𝑭𝒖𝒓𝒒𝒂𝒕

410 18 68
                                    

Zindagi Naam Hai Judai Ka
Aap Aaye To Mujhko Yad Aaya

Call band krne ke baad apne purse Mai mobile dale woh bari jaldi se siriya utari us sey jaldi mai aate huwe dekh sara boli "kya huwa Amira bache itne jaldi mai kaha ja rhi ho aram se utro kahi gir wir na jana"

"Ami mai jaldi wapis aaon gi"

"magar ja kaha rhi ho"

"bas ek kaam hai ami paka jaldi aaon gi"
Kehti huwi woh jaldi se ghr se bahir ki taraf rawana howi, apni car mai bethe us sey tezi se chalati huwe woh batayi huwi jagha pe aa puchi.

Woh jagha ek khoobsorat khomosh samandar ka kinara tha jaha khara woh shaks thaki thaki aur ulji huwi halat mai nazar araha tha.

"kya huwa Zayd"
Amira us shaks ke pas aati uske kande pe apna hath rkhti huwi kehne lagi

"mujhe sach sach batao"
Uski ankhe thaki dare sehme hone ka saboot de rhi thi

"kis bare mai huwa kya hai Zayd mujhe batao tou sahi"

"apne dada ke bare mai batao"
Ye sunte hi jese Amira ke pero tale zameen hi khisak li ho aur tou aur dil pe zor se pattar mara diya ho.

"kyu Zayd kyu mujh se kisi ke liye nafrat zahir Kar wana chahte ho"

"mai sun na chahta hun Amira mai woh Sab sunna chahta hun mujhe batao please"

"na kro mujhe majboor"

"Amira mere khatir mujhe batao"
Woh uski ankho mai dekh Kar bola Amira iski ankhe dekh Kar dar mehsoos krne lagi kya hone wala tha ye usko andaza tak na tha.

"nahiiii"
Woh cheek Kar boli

"Amira please"

"Nahi zayd mai nhi bata sakti mai toot jaon gi zayd"
Woh roo ke bolne lagi uske chehre pe saaf saaf dar tha dar tha kyu ke usne woh Sab dekha tha

"Theek hai na batao Amira lekin meri baat pori sun na mai bhi halat ke hatho majboor hun"

"kya baat hai zayd esa kya hai jo batate huwe tum dar rhe ho"

"dar hai kahi tumhe khoo na dun Tou sunno Amira suno mai hun badnaseebi se us shaks ka pota Jisne tumse tumhara ek anmol rishta cheena tha"

Woh khomosh hogyi pori tarah jese yaqeen krna mushkil hogaya ho Kya waqai ye bhi un mai se ek hai iski nafrat ke kabil.

"nhi ye kese ho sakta hai"
Shyd us sey aur khud se bhi puch rhi thi
Yaqeen nhi araha tha ab tak is sey

"ye ese hi hai Amira ye ese hi hai mai tumhare us...."

" aage nhi bolo ge tum ek lafz aur "
Uski baat bich mai katte huwe cheekte huwe boli

"tum sab dhoka dene wale thy na mujhe jese 20 saal phele diya tha mohabbat ke hatho,

" mohabbat ke hatho phr se dhoka khane wali thi tu Amira kitni bewakof hai tu kese un logo ki mohabbat pe yaqeen kr bethi jo khelte hi khoon se hain "

" Nahi Amira is mai humari galti nhi hai sab sirf.... "

"bas kr do ab tou kr diya barbad phr se mujhe hogye khamyab tum log khush hona ab tou"

"Amira esa nhi hai jesa tum soch rhi ho"

"bas kaha na ek lafz nhi sunna Tumhare muh se, agar kisi aur ne kaha hota na Amira ye esa hai tou mai kabhi tum logo se nafrat nhi krti lekin maine apni ankho se dekha tha kaho meri ankho dekha jhoot hai kro sabit maine jo dekha tha woh jhoot tha"

"tumne adha sach dekha tha Amira pora sach kuch aur hai bhale tum apne Maa baap se puch lo"

"basss kr do ab tou kyu apne jhoot mai mere maa baap ko ghusa rhe ho"

ʀᴀᴀʙᴛᴀ√Where stories live. Discover now