Changing Feelings

836 128 117
                                    

(Not Proof read)

Haseena was lying unconscious in the bed with the Royal family except Amarendra standing surrounding her while Vaidyaji was checking her.

"Atirikt rakt bahene k karan yeh behosh hui hain.Hum kuch aushdhiya bhejte hain woh inhe dijiyega aur Inke aaharaadi ka dhyan rakhna hain phir Rajkumari jald hi swasth ho jayengi."He said.

"Dhanyawad Vaidji..parantu Haseena ko hosh kab Tak aayega?"Maa Sadhika asked.

"Maharani hum yeh Jo aushadhi abhi Dene wale hain yeh sharir mein jaate hi ek ghante mein hosh aajayega."He replied.

Anubhav held Haseena's head tight and the doctor put some greenish liquid in her mouth.

"Rajkumari jald hi swasth ho jayengi,bas khyal rahe yeh zyada se zyada vishram karein aur inke ghav par lep pratidin do baar lagana padega."

"Dhanyawad Vaidji...aap bas aushadhiyan bhej dijiye."Maa Sadhika said and the Vaid left.
"Anubhav tu abhi tak gile vastron mein khada hain..jaakar Vastra badal le."She said.

"Par maa Haseena?"

"Main hoon iske saath..jaa tu."

🌿☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎🌿

Anubhav was walking towards his room after changing when he came face to face with Abhilasha but she ignored and walked past him.

"Abhilasha?"Anubhav called her out as he found her behaviour odd.

"Haan Anubhav?"She said plainly turning to face him.

"Humein aise undekha karke kyun jaarahi thi tum?"Anubhav asked.

"Nahi mujhe laga kya pata tumhe bura lag jaye abhi tum Haseena k paas jaarahe ho na..aur agar maine rok liya toh...bas issliye aur kuch nahi."Abhilasha said.

"Aisa kyun bolrahi ho tum??"Anubhav asked confused but soon it hit him that he had talked rudely to her.
"Abhilasha thodi der pahele k vyavhar k liye hum kshama mangte hain,tum aise achanak aagayi toh..."

"Toh Vighn daal Diya na tumhare aur tumhari patni k vyaktigat samay mein?"Abhilasha asked.

"Aisa kuch nahi hain...hum bas Haseena ki sahayta karrahe the...uske aur humare madhye kuch bhi vyaktigat nahi hain."Anubhav said.

"Aisa laga toh nahi Anubhav.Jitne kareeb aaj tum dono the utne kareeb toh kabhi mere bhi nahi aaye Anubhav."Abhilasha said.

"Abhilasha....tum toh samajhdar ho na,humara aur Haseena ka vivah kaise hua hain sabkuch jaanti ho tum."Anubhav said.

"Sab kuch janti hoon main Anubhav...par kya yeh kaafi hain mere toote Dil ko jodne k liye...nahi na?"Abhilasha said teary eyed."Haseena abb tumhari patni hain,jo jagah meri honi chahiye thi woh abb uski hain.Tum abb uske ho.Tumhare aankhon mein uske liye parwah dekhi hain maine Aaj Anubhav...chahe abb tum usse wrin ya kartavya kuch bhi naam de do."Abhilasha said and walked off.

Anubhav sighed and went back to his room where he found his mother sitting beside Haseena and caressing her head,she was still unconscious.

"Hosh nahi aaya isse maa?"Anubhav asked.

"Nahi Naa...Mera toh Dil baitha Jaa Raha hain."Maa said sadly.

"Chinta mat kijiye maa ek ghanta hua nahi hain abbtak.Aap jakar vishram kijiye hum hain Haseena k saath."Anubhav said.

"Thik hain..par Anubhav meri baat sunn,Haseena ki hosh aajaye toh usse kuch fal khila Dena..aur ladna bilkul bhi mat meri bacchi se..samjha!"

ANUSEENA- A Marriage Of Convenience✓ Where stories live. Discover now