"Ummeedon ka Khel - Tumse Pyaar Hai Mujhe"

95 8 6
                                    

Tumse pyar hai mujhe,
Lekin yeh ummeed na thi ki,
Tum bhi mujhse pyar karo,
Main har mushkil mein tumhare,
Saath rehna chahta hoon,
Lekin yeh ummeed na thi ki,
Tum bhi mere saath raho.

Main yeh ek tarfa pyar karta jaa raha hoon,
Pata nahi kyun, tumhare saath hi,
Accha lagta hai mujhe.
Main nazar andaaz bhi hona chahta hoon,
Sirf tumse hi,
Tumhara diya dard bhi mujhe,
Accha lagta hai.

Tumse baat karna,
Tumhari baat sunna,
Aise hi chalta rahe toh aur kya chahiye?
Mohabbat na mil saki toh kya ho gaya?
Mohabbat ho chuki hai,
Aur kya chahiye?

Main puchta hoon tumhara haal,
Fikar rehti hai tumhari,
Lekin yeh ummeed na thi ki,
Tum bhi mujhse poocho.
Main tumse mil liya karta hoon aksar,
Khawabo ke zariye,
Lekin yeh ummeed na thi ki,
Sach mein tum milo.

Main apni jaan kyun chidhakta hoon tumpe?
Jabki tumhari jaan toh,
Kisi aur mein basti hogi.
Pata nahi yeh kaisa jadoo hai tumhara,
Tum jaadoogar ho ek,
Aur tumhe iss baat ki bhi khabar nahi hogi

Main chahta hoon tumhe woh sab,
Mil jaaye jo tum chahti ho.
Tumhare saare sapne sach ho,
Mera kya hai, main toh tumhe dekh kar,
Khush ho jaata hoon.
Bas shart hai ki tum khush raho.

Main ek hi tasveer tumhari,
Hazaar baar dekhta hoon.
Phir hazaar baar dekhne ke baad bhi,
Baar baar dekhta hoon.

Tum kyun pareshan hoti ho,
Apni kamiyon ko lekar?
Tumhe khud se pyar ho jayega,
Bas dekho khud ko,
Jis nazar se main tumhe dekhta hoon.

Tumhare har sawaal ka jawaab,
Meri taraf se haan hoga.
Lekin yeh ummeed na thi ki,
Tum bhi mujhe haan karo.

Main apni saari mohabbat tum par,
Sirf tum par lutaana chahta hoon.
Lekin yeh ummeed na thi ki,
Tum bhi thoda pyar karo.

Kyunki jitna qismat mein hai,
Mil raha hai.
Maangne ki aadat nahi hai meri

Andekhi JhalakWhere stories live. Discover now