part 17 Pyaar

239 16 0
                                    

Virat : Lekin ham es baare baat kyu kar rahe hai ham yahan is baare me baat karne thodi na ayye hai
Sai : Hmm chalo agge chalte hai..... Virat agar Shruti aaj bhi hoti toh
Virat : Toh kya ( Virat Sai ko dekhta hai ) Toh bhi me sirf tumhara hota
Sai Virat ko dekhke smile karti hai
Sai : Mein tumhe khona nahi chahati
Virat : Achha... Agar Shruti zinda hoti aur mujhe ishe pyaar ho jaata tob tum kya karti

Sai ruk jaati hai aur phir smile karti hai 🙂
Sai : Tumhari khusi jaha bhi hota mein tumhe kabhi nahi rokti
Virat : Emotional story sunke emotional ho gayi kya
Sai : Nahi bura lag raha Sada aur Shruti ke liye dono apne pyaar ko nahi paa paye sayad dono ki kismat me pyaar nahi tha.
Virat : Kismit par bhala kon bharosha kar sakta hai kabhi bhi kahi bhi kisiko bhi kisise bhi pyaar ho sakta hai ab ham dono ko hi dekh lo

Sai Virat ka kaha soch rahi hoti hai ki Virat ne abhi kaha tha ki Shruti ke death ke baad Sada Virat ko Shruti ki katil samajta hai aur phir use Sada ka sart ke bare mein yaad atta hai ki Sada ne Virat se dur rahene kaha tha

Sai ( sochti hai ): Kya Sada esi karan ke baje se mere samne asa sart rakha tha ? Kya usne sart isiliye rakha kyunki use laga ki Virat ko meri feelings ki bhi kadra nahi hogi ? Lekin Sada ko kya farak padta hai mere sath kuch hone se ?

Virat : Mein yahaan tumse baat kar raha hun aur tum ek alag se duniya me khoye hue ho ... Kya soch rahi ho

Sai hosh me aati hai
Sai : Kuch bhi toh nahi chalo ghar chalte hai nahi toh suraj dub jayegi
Virat : Me yahaan gumhane sath time spend karne ayya tha lekin tumne mera pura pura plan kharab kar diya
Sai : Phir kabhi aa jayenge
Virat : Thik hai dekhte hai tumhara "phir kabhi" kab ayega

NEXT DAY
Aaj Sunday hai
Subhe ke 8 baje
Sai Sada ko ek message karti hai
" MUJHE TUMSE KUCH BAAT KARNI HAI ABHI MUJHE MIL SAKTE HO *** CAFEE MEIN MILNA . MEIN INTEZER KARUNGI "

CAFEE MEIN
Sai caafe mein Sada ka intezar kar rahi thi tabhi Sada aake Sai ke samne walli chair me bethta hai

Sada : Yakin nahi ho raha ki tum mujhse baat karna chahati ho
Sai : Toh yakin kar lo
Sada : Bulaya kyu tha
Sai : Baat karne
Sada : Of course baat karni hogi kabhi bulaya hoga
Sai : Toh puch kyu rahe ho
Sada : Kya baat karni hai
Sai : Mujhe ghuma phirake puchna nahi atta mein sidha sidha puch rahi hun tumne assa sart mere samne kyu rakha tha
Sada : Kya farak padta hai
Sai : Farak padta hai tumne yahi sart kyu rakha
Sada : Achanak in sab ke baare mein kyu puch rahi ho
Sai : kyunki mujhe janana hai tum meri bahut badi madad kar rahe the phir tumne asi sart kyu rakhi ese tumhara kya phaida hota
Sada : Har ek chiz apne phaide toh nahi kia jaata naa
Sai : Shruti ke baaje se .....
Sada shocked ho jaata hai
Sada : Tum Shruti kese janti ho
Sai : Kya farak padta hai ki kaise janti hun lekin mujhe tum teeno ki history pata hai
Sada: Tum meri jaasosi kar rahi thi kya
Sai : Baton ko ghumao mat mere sawal ka jawab do
Sada : Mein bas tumhe Virat se dur rakhna chahata tha . I don't want the history to be repeated
Sai : Nahi hogi repeat
Sada : Ho rahi hai 😏..... Shruti se mein sacha pyaar karta tha lekin ushe mera pyaar nahi dekha pata nahi usne Virat mein asa kya dekh liye aur tumne bhi
Sai :Har kisiko woh nahi milta jo ham chahate hai
Sada : Uski choise galat usne galat insaan se pyaar kiya aur tum bhi wahi kar rahi ho asa na ho ki joh Shruti ke sath jo hua woh tumhare sath bhi ho jayee Sai
Sai : Kuch bhi
Sada : Sach bol raha hun
Sai : Mein bas tumse yeh kehena chahati hun ki pyaar jabardasti nahi hota toh Virat Shruti ko jabardasti pyaar kesse kar sakta hai
Sada : Atleast uska dil toh rakh sakta tha
Sai : Dil toh tut ta hi naa us din nahi toh aur kisi din ek na ek din Shruti ko pata chal jata ki Virat use pyaar nahi karta aur ase dil aur tot jaata ..... Bas me yahan itna kehene ayi thi baaki tumhe jo samaj na samjo
Sada : Virat ki tarafdari karne ayyi thi yahan
Sai : Nahi tumhe sach ka aiena dikhane ayyi thi

