🪔|~The Festival of Lights~|🪔

1.4K 211 156
                                    

Two days later

"Kya hua aap aise udas ho kar kyu baithi hai?" Anubhav asked Haseena as she is sadly sitting on the bed, cupping her face in her palms.

Haseena-hamara bad luck hi kharab chal raha hai aaj kal....(she answered sadly).

Anubhav-aisa kya hua?

Haseena-aapko yaad hai paanch mahine pehle hum aapko ek good news dene wale the (he nods yes) ab woh bad news ban gyi hai....(gloomily).

Anubhav-paanch mahine baad...??

Haseena-hmm...actually us waqt humne ek publishing house ko apni likhi huyi kuch poems and stories send ki thi....publisher ko hamari writing bahot pasand aayi thi aur woh ready bhi ho gye the hamari poems ki book publish karne ke liye...

Anubhav-phir?

Haseena-par contract sign karne se pehle hi hamare saath woh hadsa ho gya aur hum apne hi sadme chale gye...

Anubhav-toh dobara try kariye....

Haseena-kiya na par woh log ab hamari poems ko publish karne mein interested nhi hai, unka kehna hai ki aise laparvah writer ke saath woh kaam karna nhi chahte..(sadly).

Anubhav-naam kya us publisher ka jisne aapse yeh kaha?

Haseena-jo bhi hai, kaha toh sahi hai unhone....hum apne gam mein itna kho gye ki hume yaad hi nhi raha ki hamare sapne adhure hai abhi...un logon ne pure ek week hamare reply ka wait kiya par...sab hamari hi galti hai....

Anubhav-jo hona tha ho gya ab bhool jaiye woh sab aur kisi aur publisher se baat karne ka try kariye....

Haseena-hmm..

Anubhav-waise aap aaj ya kal toh kahin gyi nhi thi phir yeh baat kab huyi aapki?

Haseena-do week pehle, Bangalore se aane ke baad...(hesitantly).

He glared at her in disbelief.

Anubhav-do hafte beet chuke hai aur aap hume aaj bata rahi hai....(tauntingly).

Haseena-aapka birthday aane wala tha isliye nhi bataya tha aapko aur uske baad....

Anubhav-uske baad aap Angel ke saath busy ho gyi toh bhool gyi....(taunted).

Haseena-Anu....(frowned cutely)

Anubhav-aap itni careless kaise ho sakti hai woh bhi apne career aur sapne ko lekar...

Haseena-aisa kuch nhi hai, hum bhoole nhi the balki aapke paas time nhi tha hamare liye isliye nhi bata paaye aapko aur aaj bhi nhi batate agar....(she paused).

Anubhav-agar...?

Haseena-agar aaj phir se us publisher ka call nhi aata toh....

Anubhav-kis liye aaya tha call...(he asked while adjusting himself in front of her).

Haseena-woh hume ek chance denge par unki kuch conditions hai....

Anubhav-kya hai unki conditions...(holding her hands between his).

Haseena-hume kuch mahino ke liye unke liye pehle articles and all likhne padenge woh bhi unke branch mein rah kar...

Anubhav-toh agar man nhi hai toh rehne dijiye....

Haseena-nhi aisa nhi hai par hum aapke saath Bangalore wapas nhi jaa payenge....

Anubhav-oh...toh yeh problem hai..(she nods innocently) tension mat kijiye hum is baar jyada der ke liye nhi jayenge...(he places a deep kiss on her forehead).

Agar Tum Saath Ho ✔Nơi câu chuyện tồn tại. Hãy khám phá bây giờ