Enough

1.7K 146 28
                                    

Continue from previous part

So let's start with the story

It has been 2 month now Sampurna is 3 month pregnant and in these 2 month every thing has changed Anirudh and Bondita had very distanced from each other and Manorama was doing the work of aag me ghee she was manipulating Bondita about Anirudh.... Anirudh and Manorama was acting like they were too close Manorama always make evil plan against Bondita and most of the time Bondita fell on the trap now Anirudh also start disbelieving Bondita

On evening when Bondita was preparing for dinner Manorama comes there and start talking with Bondita....... Bondita didn't pay attention to her but Manorama comes near her and took a kadhai full of hot oil and put some oil in her hand

Mano : Ahhh! Ahhhhhhh! Bondita tumne mere haath per teil kyu dala

Everyone comes there and sees the situation Anirudh quickly take her had

Ani : BONDITA ! yeh kya kiya tumne

Bon : Maine kuch nhi kiya Manorama ji jhooth bol

Ani : Agar Manorama jhooth bol rahi hai toh uska yeh jala hua haath bhi jhooth bol raha hai Bondita mujhe tumse yeh ummed nhi thi tum agar mujhese nafrat karti ho toh karo par mai yeh bilkul bardasht nhi karunga ki tum Manorama ko kuch bhi bolo ya...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Ani : Agar Manorama jhooth bol rahi hai toh uska yeh jala hua haath bhi jhooth bol raha hai Bondita mujhe tumse yeh ummed nhi thi tum agar mujhese nafrat karti ho toh karo par mai yeh bilkul bardasht nhi karunga ki tum Manorama ko kuch bhi bolo ya uske saath jo man me aaye woh kar

Anirudh aur bhi Bondita toh bohot kuch sunata hai but it is Enough for Bondita now she can't tolerate more

Bon : BUS!! BOHOT SUNLIYA MAINE AB AUR NAHI ! Mujhe Pehle se hi pata tha ki aap mujhpe bharoosa nhi karenge kisi aur ki baaton mai aakar mujhe chillane lagenge mujhe pata aur dekho wahi hua aap ko pata hai mujhe kya lagta tha ki aap baki aadmiyon ki tarah nhi hai par mai galat thi aap bhi unhi logo ki tarah hai jo aurton ko bas ek khelona samjhte unn k saath khela madora toda fek diya aur phir dusra le liya par aap ko pata hai mere pass dil bhi hai jo aap ne na jane kitni bar kitne tukro mai tod diya hai par aap ko kiya pata hoga aap toh bas unko ek khilona samajhte hai

Ani : BOND....(Shouts) (but cut by Bondita)

Bon : Chillaye mat chillana mujhe bhi aata hai Bas chota sa toh sansaar tha mera mai aur meri maa kitni kush thi mai par aap aapko meri kushi bhi bardasht nahi hui aaj aake wajah se meri maa se mai bhichad gai aapke wajah se mai unko ek bojh lagti hu kabhi kabhi toh lagata hai ki mai jee hi kyu rahi hu

Ani : Yeh kya bol rahi ho Bondita

Bon : Naam mat lijiye mera apne muh se mujhe khud se ghin aati hai ki maine aap jaise insaan par bharosa kiya... Bachpan se aaj tak maine aap ki baat bina rok tok kare mana sirf aapki nhi saab ki Kisi ne padhe ko kaha maine maan liya kisi ne ghar k kaam karne ko kaha maine bina kuch kahe man liya aur toh koi mujhse baat hi nhi karta tha phir kisi ne kaha ghar chod do maine chod diya phir kisi ne kaha barrister banne ko toh uss ka sapna apna sapna banaya aur ab mujhse keh rahe ho padhai chord doun par kisi ne mujhse pucha mai kya cahati hu pucha kisi ne nhi na mai toh chahati thi ki mai sab patni , bahu , baudi , dost , shishya(student) sab k farz nibha pau mai  sab karne k liye taiyar thi aur badle mai mai kya chahti thi kushi aur thoda sa pyaar par aap woh bhi nhi de paye aap ne hi toh kaha tha na ki jo insaan do shaadi karta hai toh woh pati toh kya insaan kehlata nhi hai aur dekho aaj apne hi do Shaadiya ki hai aap k liye yeh sab ek mazak hoga par yeh koi mazak nhi hai sharir mai lagi chot toh bhar jate hai par jo chot mere dil mai lagi hai na woh kabhi nhi bhar sakta hai roz roz mai ghut ghut k mar rahi are isse zyada achhe se toh mai Hiramandi jaise jagah mai thi kamse kam waha koi toh tha jis k saath mai apna dard baat sakti thi aap ko pata hai kya kya sunna pada hai mujhe.... Jab mai vidyalaya(school) jati hu sab mujhe tane marte hai khota sikka , Chodi hui patni , apshaguni , banjh aur bhi na jane kya kya sirf aapki wajah se bus dugga maa se yahi prathna karti hu ki jiss dard se mai juzri hu uss dard se us mentally torture kisi bhi aurat k saath na ho iss se achha toh uss din sati ho jati (while crying hard)

Anirudh was feeling very guilty that because of him Bondita had tolerate many things

Ani : Bondita mujhe maaf (cut off by Bondita)

Bon : Pata hai yahi bolenge ki Bondita mujhe maaf kar do dubara aisa kabhi nhi karunga mai wada karta hu yahi kehna hai na aapko aur agar maine phir se aapko maaf kar diya tho aap dubara aisa kuch karenge aako yaad hai jab aapne mujhe Hiramandi se bachaya tha toh aapne mujhe wada kara tha ki aap hamesha mujhpe bharoosa karenge chahe kuch bhi ho jaye kiya tha na aapne wada aur maine dekh bhi liya hai ki aapne apna wada kaise nibhaya hai wada karna bohot aasan hai par nibhana bohot mushkil hai (crying)

Saying this she goes from there wiping her tears leaving guilty and numb Anirudh

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Goal : 90+ view 35+ vote 10+ comment
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
I will post next part after these will complete

Please vote & comment it means a lot of me

And of you want to give any Suggestions like what you want me to add in this story so you can tell

Till then Bye Bye
Stay connected

Your writer
~Faiza

𝑨𝒏𝒊𝒅𝒊𝒕𝒂 : 𝑩𝒓𝒐𝒌𝒆𝒏 𝑯𝒆𝒂𝒓𝒕𝒔 (𝘔𝘢𝘯𝘰𝘳𝘢𝘮𝘢 𝘛𝘳𝘢𝘤𝘬)✓Where stories live. Discover now