Chapter 29

143 7 5
                                    

salar eventually came out of the washroom and saw aizal confused he suddenly snatched the phone from her
"salar??"
"haan kya huva"
"call kis ki thi??"
"mujhe kya pata Kisi unknown number sy ai thi,mujhe kaisay pata hoga"
"unknown number??!tou phir iss Tarah Meray hath sy phone kyun cheena??"
"yaar AP shak kr rhi ho mujh py?"
"AP harkatein aesi hi kr rhy Hain k Shaq krna compulsory hogya hai"
he stepped forward towards her
"Meri jaan,Meri pyaari biwi Dekho mein apko pehlay b keh chuka hoon k AP k ilawa Kisi Kay baray mein socho ga b nhi kabhi b nhi I promise socha tou kehna k salar ap k jesay bewafa or ghatiya insan mein NY kabhi nhi dekha chod Jana beshak, khoshish kro ga apko wapis bulanay ki lekin kabhi b Kisi or sy koi taluq jorny ka socho ga b nhi"
"agar bewafi hui na salar tou sach mein Chali Jao gi or wapis nhi ao gi beshak phir Kuch b kr lijiye ga bewafa Mardo sy nafrat hai mujhe"
he smiles
"azma lo"
"azmany ki zaroorat nhi hai(he questions kyun?)agar tou jhoot bol rhy hotay tou Meray ankho mein na dekh rhy hotay sach bolny Wala nazry Mila ke baat krta hai"
"apko tou Meray ilfaaz b yaad Hain,kahin zyada mohabat tou nhi hogi?"
"mohabat nhi ishq hai"
"same cheez tou hoti hai"
"same nhi hoti mohabat mein mehboob samnay ho tou Zindagi mehsoos hoti hai or agar sath na ho tou maut or ishq ishq mein tou milna na milna Kisi ka hona na Hona maini nhi rkhta ishq yaar ki mojoodgi mein uss sy mohabat krna or uss ki gair mojoodgi mein uss ki yaado mein zinda rehnay k Naam hai"
"Mera ishq mohabat Pyar sab AP Hain or Meray mutabiq in sab k maini AP hain"
aizal smiles
"coffee penay chalain??"
"haan of course why not?AP tyar hojay phir chaltay Hain"
"chalay theek hai phir mein ready hokr ati hoon"
she says so and leaves the room
salar furiously picks up his phone and dials hafsa's number and without greeting
he says
"kya masla hai tumhry sath??mein tumhe already bata chuka hoon k mujhe Tum mein koi interest nhi hai mein Sirf aizal sy mohabat krta hoon"
"salar Tum aizal sy mohabat krty ho Mera kya kasoor hai iss mein mein tou Sirf Tum sy hi mohabat krti hoon or krti raho gi"
"uffff Meri jaan bakshny ka kya lo gi?"
"Ek akhri maulkat"
"maulkat?!"he says in a harsh tone
"mujhe sy mil lo Mein wada krti hoon ainda kabhi b aizal ya tumhari life mein interfere nhi kro gi"
"theek hai kal...."
"kal nhi aj kal mein england ja rhi hoon"
he thinks for a while
"aj theek hai location message krdo mein araha hoon"
"ok ty mein msg krti ho Tumhe mein b"
he cuts the call
he goes downstairs and aizal was standing there
"Chalain?? waisay bohat time lagatay Hain AP tyaar Honay mein itna tou larkiyan b nhi lagati"she holds his hand and pulls him to move
he stands still
"aizal I'm really sorry lekin Ek emergency agai hai Mera Ek bohat Purana friend hai uss ka accident hogya hai wahan Jana zaroori hai"
"ohh ho mein b sath chalti hoon"
he acts weird "nhi nhi wo Tum kyun Jao gi mein Chala jata hoon bas Ek ghanty mein wapis ajao ga phir Raat ko dinner py chalay gy ok?"
"par mujhe coffee peni hai"
"apni Kisi friend k sath Chali Jao"
"chalay theek hai mein misha k sath Chali jati hoon,lekin khanay pe jain gy hum Lazmi"
" jee theek hai Meri jaan"he smiles and goes out
after he went  aizal called misha to go out with her for coffee
(meanwhile Salar and hafsa in a coffee shop)
