chapter 27

94 9 2
                                    

"mrs Huma?"
"unho NY baba ko letter kyun Bheja??"
"salar mujhe kaisay pata hoga mein b tou apky sath hi hoon"
"lao parho iss ko "
"salar lekin ye tou uncle k Liye hai na"
"iss time ye zaroori nhi hai k ye letter kis k Liye aya hai zaroori ye hai k ye letter mrs Huma ka hai or wo bas choro"
he takes the letter from aizal and opens it up reads it out loud
"sallaudin
                   I hope AP theek hogay,mein Sirf ye letter AP ko iss Liye likh rhi hoon k mein Janna chahti hoon k AP NY salar ko uss ki maa k baray mein kya bataya hai,AP NY uski nazron mein bartari hasil krny k Liye uss ki maa ko bura Bhala qarar diya jis ki waja sy wo apni maa ko nafrat ki nigha sy dekhta hai,AP NY uss ko ye nhi Bata k mein ussy chod k kyun Gai(salar looks at aizal with shock,tears came to appear in his eyes)ye nhi Bataya k AP mujh pe izna k sath cheat kr rhy thy or Meray pata lag janay py AP NY mujhe hi divorce dy kr salar dy dur krdiya,kya apny ussy ye bataya hai k jitna wo Meray Pyar k Liye tarpta tha mein b usi Tarah tarpa krti thi,AP sy uss ki custody b mangi lekin AP NY mana kr diya,mein hostel ussy milny ati tou mujhe ussy milnay b na Deta or phir tou ussy mujh sy dur krny k Liye Pakistan hi chod gy,Khair duniya bohat choti hai,hum phir takra gy,hakeekat mein Milo tou mein AP sy har uss Anson ka badla loon Jo Meray salar ki ankh sy AP ki waja sy Nikla,Khair Jo hota hai achay k Liye hota hai,mujhe Ek acha shohar mil gya or ussy achi biwi,aizal ko mein ny apnay Sinan k Liye pasand Kiya tha,lekin mein ny ab dekha k wo Ek Tarah sy Meri bahu hi hai, waisay na tou salar jaisa acha beta or na hi aizal jaisi beti Tum jaisa ghatiya insan deserve krta hai,jis dolat ka garoor hai na tumhe aj wo sab Meri hi mehnat hai, Kash k tumhe Bata skti k kitny ghatiya insan ho Tum,Meri bas Tum sy ye Ek request hai k Meray salar ka khayal rkhna or uss ky haq mein nainsaafi na krna,Baki Meri badua mein itna asar Kahan k tumhe doon"
salar crumbles the paper and furiously goes to his fathers room
"AP Meray sath aesa kesay kr skty Hain,how dare you Meri Zindagi AP k Liye mazaq hai Kya??" salar shouted on sallaudin.
"salar beta huva kya hai?ye tou batao"
"itny anjaan hain AP ya ban rhy Hain?"
"aizal beta AP batao kya huva hai"
"salar plz calm down hum aram sy beth k b baat kr skty Hain"
"aram sy or in sy baat??,aizal r u for real,Meri Zindagi ka tamasha ban chuka hai or AP keh rhi ho k just chill?"
"salar tasali sy batao huva kya hai?"
"jis waja sy mein apni maa sy nafrat krta aya darhaqeeqat wo sab Meray Baap ka Kiya huva hai"
"salar Tum kehna kya chah rhy ho?Saaf Saaf bolo"
"ye kya hai??"he said while giving the letter to him
sallaudin opens the paper and reads it"ye kaha sy aya tumharay pass??"
"AP wo chody,Jo mein ny pocha hai uss ka jawab dein"
"salar ye sab jhoot hai uss ko pata tha k Tum idhar ho iss Liye uss NY ye letter Bheja"
"Matlab k miss Huma Meri mama Hain,or ye Jo likha hai ye b sab sach hai"
"mein ny tumhe bataya hai k ye sab jhoot hai''
salar smiles and a bit,stops "ye jhoot nhi hai sach hai,Sach Nazar nhi jhukny Deta or jhoot nazrein milanay nhi Deta,Nazar Mila ke baat krty tou samjh jata k ye sach hai jhuka li hai tou ab pata chal gya hai KY kya sach or kya jhoot hai" salar replies in a soft tone and turns around to go
"salar beta...",
"beta nhi Hoon mein AP ka beta bolnay ka Haq apny ussi din kho diya tha jab Meri maa ko mujh sy milny sy roka tha"
"salar uss ka or Mera sath guzara nhi tha.."
"unka or apka nhi tha na Mera kya kasoor tha Kash tab AP Sahi faisla ly letay tou aj ye sab nhi hota,bohat sy parents ki divorce hoti hai lekin Kisi ka Baap us ki nazron us ki maa ko giranay k Liye ilzaam nhi lagta,AP mama sy dur rehna Chahtay thy tou reh letay Meray sath ye kyun Kiya,baba. baba AP ko tou baba b kehtay huvy mujh khud sy sharam mehsoos horhi hai,Khair aj sy na AP Meray baba Hain or na mein apka beta,Allah Hafiz,Chalo aizal(he said while holding her hand)"
sallaudin shouts to stop him
but he ignores and continues to leave the house,he was so heartbroken that he didn't even uttered a word out of his mouth
after reaching there home
salar went into the room and locked himself inside
aizal knocked the door but he didn't responded
at night he opened the door and came out for dinner aizal said nothing and pretended to be normal
"salar ajaye Khana kha lein"
"haan mein ata hoon Tum start kro"
"AP k begair kaisay kha loon?"
he smiles "ye lo agaya" he said while sitting
both of them were eating dinner silently
"aizal (he took a long pause) mujhe Mrs Huma Matlab Mama ko ye batana chahiye k mein Janta hoon k wo Meri mama Hain ya nhi?''
"salar,Meray hisab sy tou shayad nhi lekinn..."
"Wohi tou mein b yehi keh rha hoon Dekho agar mein nhi Batata tou mujhe guilt rhy ga k jantay huvy b KY Meri mom Kon Hain mein un sy nhi mil ska...... Dekho mein unko Bata Deta hoon k mujhe pata hai k wo Meri mom Hain ab wo mujh sy Pyaar kry na kry wo un ki marzi warna aesay hi Zindagi chalti rhy gi"
"hmm theek keh rhy Hain AP"

