Part 10

207 23 4
                                    


In Cabin...

Haseena closed all the doors and windows

H.M. – Haath dikhaiye apna ....

A.S. – Kyunn...

H.M. – jitna bol rahe hain utna kijiye ...

A.S. – humne mana kiya na ...

She moved to him and held his hand

H.M. – kholiye haat ....

A.S. – kya kar rahi hain aap

H.M. – humne bola na haath kholiye ...

A.S. – nahi ....

H.M. – ye mutthi kyun bandh rakhi hai aapne...

A.S. – aapse matlab...

She forcefully opened his hand

H.M. – (smiled sarcastically) wow, DSP sir .... Hume to pata hi nahi tha ki aap itne strong hain ki aapko chot lagne ke baawajood bhi koi fark nahi padta ...

He looked sidewards

H.M. – pata tha hume ... acha lag raha haina .... chain mila ye karke .... Warna aap to itne mahaan hain ki hume chot lagi aapki wajah se isliye na jaane kitni der tak aise ... aur asli wajah to hum bata nahi sakte na Karishma Singh ko ... phir pareshan ho jaayengi wo .... Aur pata hai na aapko ki Genda ki wajah se ye sab hua hai... aapne humara haath pakda tha isliye nahi hua hai... jab dekho , jahaan dekho ... har jagah uske gunde ... aapki wajah se nahi lagi thi hume ... jo aap aisa kar rahe hain Anubhav ... kya ho gaya hai aapko...

She moved to her table and started searching for something in her drawer

H.M. – hum nahi dhyaan dete to pata nahi aur kya karte ... jab dekho tab apne man ki karni hoti hai ... aur aapko bhi to lagi thi na, aur upar se ye bracelet ka tukda aur chubh gaya usme...... ya phir flashback mein jaa kar batayein aapko ki kya-kya hua tha wahaan se lekar thane aate waqt....

A.S. – wo to galti se....

H.M. – shaant rahiye .... Humne bola aapko kuch bhi bolne ke liye .... Pata hai hume kyun kiya tha aapne ... galti se hua tha .... Galti se itni nahi lagti aapko ...

A.S. – aapne aisa bracelet hi kyun pehna tha jis se aapke haath pe lag gayi ...

H.M – kaisi baat kar rahe hain aap... aap bhi jaante hain ki bracelet ki wajah se nahi lagi thi hume .....

He was just looking at her

H.M. – aapne hi gift kiya tha aur ab tod bhi diya .... Bichara humara bracelet .... Aur humare bracelet ko kis liye blame kar rahe hain , uski to galti bhi nahi hai.... agar Genda pakdi gayi hoti to na hum dono ko chot lagti na hi humara bracelet tut ta ....

A.S. – humse zyaada to humare diye hue bracelet se pyaar karti hain aap...

H.M. – kyunki us bracelet ne kabhi humse kuch bola nahi bas shanti se humare haath par rehti thi.... Aapke jaise thodi na... aur aapki wajah se ab humara bracelet bhi tut gaya .... Ab hum kya karenge ... wo humara favorite bracelet tha ...(sighed) Anubhav (complaningly)... kya zarurat thi humara haath kheech ke hume lane ki , aa rahe the na hum ....

Reunion (Continuation)Where stories live. Discover now