salar was sitting opposite to her
she was continuously staring him
"Kuch Bolna k Sirf mujhe dekhna hai?"
"bol leti hoon, dekhnay doon akhri baar dekh rhi hoon"
"Mujhe kaam hai Jana mujhe jaldi baat kro takay mein Jao"
"kya mehboob hai Mera akhiri maulkat k Liye or Fursat b nhi hai?"
"haan nahi hai Fursat aizal k sath dinner py Jana hai"
"uff hafsa tumhari qismat apni mohabat sy uss ki mohabat ka Sunna"
"filmy dialogue band kro aur bolo kya Bolo kya Bolna hai"
"Ek sawal krna tha (salar nodded his head) Jo Tum sy mohabat krta hai uss ki saza kya hai?"
"mein ny khud sy mohabat krny k Liye majboor nhi Kiya tumhe or Jahan tak baat saza ki hai tou saza tou insan apni Kismat mein khudi likhta hai Tumhe mein nhi Mila tou mar Jao gi?nhi sambhal Jao gi mil jaiy ga koi mujh jaisa"
"Tum jaisa,tumharay jaisay koi ho tou milay na Tum tou Ek ho nayab ho,..."
"ye chichoor pan krna band kro or bola KYa bolna hai"
"basit tou kehta hai k Tum pasand krty thy mujhe"
"ye tumsy basit nhi kaha hai?"
"haan"
"sawal hi nhi paida hota,jhootay logo sy nafrat hai mujhe"
"tumhe kyun lag rha hai k mein jhoot bol rhi hoon?"
"kyun jitni nafrat ab mujhe tumsy hai utna hi aitbaar mujhe basit pe hai 26 Saal jis insan ny Meri koi BAAT Meray Ghar walo ko nhi batai wo ek gair larki ko Kaisay batay ga?"
"acha Chalo basit sy nhi pata Chali,par mohabat tou krty thy na Tum mujh sy?"
"nhi thi mujhe tumsy mohabat or Rahi baat tumhe Pasand krny ki haan karta tha ek waqt pe Pasand tumhe mein,Tum Mujhe khoobsurt nhi lagti thi tumharay kirdaar sy ikhlaaq sy mohabat thi mujhe par jab tumharay baray mein sach pata Chala tou woh ehsaas nhi rha tumsy nafrat honay lag gi Dil ko bohat samjhaya k mohabat jaisa jazbabewafay jaisi cheezo py nhi toot ta mujhe Laga wo mehz tumharay Uper ilzaam Hain par jab mein ny khud APni ankho sy dekha tou yakeen agya"
"aizal mujh sy zyada pyari hai?"
"pyaari,Meray Liye wo duniya ki sab sy haseen larki hai,uss ka lehja uss ki sadgi, us ka ikhlaaq,us ka phoolo jaisa chehra,uss k pyaaray pyaaray Baal,uss k hath uss ki ankhein,uss k kirdar ki pakeezgi,uss ka har Kisi k sath rawiya,uss k mujhe sy mohabat krna,sab us k husan ki misal hain, or Jahan tak baat rhi tumharay sy zyada khoobsurt tou Meri Baat sunlo Meri samnay koi pari b ajaye tou mein uss ko ankh utha kr b nhi Dekho ga,kyun Kay jis shaks sy mohabat hojaina uss k ilawa koi haseen nhi lagta"
he was saying this being so lost that he didn't noticed hafsa putting a hand on his hand
eventually aizal and misha came to the same shop for coffee
aizal saw salar and hafsa holding hands
salar saw her and stood up
aizal nodded hee head and smiled
"aizal Aesa Kuch nhi hai jaisa Tum samjh rhi ho"
aizal without uttering a word went out
salar followed her
she was unlocking her car
"aizal Aesa Kuch nhi hai Meri baat Suno"
he held her arm
she forcefully released her arm
"salar Kuch nhi kahoon gi mein,(he smiles) apna kaha tha k bewafi mili tou chod Dena, allah Hafiz umeed krti hoon phir kabhi maulkat na ho, divorce papers mil jain gy apko"
salar stared at her for a while with tears in his eyes
______________________________________________________________________________
Thankyou for reading
Stay tuned for the next apart
Please vote comment and follow
❤️❤️

Please guys check my other novel hope you find it exciting too

qalb e ulfat Nơi câu chuyện tồn tại. Hãy khám phá bây giờ