"phir jab kal hospital Jao gi tou wahan Mrs Huma I mean mama hoon gi??"
"haan probably hoon gi tou Sahi"
"Chalo theek hai phir acha hojaye ga...... waisay mama  NY bohat Sahi faisla liya tha baba ko chod kr"
"salar,chai piye gy??"
"haan pi loon ga,agar AP banay gi tou"
"jee jee mein hi banao gi,chalay phir wait krein mein ati hoon"
as soon as she leaves, Salar's phone rung
it was an unknown number
he picked up the call
"assalamualaikum Kon?"
"salar mein"
"mein Kon?"
"salar mein Hafsa",
"Tumhe Mera number Kahan sy Mila??
"Ek dost sy liya"
"ainda Yahan call na krna"
"Ek Baar Meri baat sunlo"
salar remained silent
"mujhe Tum bohat pasand ho salar mein tumharay begair nhi reh skti or Tum b tou mujhe pasand krty ho na"
"mein tumhe Pasand krta tha jab mein class 5 mein tha par phir mujhe Tum sy tumhari harkato sy nafrat honay lagi,or Jahan tak baat rhy Meray begair rehnay ki tou mein tumhe already bata chuka hoon k Meri shadi ho chuki hai or mein apni biwi sy bohat Pyar krta hoon,or agar shadi na huvi hoti tou b Tum jaisi sy shadi nhi krta"
"mujhe jaisi sy Murad salar agar tum sy Pyar krna hai Galat hai tou phir tumhari biwi kyun?"
"shutttup Meri biwi or tumharay Ander Zameen Asman ka farq hai uss NY aj tak mujh sy itni besharmi zy izhaar mohabat nhi Kiya,ab Meri baat kan khol ky sun lo,mujhe Tum sy nafrat hai,or ainda Meri biwi KY baray mein Kuch b sochnay sy pehlay so bar apni aukat yaad kr Lena or Hana ainda Yahan call na krna Allah Hafiz"
he said  so and hunged the call
______________________________________________________________________________
Thankyou for reading and supporting me
Sorry for late upload
Hope you liked it vote for it
❤️❤️❤️

Please guys check my other novel hope you find it exciting too

qalb e ulfat Where stories live. Discover now