Agli Zindagi Mein Milunga Tumse

94 9 0
                                    

Iss Zindagi mein toh nahi ho payega
Par agli zindagi mein tumhe zaroor haasil karunga main

Abhi tumhe door se hi dekh leta hoon par agli baar
Wada hai tumhare saath hi dikhunga main

Tumhari lato ko kaano ke peeche karna hai
Jaise who kar raha hai
Mujhe chalna hai tumhare sang
Tumhara haath pakad ke
Jaise who chal raha hai

Maine dekha hai tumhe khwaab mein, tum acchi lagti ho mere saath
Par iss khwaab ka haqeeqat mein badalna
Iss Janam mein toh mushkil lag raha hai

Mein baitha rehta hoon
Aur sochta rehta hoon tumhe
Bohot der kar di tumse milne mein maine

Koi itna acha bhi lag sakta hai
Yeh tumhe dekh kar hi maloom pada

Ki ab tumhare alaawa saare chehre
Chubhte hai meri aankhon mein

Tumhari zubaan se apna
Naam sunna hai
Jaise usey pukaarti ho tum

Tum bhi dekho mujhe kabhi utni hi pyar se
Jaise usey nihaarti ho tum
Main banana chahta hoon tumhara
Tumhari sunni hai bak bak mujhe

Khushkismat hai woh kitna jisey apni baatein bataati ho tum

Tum ho nahi sakti meri
Par tumhare alaawa koi pasand bhi nahi aata

Ya durse shabdo mein keh sakte hain
Main khud hi kisi ko pasand karna nahi chahta
Bas ek din tumse baat karni hai baith ke
Bade bade khwaab dekh rakhe hain maine

Poore hone ki gunjaish nahi hai
Par ho gaye toh kya kya baat karunga tumse
Samajh bhi nahi aata
Mujhe wajah banna hai
Tumhari hasi ki

Jaise uski baton pe muskuraati ho tum
Sardiyon ki subha mein
Sair karni hai tumhare sang
Jaise uske saath
Tehelne jaati ho tum

Mujhe uski zindagi jeeni hai
Kyunki uski zindagi mein tum ho
Phir aur mushkilo se farq nahi padta
Phir toh kuch bhi aane do tum
Par mujhe pata hai
Iss zindagi mein toh nahi ho payega
Par agli zindagi mein
Tumhe zaroor haasil karunga main

Abhi tumhe door se hi dekh leta hoon
Par agli baar…
Wada hai tumhare saath hi dikhunga main

Andekhi JhalakOù les histoires vivent. Découvrez maintenant