Part 03

3.1K 124 4
                                    

Waqas khan's room.

Anila:Bhabi begum yeh kya jid lekar beith gaye hai Waqas?
Waqas:Samaj mein Mujhe bhi nahi aa raha kya karu?
Anila:Mante hai first cousin hai woh log Lekin meerab humesha Murtasim ko bhai ki nazar se dekha hai Aur Murtasim bhi.
Waqas:Unki tasalli ke liye baat karna padega meerab se.Yun achanak mana to nahi kar payunga na.Dekhna Murtasim hi mana kar dega.Aur baat wahi khatam ho jayegi.
Anila:Yeh sab ke baad woh dono ek awkward situation mein aa jayenge.
Waqas:Jo bhi ho baat to karna hoga.

After coming from the university, Meerab goes to kitchen.

Meerab:Kya kar rahi ho Haya?
Haya:Murtasim ke liye biriyani paka rahi ho.
Meerab:Bade pasand kya khayal rakhi ja rahi hai unki.Kya baat hai!
Haya:Tumhe kuch chahiye?
Meerab:Nahi.Mein to tumse milne ayi thi Lekin tum to busy ho.
Haya:Kuch kam hai Mujhe se?
Meerab:Kuch khass nahi bas aise hi.

Then Bhabi begum entered the kitchen.

Bhabi begum:Meerab Ek cup coffee banwake Murtasim ko de au.
Meerab:Taijaan mein?
Bhabi begum:Ha tum.koi masla hai kya?
Meerab:Ji nehi koi masla nahi.
Bhabi begum:To coffee banau Aur leke jau uske liye.
Meerab:Ji taijaan.

Then Meerab goes to Murtasim's room to give coffee.She knocked out the door.

Murtasim:Aa jau Meerab.
Meerab:Murtasim bhai aap ki coffee.
Bhabi begum:Lekin maine to mulazma se bola tha.
Meerab:Taijaan ne Mujhe bola tha bana ke lejane ko.
Murtasim:Thank you.Pehli baar banai ho kya?
Meerab:Mujhe kitchen ki chote chote kam aata hai.
Murtasim:Aab bade kam shikhne ka bhi waqt aa gaya.
Meerab:Kya matlab?
Murtasim:Kya pata kab is ghar se ruksat hona pade.
Meerab:Yeh ghar Aur mere ma bap dono ko chodke mein kahi nahi jaa rahi.
Murtasim:Woh to Waqt hi bataiyega.

After coming from Murtasim's room.Ruhail called Meerab.

Ruhail:Kya kar rahi ho?
Meerab:Kuch khas nahi.tum batau university kyun nahi aye.
Ruhail:Subha se sad dard tha isi liye.Tumhara mood off lag rahi hai.Kuch hua hai kya?
Meerab:Mujhe laaga gharwale meri shaadi ke bade mein soch rahe hai?
Ruhail:Yeh to acchi baat hai.Lekin tum kyun off ho?
Meerab:Mujhe nahi karni yaar shaadi.Meri padai khatam nahi hui.Uske baad Mujhe practice karni hai.Lawyer banna hai bohot sapne hai mere.Shaadi ke liye unhe bhet nahi chada sakti.
Ruhail:Uncle chahte hai tumhari niqah ho?
Meerab:Kisi ne Kuch nahi bola.Maine assume kiya.
Ruhail:To bhool jau us baat ko.Tumhari Galatfehmi bhi ho sakti hai.Aur Tum jo nahi chahte ho woh uncle kabhi nahi hone denge.
Meerab:You are right.Thank you yaar bohot badi tension se bacha liya hai Mujhe.

Bhabi begum comes to Murtasim's study room.When he is checking some paper.

Bhabi begum:Aate hi zameeno ko lekar masroof ho gaye?
Murtasim:To kya karu Maa in zameeno se to log Mujhe zameendar kehte hai.
Bhabi begum:Phir bhi beta Aab umar ho rahi hai tumhare aapne bade mein kuch socho.
Murtasim:Kya sochu Maa?
Bhabi begum:Shaadi ka koi irada nahi hai kya?Ghar nahi basana kyutumhe yaa puri zindegi yeh zameeno ka kam dekhna hai?
Murtasim:Aap hai na iske liye.Mere liye ladki dhondna shuru karde.Aap jise kahenge usko hi aankh band karke shaadi kar lunga.
Bhabi begum:Janti hu mein aapne bete ko Maa ki baat kabhi nahi talega.
Murtasim:Iska matlab aapne ladki muntakhab bhi kar liya.Sirf yeh boliye konsi khandan ki hai?
Bhabi begum:Khandan wahi hai jo tumhara hai.Bachpan se jante ho use.
Murtasim:(with low tone) kahi aap Haya ki baat to nahi kar rahi?
Bhabi begum:Haya ki nahi meerab ki baat kar rahi hu.
Murtasim:(with shock) kya?Meri shaadi woh bhi meerab se.
Bhabi begum:Haa kya burai hai usme?
Murtasim:Koi burai nahi hai usme Maa Lekin maine use humesha behen ki nazar se dekha hai.Aur aap keh rahi hai use niqah karlu.Na mumkin hai mere liye.
Bhabi begum:Tumhare marhum walid ki yehi khawaish the ki Meerab ki shaadi khandan mein ho.Aur tum hi ho is khandan ki ek laute waris.Maine faisla le liye hai inkaar nahi karo.
Murtasim:Maine pehle hi bola na mumkin hai yeh.
Bhabi begum:Mujhe laaga mera beta meri sare baat manega.Lekin afsos!
Murtasim:Mein aap ki har baat man sakta hu Maa.Lekin Mujhe yeh karne se majbur na kare.Behno se niqah kabhi hota hai bhala.
Bhabi begum:Sagi behen nahi hai tumhara.Cousin hai.Aur cousin se niqah ka izazat shariyat deta hai.
Murtasim:Maa.....
Bhabi begum:Thik hai beta.Koi jaldbazi nahi tum aapna waqt lo.Aur faisla batau.

Murtasim nodded his head.

On the other hand,Waqas khan comes to Meerab's room.
Waqas:Kuch baat karni thi beta.
Meerab:Bole Abbu izazat kis baat ki.
Waqas:Woh darasal samaj nahi aa raha tum kaise react karoge sunke.
Meerab:Aap be jhijak bole Abbu.
Waqas:Bhabi begum chahte hai tumhari shaadi ho jai.
Meerab:Lekin Mujhe aabhi shaadi nahi karni Abbu.
Waqas:Puri baat to sunlo.
Meerab:Sorry.
Waqas:Bhabi begum tumhari shaadi Murtasim se karna chahte hai.
Meerab:(with shocking voice) unka dimag to thik hai.Bhai manta hu mein unhe aab unse shaadi kaise ho sakti hai.Abbu it's impossible for me.
Waqas:I can understand.Mujhe pata hai tum mana karoge Aur mein aapni beti se koi zabardasti nahi karunga.
Meerab:Thank you so much Abbu.Aab mana karde unhe.Ek hi ghar mein bhai behen jaise bade huye hai hum.Aab shaadi ki baat bhi hum dono ko ek awkward situation mein dal degi.
Waqas:Pata hai beta.Fiqr na karo mein mana kar dunga.

In the deep of the night.

Both Meerab and Murtasim thinking about themselves and their marriage.Till now They don't thik About each other other than siblings.How can this marriage idea comes,they don't know!

Meerab Murtasim Ki HuiWhere stories live. Discover now