Bondita Roy Choudhury ek nayi pehchaan

1.4K 115 83
                                    

First of all toh hello mere pyaare readers... Haan haan yahi hun abhi Sanyaas nahi liya hai... Toh kaise hai aap sab? Aur a very Sorry for late update... So mein yeh kehna chaha rahi hun ki please don't be silent readers and waha par kuch writers bhi hai toh aap logon ko pata hi hai ki story likhne mai bohot mehnat lagti hai lekin tabh bhi bohot kam log hi vote karte hai readers k hisaab se and yes it is very disappointing so please vote and comment on the chapter... Now let's start the story

Continue from previous part

Bondita smiles painfully and says

So let's start with the story

She was going to say something but as soon as Anirudh says this Trinoy (Trilochan+Binoy) came and slaps him

Kaka : Nalayak , Akal k andhe , ullu k pathe , dimag se paidal insaan (le me :- aur kitni hi taarif karun hamare barrister babu ki 🌚🌚 story k beech mai talne k liye shama chahati hun ab bhi yaha kya kar rahe ho story aage padho) tujhe kaise laga ki bahu padhai chodh kar yeh sab kar rahi hai

Bin : Tumhe yeh sab dikha lekin yeh nahi dikha ki Bondita kitni mehnat karti thi raat raat bhar jag k padhti thi (Meri story mai aise hi hai... lmao🌚🌚) man toh kar raha hai ek aur khinch kar lagaun

He raised his hand but Bon stops him

Bon : Rehne dijiye Uncle inki galat fehmi mai hi dur karti hun

Then she turns towards Anirudh and start to talk

Bon : Toh mister Anirudh Roy Choudhury sabse pehli baat toh aapne mujhe sati hone se bachaya mujhe padhaya likhaya iss kabhil banaya ki mai apne pairon par khud khari ho sakun toh iske liye mai zindagi bhar aabhari rahungi aur kabhi aapka yeh upkaar nahi chuka paungi...... Lekin aapne jo mere saath kiya hai uske liye mai kabhi aap ko maaf nahi karungi...... Aur aap kya keh rahe the ki mai lakshya bhatak rahi thi par aap galat the Mr. Roy Choudhury........ Mai aapna lakshya nahi bhatak rahi thi balki mai ek achhi patni ek achhi shishya dono ka faraz nibhana chahati thi...... Thik maan liya ki mai lakshya bhatak rahi thi toh as a guardian yeh aap ki zimmedari thi ki aap mujhe sahi rasta dikaye par uske badle aap khud hi galat raste par chal diye........ Aapne bas kaha Bondita yeh mat karo Bondita woh mat karo par aapne k baar bhi mujhe samajhane ki koshish nahi ki...... Apne ek baar bhi nahi socha ki mere dil ko kitni thes phochegi mera dil kitne tukro mai tut gaya hoga aapne ek baar bhi nahi socha...Aap khud ko meri jagah rakh kar Dekhye ki apni patni k saamne kisi aur aurat se shaadi karna kaise sahi hota hai..... Aap ek barrister hai na toh aap iss tarah apni Barristery karte hain sirf ek taraf se soch ke.......  Aur agar aap is tarah se apni Barristery karte hain toh apne certificates ko jala dijiye kyunki woh phir kisi kaam k nahi hai...... Mujhe nahi pata tha ki aap mujhse maafi mangne k liye apni aur Manorama ji ki shaadi ko jhutha kahenge aur agar yeh Shaadi sachhi bhi ho toh mujhe koi farak nahi padta....... Kyunki aap na hi mere pati babu hai na hi mere biristara babu aap mere liye sirf aur sirf Mr.Anirudh Roy Choudhury hai sirf ek stranger jisse mai na hi janti hu aur na hi janna chahti hu...... Apne sirf apne swarth ke liye Manorama ji se shaadi naki mere liye...... Manorama ji toh parayi thi par aap toh mere aapne the na...... Aapne ek baar bhi nahi socha ki mai yeh sab kaise sahungi..... Aapne ek baar bhi nahi socha ki yeh sab maine kaise saha hoga...... Mai aapse kya hi kahu jab Manorama ji khus ek aurat hokar mera dard nahi samjh sakti toh aap toh ek mard hai....... Mujhe pehle lagta tha ki aap baaki saare mardon ki tarah nhi hai aap mere baba ki tarah sochte hai par mai galat thi Mr. Roy Choudhury..... Aap bhi saare mardon ki tarah auraton ko apne paer ki juti samajhte hai..... Aapne meri 3 saal tak rakhsha ki uske liye bohot bohot dhanywaad and you were wrong Mr. Anirudh Roy Choudhury you were wrong aur ek aur baat yaad rakhiyga ki mai aap se sirf nafrat karti hu sirf nafrat aur aapne mere liye jo bhi kiya hai aur mere upar jitne bhi paise kharch hue hai woh saare ehsan mai barrister banne ke baad chuka dungi

𝑨𝒏𝒊𝒅𝒊𝒕𝒂 : 𝑩𝒓𝒐𝒌𝒆𝒏 𝑯𝒆𝒂𝒓𝒕𝒔 (𝘔𝘢𝘯𝘰𝘳𝘢𝘮𝘢 𝘛𝘳𝘢𝘤𝘬)✓Where stories live. Discover now