Prediction

603 112 81
                                    

Happy Holi Everyone.May you lives be filled with colours of love and
happiness.❤️

Acharya Chandrabhan was doing his daily puja when Emperor Amarendra entered his room.

"Acharya,aapne humein bulaya?"He asked.

"Haan Amarendra...ek gambhir vishay par baat karke k liye tumhe bulaya hain maine."Chandrabhan said.
"Maine Anubhav aur Abhilasha ki kundli dekhi.."

"Koi samasya hain Acharya?"Amarendra asked worried.

"Ghor samasya hain Amarendra.Anubhav aur Abhilasha k 36 mein se ek Gunn bhi nahi milte aur jo Maine dekha uss hisab yadi Abhilasha se Anubhav ka vivah hua toh uske pran ko sankat hain."Chandrabhan said.

"Yeh,yeh aap kya kahe rahe hain Aacharya?Aisa nahi ho sakta.Indragupta humare baalpan ka Mitra hain,sab jaante hain ki Anubhav ka Vivah Abhilasha se hi hoga."Amarendra said.

"Balpan ka Mitra ya apne putra ki jaan,konsa zyada mahetwapurn hain tumhare liye?"Chandrabhan asked seriously.

"Avashya hi humare putra ki jaan Acharya."Amarendra said without thinking.

"Phir yeh vivah mat hone dena Anubhav,mat hone dena."Chamdrabhan said."Accha..Rajkumar Mokshith se jis Rajkumari k vivah ka nirnay kiya hain,Rajkumari Haseena mujhe unki kundali chahiye,Mokshith aur Haseena ki kundali bhi milani hain."Chandrabhan said.

"Hum bhijwate hain Acharya."Amarendra said and left.

🌿☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎🌿

Haseena was about to enter Himavardhan's room but stopped at the door seeing her father worried, sitting on the bed holding his head while Mantri Bhadrak was telling him something,he too had accompanied them since the king was sick.

"Maharaj yeh prastav accha hain...aap raazi kyun nahi ho jate."Bhadrak said.

"Aap samajh nahi rahe hain Mantri Bhadrak..Haseena humari pran Priya Putri aise hi kaise Kausambhi Naresh ki baat se sahemat hojaye hum."Himavardhan said followed by a trail of coughing.

"Maharaj,Kausambhi naresh apne putra Mokshith k saath Rajkumari Haseena ka Vivah karwana chahte hain,yeh toh ATI uttam prastav hain..Kausambhi jaise shaktishaali rajya ki bahu Banna saubhagya ki baat hain aur hosakta hain ki bhavishya mein Mokshith yaha k Raja ban Jaye phir rajkumari Maharani banjayegi."Bhadrak said.

"Hum sab samajh rahe hain Bhadrak par bina jaanche,parkhe kaise haan kar de?Haseena k sampurn jeevan ka prashn hain aur sabse pahele humein apni putri se pucchna padega...unke jeevan ka faisla hum aise hi nahi le sakte."Himavardhan said.

"Yeh budha Raja bhi..."Bhadrak cursed under his breathe.

"Maharaj..iss waqt Vidarbha ki Jo sthithi hain uske chalte aapko turant haan kardena chahiye.Sochiye Maharaj Kausambhi aur Vidarbha agar ek ho jayenge phir humein dhan ki chinta nahi karni padegi,padosi rajya humse darenge...iss vivah se humare rajya ka laabh hoga."Bhadrak tried to persuade again.

"Humari putri koi vastu nahi hain jiska sauda karke hum apna laabh dekhe Bhadrak."Himavardhan said sternly.

"Aur agar hum kahe ki humein yeh rishta swikar hain,kya tabbhi aap mana karenge Pitashree?"Haseena asked and both the king and Bhadrak looked towards the door and were shocked to find Haseena there.

"Putri?!"

"Pitashree humari vivah ki aayu ho chuki hain aur iss rishte se agar humare Rajya aur uske logo ka faida hain phir dikkat hi kya hain?Aap chintit hain na ki Rajkumar Mokshith kaise insaan honge toh kal unse mile the aur humein woh ek acche insaan pratit huye,bhadrapurush hain woh pitashree.Aur sochiye toh Maharaj Amarendra k Putra hain woh bure kaise hosakte hain?"Haseena said.

ANUSEENA- A Marriage Of Convenience✓ Where stories live. Discover now