🍁|~Their Pain~|🍁

2.2K 252 270
                                    

Next Day 🌼

She is lying next to him, she has wrapped herself in his arms like a glass doll, who is very precious for him.

The cool breeze of Mussoorie is touching their skin and the sound of raindrops on the leaves of the tree is giving them a blissful sensation.

Anubhav-Haseena....(sweetly).

Haseena-hmm....

Anubhav-aapki dawai ka samay ho gaya hai...

Haseena-baad mein....(she said, taking his warmth of love).

He was about to speak when he remembered  psychiatrist's words,  so he kissed her temple deeply.

Atiwak's POV 📖

◦•●◉✿Two weeks Ago✿◉●•◦

"Hume aapse baat hi nhi karni...pata hai hum kitne excited the jab aapne kaha ki aap next week aane wale hai..!" Haseena said grumpily to Anubhav on phone call.

Anubhav-sorry par sach mein hum ek din ke liye bhi free nhi hai abhi..par promise ki next month hum aa jayenge...

Haseena- aur agar aap nhi aaye toh?

Anubhav-toh Chopper hum bhej denge aap yahan aa jana...(he said with a smile).

Haseena-hum nhi aayenge waise bhi aap toh office chale jayenge hum ghar par baith kar bore hi honge....

Anubhav-aisi baat hai par humne toh soch tha ki.....chhodo jane dete hai jab aapka man nhi hai toh...(he said with fake sadness).

Haseena-kya soch tha aapne...(she asked curiously).

Anubhav-kuch nhi....

Haseena-Anubhav please bataiye na kya socha tha...(she requested like a small kid).

Anubhav-achha itni request kar rahi hai toh bata dete hai...

Haseena- jaldi....

Anubhav-humne soch tha ki jab next month hum aayenge tab hum dono  yahan Bengaluru aa jayenge...yahan ke college mein aap admission le lena apne skills ko sharpe karne ke liye....

Haseena-hmm...baat toh sahi hai aapki par Maa Baba se permission ka kya?

Anubhav-Mil jayegi aur waise maa se yaad aaya...aapki tabiyat toh thik hai na?

Haseena-haan hume kya hoga...

Anubhav-woh maa bata rahi thi ki aap aajkal apne health par dhyan nhi de rahi hai, khana kam kha rahi hai...

Haseena-woh hume man nhi kar raha hai aajkal kuch khane ka isliye...

Anubhav-toh ek baar hospital chale jaiye...

Haseena-uski jaroorat nhi hai, hum thik hai bas mausam change hone ki wajah se aisa hota hai hume....

Anubhav-sach mein ya phir aur koi baat hai?

Haseena-aur kya baat hogi?

Anubhav-holi wale din jo hua ya phir kahe jo aapne kiya....(teasingly).

Haseena-humne nhi  aapne kiya jo kiya...kya zaroorat hai aapko Kurte mein bhi itna handsome dikhne ki...(she said shyly).

Anubhav-wah ek toh hum aapke liye travel karke ek din ke liye Mussoorie aaye aur aap hum par hi dosh aropit kar rahi hai....

Agar Tum Saath Ho ✔Where stories live. Discover now