Itna kehekar Sai khadi ho jaati hai aur jane ke liye mudti hai lekin phir
Sai : Ek baat aur tumhe kya farak padta hai mere sath kuch bhi hone . God forbid agar Virat mujhe dhoka diya tumhe kya farak padta hai

Sada bhi khada hota hai

Sada : Tumhare jaaga agar koi aur hota toh use bhi mein mana karta
Sai : Lekin mene toh tumhe kabhi pakhi ko rokte hue nahi dekha ..... Woh toh Virat se hi pyaar karti hai tumne use toh kabhi nahi roka
Sada ke pass Sai ke sawal ka koi jawab nahi hota kyunki use khud iska jawab nahi pata akhir use kyu Sai ki parba hai use kya farak padta hai Sai kahi bhi jaye...

Sai : Chodo tumhe dekh ke lag nahi raha ki tumhe jawab pata hai ... Mein chalti hun

Sai chali jaati jai aur Sada use dekhta reh jata hai
Pakhi peeche hi khadi thi aur unki baate sun rahi thi
Pakhi( peeche se ): Kya hua Sai ke sawal ka..... Jawab nahi pata
Pakhi ki awaz sunke Sada piche mudta hai . Pakhi smile karke Sada ke paas aati hai
Pakhi : Acha sawal kiya Sai ne batao naa tum Sai ko protect karna kyu chahate ho kahi tumhe bhi Sai se pyaar toh nahi ho gaya

Sada : Shut up ! Pyaar mene zindigi me sirf ek ladki se kiya tha dubara nahi kar sakta

Pakhi : Pyaar toh kisi se bhi ho jata hai nahi tum hi bolo tum Sai ke liye itna kyu soch rahe ho wese.... Yeh baat tumne bilkul Sahi kaha hai ... History repeats itself .... Ab tum hi dekh lo ek saal pehele Tumhe Shruti se pyaar hua tha aur Shruti ko Virat se aur ek saal baad tumhe Sai se pyaar ho gaya aur Sai ko Virat bas dono baato mein farak itna hai ki sallo pehele jahan Shruti thi aaj waha Sai hai Correct....

Sada( ghuse se ) : Apni bakwas apne paas rakho

Pakhi : Bakwas nahi kar rahi hun sach bol rahi hun .... Wese mujhe tumhare liye bahut bura lag raha hai tum jin jin se pyaar karte ho unhe Virat tumse chin leta hai

Sada : Achi kosis thi
Pakhi : Matlab
Sada : 😏Tum Sai Virat ko alag karne ke liye mera istemal kar rahi
Pakhi : Me itni bhi buri nahi hun mein toh tumhe tumhari dil ki baat samjha ne mein madad kar rahi thi
Sada : 😡 Toh band kar do madad karna mujhe tumhari madad nahi chahiye aur hn joh jaaga mere dil me shruti ke liye hai woh jaga koi aur kabhi nahi le sakta ..... KABHI NAHI
Pakhi : Woh jaaga already Sai le chuki hai
Sada gusse se chala jata hai
Pakhi : Arre tum toh bura maan gaye
Pakhi ( khudse ) : Aab bada maza ayega Sai Virat ki love story aab Sai Virat aur Sada ki Love triangle me badalte hue dekhne me bada maza ayeaga ... 😏 Aur wese bhi inke rishte mein mirch masala dalne mein Pakhi hamesha hazir hai boss


PRECAP
Sada : Kal is Pakhi ki baat sunke mera dimag kharab ho gaya hai uske baato ka mujh par asar hone laga hai pata nahi kyu lekin mujhe Sai Virat ko ek sath dekh jalan ho rahi hai ....

Sai Sada ke hath ko galti se touch kar deti hai toh Sada ke dil ke dhadkane joro se dhadakne lagte hai

Sairat : Kahani do pyaar karne waalo kiWhere stories live. Discover now