Jashan

374 17 207
                                    

Subha ka manzar kuch yun tha ke har taraf bahar hi bahar thi khush fizzao ka asar tha Bhot pur sakoon mahool sabit ho rha tha

Ajj uska irada tha us ghar Ke andar Jane ka jaha us ne kuch apne bachpan ke lamhe guzare thy

Har ek kadam bharana uske liye mushkil ho raha tha khoof dar mehsoos kar rahi thi

Jis hisse se galatfehmi ka woh shikar hoi thi ajj woh wahi aa ruki thi

Waha bethe khoob aksh baha rahi thi...

Aksh bahane ke baad ab woh ek kamre ki taraf bhari thi waha ek chota sa drawer tha
Drawer kholne ke baad usko waha ek dairy mili woh Bhot purani sabit ho rhi thi

Dairy Ke phele safay Pe ek photo mujood thi jis mai uski aur Zayd ki family thi

Dairy ke dosere safay Pe kuch likha huwa tha woh kuch yun tha....

Waqt Badal Jata Hai Insan Badal Jate Hai; Waqt Waqt Pe Rishtun Ke Andaaz Badal Jate Hai; Kabhi Keh Diya Apna Tu Kabhi Kr Diya Paraya; Din Aur Raat Ki Tarh Zindagi Ke Ehsas Badal Jate Hai!

Har cheez badal jati hai badalna hum insaano ki fitrat mai mujood hota hai par Kya hum neik ehsaas ko waqt se Jee Le werna esa na ho baad mai afsoos nadamat pachtawe ke siwaye kuch haath na aye

Uske hi agle safay pe kuch esa likha huwa tha ....

Toofan Mein Kashti Ko Kinare Bhi Milte Hein Jahaan Mein Logo Ko Sahare Bhi Milte Hein Duniya Mein Sab Se Pyari Hai Zindagi Kuch Log Zindagi Se Pyare Bhi Milte Hein

Agar apko zindagi mai koi esa mile tou usko gawana Matlab apni khush qismati ko gawana huwa, ye duniya hai yaha kuch kho diya tou usko hasil karna Asaan nhi hai
Par zindagi Tou musalsal ek imtihaan ka naam hai.

Akhiri safay pe phir kuch yun likha aya....

Zindagi Ka Safar Toh Ek Haseen Safar Hai Har Kisii Ko Kisii Na Kisii Ki Talash Hai Kisii Ke Pass Manzil Hai Toh Raah Nahi Aur Kisii Ke Pass Rah Hai Toh Manzil Nahi

Hasil agar hoi thi to hasil nahin hai kuch, Be ihtiat cheez hai dunia kahen jaise.

Aksar martaba hum insaan apni annao mai bhot kuch gawah bethte hain...
Zindagi se haar bethte hain ye jaante huwe bhi ke zindagi dene wala hum mai har lamhe thamay huwa hai Haan hum insaan kafi galtiya karte hai par jab hum mai unka ehsaas hojaye tou us galti ko sudaar lena chahiye bagair ye soche ke Maine jo Kiya woh tou Bhot galat tha mujhe iski maafi milna mumkin nahi, Han ye tou hai ke duniya mai insaano se maafi pana behad mushkil hai par apne rab se maafi pana mushkil nahi phele apne kiye ka rab se maafi mango phr apka rab ek zariya banaye ga woh maafi us shaks se hasil karne mai bas Himmat na haarna kamzoor na parhna sabar ka daman thamay rakhna rab pe bhorosa kam na hone dena aur phir dekhna moujza/moujzaat.

...

Woh ek file liye chali arahi thi aur samne se woh jebo mai hath diye apni duniya mai ghoom chala araha tha
Ke achanak dono ki takar hoi

Tabhi woh gusse se us shaks ko dekhe boli
"andhe ho kya"

"Nahi tou"
Usne muskurahte huwe jawab diya

"phr dekhai kyu nhi deta"

"woh actually apni ankhe giraye pe deke aaya hun kisi zaroorat mand ki madad hojaye gi"

"what a foolish non sense person"
Woh ankhe roll kiye boli

"Han jese khud smart intelligent kahtoon ho"
Ab usne bhi apni ankhe roll kiye usko tanz Kiya tha

"tumse Matlab"
Woh apni ungli uski taraf kiye boli

"sare matlb mujh se hain aage bolo"

"tum na"
Woh gusse se boli

ʀᴀᴀʙᴛᴀ√Tempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang