𝑴𝒖𝒍𝒂𝒌𝒂𝒕

1.1K 31 59
                                    


Apne kamre ke ek konay mai bethi woh bhorri(brown) ankho wali larki apne ankhe kitab mai dabaye bethi thi

"Amira jaldi niche aao"
Jese hii us sey apni ami ki awaz sunai di apne ankhe kitab se hata kar kitab ko band kr ke samne pare chote se meez par rkhe apne kamre se niche ki taraf Jane lagi.

"kahe ami jaan kya hukam hai"
Apni ami se lipte huwe bari muskuraht liye kaha

"ye pyar baad mai Kar lena phele jakay bartan dho"
Amira ko apne se alag krte Sara kehne lagi

"huh ye kya baat hoi ami"

"chalo shahbash jao"

"ami"
Aur bas ankhe dekhane ki dair thi ke Amira kitchen ki taraf bhag chali.

"kyu Har waqt meri beti se bartan dholati rehti ho"
Bahir se aate Zaouf bole

"Chale jee agaye baap apne beti ki himayat krne"

"bas kr diya kro sara ek hi tou beti hai humari kal ye bhi chali gyi tou kya kro gi"

"mai konsi iski dushman hun, Jaan se zyada azeez hai Amira Mujhe, Ya Allah meri bachi ke naseeb ache karna "

"Ameen"

.......

"uth jao Amira dair horhi hai"
Sara laga taar pechle das minto se Amira ko uthane ki koshish Kar rahi thi lekin majaal hai ke Amira ne ek baar bhi ankh kholi ho

"University nahi jana kya"

"Haan nah"

"kya Haan nah laga rhi ho uth jao"

"hmm"

"Amira uth jao werna tumhari khair nahi"

"okay".
Kehte huwe phr se Amira ne apni ankho tak blanket aur liya

"Amira dekho 9 baj gaye"

Jese hi Amira ne suna ke 9 baj gye jaldi se apne bistar se uthi aur washroom ki taraf bhagne lag gyi aur sara ye dekh Kar apna haath muh pe rkhte huwe hasne lag gyi.

"kya ami mujhe tou 8 baje waha hona tha ajj bohot important event hai mujhe presentation bhi deni hai kese hoga sab"

"Fikar na kro beta hojaye ga sab khairiyat se meri beti ko aata hai sab kuch sambhalna"
Koi shak nahi tha sara ki baat mai Amira bachpan se ek qabil aur mehnti bachi thi.

"chale ami baba mai chali Allah hafiz"
Tayar howe niche aakar apne maa baap se mutafiq hoi

"beta nashta tou Kar lo"

"nahi baba abhi dair horhi hai, mujhe waha 8 baje tak puch jana tha magar abhi dekhe 9 baj chuke the jab mai uthi thi"

"9 Lekin beta abhi tou 7:45am huwe hain"
Apne Baba ko sunte hi Amira ne apni gahri mai dekha jokay waqai 7:45 dekha rhi thi aur phr nazar apni ami pe dali jo ke us se hi dekhte huwe hasne lag gyi.

"Ami ye kya hai bhala"
Amira apni ami se shikayat karne lagi

"ese tum uth bhi tou nhi rahi thi"

"chalo ab tou nashta kr lo Amira "

"Nahi baba waha jakay kuch kha lun gi"
"Allah hafiz"

........

University ke andar kadam rkhte huwe us ne dekha ke Har taraf Afrah tafri Machi huwi thi ese hi mai kesi ne peeche se uske kaande pe hath rkha Bina peche murhe Amira ne kaha "Zohra tum"
"tumhe kese pata lag jata hai ke mai hun"

"kyu ke madam Zohra mere kande pe hath rkhne ki ijazat sirf aur sirf maine tumhe di hai aur yaha kisi ko bhi nahi di "

"oh yah I see"

ʀᴀᴀʙᴛᴀ√Où les histoires vivent. Découvrez maintenant