar sakti hu aur kya nahi
Rhea- oh really!! Vaise tumhara fashion sense thoda theek hoga ya hai atleast college se to
Roshni's look

Other side
Aman also entered the same mall with pravisht far shopping as tomorrow was their sangeet

Ps :- Aman and Roshni both have bodyguards with them for security but they are little far away from them so no one knows that they are their bodyguards

Roshni - vo kya hai na Rhea meri shadi hai to bus shopping karne aayi thi
Rhea - oh congratulations!!! Vaise arrange marriage or love marriage... aa arrange hi hogi vaise kitna kamata hai tumhara hone vala husband
She started laughing aur uski do chamchiya jo uske saath aayi thi vo bhi hasne lagi
Stuti - Agar pata chala to tu seh nhi payegi
Roshni- Stuti ek min ruk... vo kya hai na Rhea main tumhari tarah insaan ka paisa nahi dekhti uska man dekhti hu to maine pocha nahi ki vo kitna kamate hai KYUKI kabhi zaroorat hi nahi padi
Rhea- oh yaa!!!
Aman and Pravisht saw them and went towards them
Aman(happily ) - Roshni
Roshni- Khanbaba!!! Aap yaha
They both hugged each other and Stuti and pravisht smiled seeing them
Rhea - Omg!!! Aman Junaid Khan aap yaha...
They both separated and Aman saw her
Aman- ji aap kaun??
Rhea- I am Rhea... and you know what I really have a crush on you you are so hot ,handsome I just love you and she hugged him
Whereas Roshni was fuming in anger and Aman was too uncomfortable
He just separated her from him and smiled hesitantly
Rhea - vaise aap Roshni ko kaise jaante hai
Aman - Aap Roshni ko jaanti hai??
Rhea- Haan hum saath mein college mein padhte the
Aman- to aap dono friends hain
Rhea- hahaha... nice joke main aur iski dost never,main bas apne status ke logo ke saath friendship karti hu
And this was it for Aman now he was really angry
Aman - excuse me...do you even know about whom you are talking about... meri mohabbat hai vo meri hone vali biwi
Rhea was shocked
Stuti - kaha tha na pata chalega to shock lagega

And suddenly Roshni's bodyguards came to them
B1 - Mam abhi Ahmad sir ka phone aaya tha unhone kaha ki aap dono jald se jald ghar aa jaye Arnav aapke khilaf kuch plan kar raha hai jisse aapko khatra hai
Aman and Pravisht- what!!!
Roshni-Par vo to jail mein hai
Stuti- exactly aur vo jail mein rehkar kya kar sakta hai shayad koi galat information hogi
B2- nahi Mam information bilkul sahi hai uske kuch Aadmi bahar hai jo uske liye kaam kar rahe hai
Rhea - Excuse me... Roshni tum koi celebrity nahi ho jo ye bodyguards lekar ghoom rahi ho
Now Aman was about to speak but her bodyguards spoke

Bodyguards- Excuse me... aap humare Mam se aise baat nahi kar sakti hai aap jaanti bhi hai ye kon hai India ke one of the best industrialist ki beti hai Roshni Ahmad
Rhea and her chamchis were again shocked
Rhea - T..um Ro...shni Ahmad ho
Roshni- haa hu par abhi mere pass in sab ka time nahi hai
Aman - Hume chalna chahie
And they all went outside with their bodyguards
Rhea aur uski chamchi thodi der shock mein rahi phir chali gayi...
Chapter samapt!!!
Huhh!!!
Longest chapter ever
Vote aur comment karke jaana nahi to agla update aur bhi late milega
😤😤😤

DESIRE'S PLAY✔️Where stories live. Discover now