Part 13

171 16 0
                                    


In Hall

K.S. – dekha .. humare saamne kaise drame kar rahe the ... aur andar kuch aur hi the ...

P.S. – issh... ab kya hi bolein hum... ye aise baat karke gaye to hum to dar hi gaye the ...

S.S. – sach mein aaj to maza aa gaya haina cheete

He didn't looked at her

S.S. – tu to naaraz hai na ....

He smiled

C.C. – aapko kya lagta hai ki itna sab dekhne aur sun ne ke baad hum naaraz rahenge... aur maza to sach mein aaya Karishma madam ... warna hum to dar hi gaye the...

K.S. – (smiling) hmm... bolte hain na hum , jitna ye log ek dusre ko nahi jaante us se zyaada hum in dono ko jaante hain... ek humare bhai hain to ek humari dost ... (slowly) Best Friend....

Haseena enter

They were all sitting at their respective places and doing their work with a cold expression

H.M. – Pushpa ji...

P.S. – Ji madam sir...

H.M. – wo hum keh rahe the ki...

P.S. – ki...

H.M. – baaki sab to phir bhi nahi samajhte aap bhi gussa ho gayin humse...

P.S. – aapka matlab hai ki humare alawa koi aur aapko samajhta hi nahi .... Haina cheete ...

C.C. – Haina Santu ji ....

S.S. – Haina Karishma Madam ...

K.S. – hmm... haan Pushpa ji... hum sab to naa samajh hai na ... hum kaahe samjhenge Santu ...

S.S. – hum kyun samjhenge Cheete....

C.C. – hum kyun samjhenge Pushpa ji...

P.S. – ye sab nahi samjhenge Madam sir ... aur hum bhi nahi samajh paa rahe ...

H.M. – ye..ye kya kar rahe hain aaplog... hume kuch samajh nahi aa raha ...

K.S. – achi baat hai na Madam sir... hum sab to na samajh hain , humari baat aapko kahan samajh aayegi... humari hi galti hai .... Haina Pushpa ji ...

P.S. – Haina Cheete

C.C. – Haina Santu ji ...

S.S. – Haan Karishma Madam ..... humari baat thodi na samajhni hoti hai ....

H.M. – kya bol rahi ho Santu .... Aur Cheeta tum bhi ... hum.... Hum jaa rahe hain ... baad mein baat karenge ...

She left

They looked at each other and smiled

K.S. – samajh to hume bhi nahi aaya ki hum kya bol gaye ... lekin unse naaraz hone ka naatak continue karna hai abhi ...

S.S. – haan... har baar dono hum sab se jhooth bolte hain ... is baar dekhna ...

C.C. – Santu ji ko agar in sab mein itna maza aa raha hai to hum bhi aap sab ke saath hain .... Lekin zyaada time tak nahi ...

Reunion (Continuation)Όπου ζουν οι ιστορίες. Ανακάλυψε τώρα