Chapter 10: Milenge Bichre Dost

3K 295 47
                                    

It's been a month since Rohit's death. Shehnaaz was trying to cope up with the situation. But it was not easy for her. She almost locked herself in a room. Neither she went outside nor she talked much with others. Her life completely changed.

One day she was in her room, when Pammi Ji came.

"Shehnaaz, tere liye ek khush khabri hai. Zaldi se guess kar." Pammi Ji said.

"Kya hai Mummy?" Shehnaaz asked.

"2 mahine pehle tune jis singing competition mein participate kiya tha, uska result aa chuka hai. Tujhe paata hai, tu first aayi hai aur tujhe agle hafte, Monday ko radio mein gaane ka mauka mila hai." Pammi Ji said excitedly.

Shehnaaz thought for a while and said, "Main nahi gaungi Mummy."

"Kyu?"

"Aap samajh nahi rahi ho Mummy. Main abhi uss halat mein nahi hoon. My mental condition is not right. Mujhse nahi hoga."

Pammi Ji put her hand on Shehnaaz's shoulder and said, "Rohit ke jaane ka dukh humein bhi hai. Lekin iska matlab yeh toh nahi hum apni zindagi mein aage nahi badhenge. Tujhe toh jeena hoga. Apna sapna pura karna hoga. Aur Rohit ka bhi toh yehi sapna tha?"

Shehnaaz nodded and said, "Thik hai Mummy. Main radio mein gaana gaungi. Main apna, aap sabka aur khaas kar ki Rohit ka sapna zaroor pura karungi."

"Yeh hui nah meri Shehnaaz wali baat. Accha sun main nah shopping karne jaa rahi hoon. Tu chalegi mere saath?"

"Nahi Mummy rehne do."

"Accha thik hai. Tu ghar pe gaane ki thodi practice kar le. Main aati hoon."

Shehnaaz nodded.

Pammi Ji left.
_______________________________________

At the shopping mall...

"Bhaiya yeh saree pack kar do." Pammi Ji said.

"Okay Mam."

Suddenly another woman came and said, "Yeh zara pack kar di jiyega."

Pammi Ji noticed the woman and recognised her.

"Arrey Rita, tu?" She said excitedly.

Rita Ji also recognised her and said, "What a surprise! Pammi tu Mumbai mein rehti hai?"

"Bohut saalon se."

"Phir tu itne din mujhse mili kyu nahi?"

"Suna toh tha ki teri shaadi Mumbai mein mein hui hai. Lekin mere paas tera address nahi tha."

"Kamal hai! Hum dono dost saalon se ek hi sheher mein reh rahe hai, aur hum mein se kisi ko malum tak nahi."

"Chalo accha hai. Itne saalon baad hi sahi, at least hum dono mile toh. Waise tere pati karte kya hai?"

"Unka apna business hai. Har waqt busy rehte hai. Aur tere pati kya karte hai?"

"Woh office mein kaam karte hai."

"Accha chal nah kahi baithke baatein karte hai. Itne dino baad mili, mujhe tujhse bohut sari baatein karni hai."

"Baatein toh mujhe bhi karni thi lekin ghar mein bohut kaam hai. Maybe next time."

Rita Ji thought for sometime and asked, "Tu Sunday ko free hai?"

"Haan." Pammi Ji replied.

"Ek kaam kar mere ghar mein aa jaana with family. Issi bahane unse mil bhi mil lungi."

"Thik hai. Ek minute, mujhe tera address toh malum hi nahi."

"Toh likh le nah."

Rita Ji gave her address and Pammi Ji noted it.

First Love Or True Love (Completed)Where stories live. Discover now