Sai's life in danger

105 9 0
                                    

Sonali :aab tum mujhe batao kya kiya tumne meri beti ke sath .
Virat kuch nahi bolta
Omkar : Aagar sach me Sai missing hai toh ham yaha kya kar rahe hai hame use dhundna chahiye right

Devi : papa sahi keh rahe ase jhagad ne se Sai nahi milegi hame use dhundna hoga
Sonali : hn chalo

Factory me
Sai ( sochti hai ): ghar me sab mujhe dhund rahe honge... Mujhe kuch bhi karke yaha se nikal na hoga lekin kese niklu ... Kya karu .....( Sai un logo ke pocket me chakhu dekhti hai) Idea

Sai ka muh band tha lekin woh thoda thoda awaz karke un logo ko apne paas bulati hai jo waha ki ralh wali kar rahe the. Un mese ek admi ake Sai ka muh kholta hai

Woh admi : kya hua kyu bulaya
Sai : woh mujhe kehena tha apne mera hath bahut halke se bandha hai . Hath toh yaha se asani se nikal sakta hai

Woh admi Sai ka rasi check karne lagta is baat ka faida uthake Sai uske pocket se chakhu nikal leti hai

Woh admi : Rasi toh bilkul tight hai
Sai : Oo acha sayad mujhe hi koi galat famin ho gayi hogi

Woh admi chala jata hai. Fir Sai dheere se apne hath ki rasi ko kat deti hai . Thodi der baar un admiyon ki ankh lag jati hai. Es mauke ka faida uthakar  Sai apne pero ki rasi bhi khol deti aur chupke se wahase jane lagti hai lekin galti se Sai ek drum se takra jati hai aur woh niche gir jati hai . Jor se awaz hone ke karan Un logo ki neend tuut jati aur jab woh Sai ko apne place me nahi dekhte toh sab ke sab khade ho jate hai . Sai yeh dekhkar dar jati hai aur dusre drums ke piche chup jati hai

Ek admi : Aree woh ladki kaha gayi ... Hame Jagtap saheb ko batana padega

Woh admi jake jagtap ko keheta hai ki Sai kahi chali gayi hai

Jagtap : kya? Chali gayi ase kese chali gayi ?Tum log us wakt kya kar rahe the?

Woh admi : Woh darasal hamari ankh lag gayi thi
Jagtap : mene tum logo ko yaha sone ke liye bulaya tha .... Chodo jake main door ke samne raho taki woh ja na sakte
Wo admi : Lekin agar woh kisi khidki se chali gayi toh
Jagtap : Hn yeh ho sakta hai ek kaam karo use factory ke andar aur factory ke aas paas dhundo agar aas paas na mile toh woh factory me hi hogi  toh is factory me aag laga dena
Wo admi : kya
Jagtap : hn mene jo kaga wahi karo

Sab mil kar Sai ko dhundne lagte hai
Sai ( sochti hai): Aab kya karu kese niklu yaha se niklungi toh sab mujhe dekh lenge phir me kya karu . Ese pehele ki koi yaha aa jaye mujhe yaha se nikal na hoga

Sai ke ghar ke bahar
Omkar : Ham dubara Sai ko dhundte hai agar woh is baar nahi mili toh ham police complaint kar denge
Virat : Hn ek kaam karte hai me aas paas ki park
aur library me dekhta hun .. Uncle aap na traffic , hospital yaa kisi relative ke ghar me dekh lijiye kya pata kahi gayi hogi aur Sada tu mere sath chal

Sonali : mein bhi aap logo ke sath chalti hun
Omkar : Nahi Sonali tum ghar me raho hame koi bhi khabar milegi toh ham call karenge
Sonali : Thik hai
Sab apne apne raste chale jate hai
Devi : Mumma aap andar chalo
Devi Donali ko leke andar chali jati hai

Virat Sada aur Omkar Sai ko dhundne lagte hai . Omkar ek ek karke sare relatives ke ghar ke ghar jake Sai ke baare me puchne lagte hai lekin Sai kahi nahi hoti . Ek relative ke ghar se dusre ke ghar woh jake puch taaj karta hai. Is aur Virat aur Sada bhi parks aurs libraries me dhundne lagte hai . Lekin Sai waha bhi nahi hoti . Isiliye dono aur aage jate hai . Kuch der jane ke baad road ek dum traffic se jam ho gayi hai .

Virat : Is jam ko bhi abhi hona tha aab ham yahanse kese nikle
Sada : Ho sakta hai ki Sai bhi yahi ho
Virat : Kya lekin raasta toh ghar se thoda dur hai fir Sai yaha kya karegi
Sada : Agar woh kusi kaam se ayi hogi aur yaha fas gayi hogi toh
Virat : Call toh fir kar deti
Sada : Lekin phone toh ysha gira hua tha na toh woh call kese karti
Virat : hn phone toh yaha i just hope Sai isi bhid me ho
Sada : Mein check karke aata hun
Virat : mein bhi chalta hun
Dono jake Puri jam ke andar ek ek car bus auto taxi sab me dhundta hai lekin Sai kahi nahi hoti
Dono wapas aake car me bethte hai
Virat : Sai yaha bhi nahi hai
Sada : pata nahi kaha hogi .. lekin is bhid ko dekhkar lagta nahi aaj ham yahanse nikal sakte hai
Virat idhar udhar dekhta hai fir use ek gali dhikta hai
Virat : woh dekh yahase ek raasta jata hai ham wahi se nikal jate hai.
Sada : thik hai
Virat Gadi ghumake us choti si raaste me chala jata hai

Sairat : Kahani do pyaar karne waalo kiWhere stories live. Discover now