Part 05

3.1K 120 10
                                    

Meerab doesn't know what to do.She is damm sure this marriage will not stop.If her wedding will be held with some other person,maybe she will accept.But how can she accept Murtasim as her husband,whom she considered as a brother all her life.How will her friends react? They will definitely made a fun of them.

"Jab Bhaiya bane Saiya."

Meerab doesn't come out from room in whole day.After evening she is going to kitchen to eat something.

When she was passing through the room of Murtasim's study.She heard,Murtasim talking about her with his friend via video call.

Murtasim:Mujhe aapne liye humesha se hi highly educated ladki nahi chahiye tha.Aur dekho gale pad rahi hai highly educated Aur future lawyer se.
Friend:Tumhara soch bohot backdated hai waise.Aaj kaal ki dour me kon chahta hai aisi biwi.Aur tumhe to khush hona chahiye tumhari biwi aage chalke lawyer banegi.Tumhara Aur tumhare khandan ki hi naam roshan hoga.
Murtasim:Soch chahe jaisi bhi ho mera tazurba yehi bolta hai ki aisi aurte ghar nahi basa pate.Humesha padai Aur kam ko pehla tarzi degi.Mujhe mere ghar ko Aur age chalke bacchon ko underestimate karegi.Mujhse yeh bardast nahi hoga.
Friend:To kya karoge?Daba kar rakhoge yaa padai chura doge.
Murtasim:Dono hi.
Friend:Kya woh itni asani se maan legi?
Murtasim:Usko mein technically manwaungi.
Friend:Woh kaise?
Murtasim:Dekho yaar agar shaadi ho rahi hai to mein use pure emaandari se nibhaunga.Aur aurto ko jante hi ho ek bool pyar ki bol to to hashte hashte jaan de deti hai.Bilkul Waise pyar se uske kandho ghar ki itni zimmedari dalunga ki Woh khud bhul jayegi ki use padna tha aur kuch banna bhi tha.
Friend:Puri zindegi jise behen samjha usise romance karte waqt ajeeb nahi lagega.
Murtasim:Ajeeb to lage ga Lekin kya karu agar shaadi ka faisla le hi liya hai to shaadi bhi nibhani padegi.Aur thoda sacrifice and dono compromise karna padega.

After heard Murtasim's confession,she can't stand over there and come back to her room.

Meerab talking about herself.

"Murtasim bhai Aise kaise soch sakte hai.Woh Mujhe dabe ke rakhna chahta hai.Duniya ke sare mard kya un jaisa hai.Lekin Mujhe to laga sab mere Abbu jaisa hai.Kitna galat thi mein.Is mashre ki mard ko samajne mein nakam raha.Sab ko meri Abbu samaj beitha.Kinza sahi kehti thi Mujhe pehle sochna chahiye tha agar shaadi ke baad mera shohar mere sapne ko aapna na banai to kya hoga.Mein nasamaj ko laaga mere sath sath woh mere sapno ko apnayega.Lekin chahe jo ho jai mere sapno ko woh aapnai yaa nahi aapnai Mujhe use koi fark nahi padta.Apne sapno ko rangne ke liye jo karna pade woh mein karungi.Nahi unki aage dabungi Aur nahi apne sapne ko chur chur hone dungi.Aab bohot ho gaya Abbu ke piche chup ke baat manwana.Aapna ladai aaj se mein khud ladungi.Bas bohot ho gaya unki rewayat Aur ghar ki usool.Aab usko manne ki pawand mein nahi hu."

It's Meerasim's wedding day.

After dressing up for wedding,Waqas khan comes to Meerab.

Waqas:Mujhe maf kardo beta.Tumhara yeh baap is baar tumhare liye nahi laad paya.Aur tumhe tumhari razamandi ke khilaf ruksat karwa raha hai.
Meerab:Isme aap ki koi galti nahi hai Abbu.Aap to halat se majbur the.Janti hu mein agar halat aap ki baas mein hoti to yeh niqah hargiz nahi hota.Mein aapse bilkul naraz nahi hu.
Waqas:Tum fiqr na karo is shaadi se tumhari padai pe koi affect nahi hoga.Mein ladunga akhri dam tak tumhare khatir.
Meerab:Aapne bohot lad liya hai Abbu mere khatir aab bas.Jarurat pade to Mein ladungi aab apne khatir aapne haq ke khatir.Koi dabe ke nahi rakh payega Mujhe.
Waqas:Meri dua hai tumhare sath.

Sometimes later.

Marium comes and take Meerab to the wedding venue where Murtasim is waiting for her.Bhabi begum is very excited that's why her health is much better than yesterday.Waqas Anila and Anwar is not happy with this weeding nor sad.Haya put a fake smile on her face but her heart is broken from inside.

With permission from elders,Qazi sahab starting the formalities of wedding.When he take permission from Meerab,she stands up and looks at Murtasim.

Meerab:Is niqahname pe dastaghat karne se pehle mere kuch sharte hai.
Bhabi begum:Kya behuda harqat hai yeh?Waqas samjhau aapne beti ko.Puri mashre ki samne nak kata rahi hai humari.
Waqas:Beta kya hua hai?
Meerab:Pata chal jayega Abbu.Agar meri sharte mani jai to.
Murtasim:Kaisi sharte?
Meerab:Mein shaadi ke baad apna padai nahi chodungi Aur future mein lawyer bhi banungi.Aap Mujhe nahi rukenge.Yehi shart hai meri.Aur aap ko meri banai gaye agreement pe sign karna hai.
Bhabi begum:Koi shart nahi manega tumhara.Fazool harqat karne ka waqt nahi hai yeh.Chupchap yaha Beitho Aur Qubool karo Murtasim ko.
Meerab:Ji nahi taijaan.Agar meri shart aaj nahi manenge to yeh niqah hargiz nahi hogi.Aur ladki ki razamandi ki begair shaadi Qubool nahi hogi.

To fear the humiliation,Murtasim decided to agree with the conditions.He have a full confidence after wedding,Meerab will do what he wants.

Murtasim:Paper do Mujhe.Sign karta hu mein.
Bhabi begum:Par...
Murtasim:Maa manne dijiye Mujhe yeh shart.

Then Murtasim take the paper and sign it.Waqas khan is very happy to see how her daughter fought for herself.

Then Qazi shahab again started the niqaah.And now they accept each other.

Murtasim looks at Meerab and Think,

"Aaj ki meri yeh beizzati tum par bohot bhadi padegi Meerab.Tum jalti huye angaro ko sath khel rahi ho.Tumhe andaza bhi nahi agar Mujhe gussa ay to mein kis had tak gir sakta hu.Tumhari padai ek tumhara khubsurat sapna banke reh jayega.Just wait and watch.

Meerab also looks at him and think,

"Mujhe daba ke rakhne ke bade mein tasavvur bhi mat karna.Mein dabnewalo mein nahi balki dabanewalo mein se hu.Bohot dar liya Maine aapse aab darane ki badi meri hai.Mere sapno ko aap kabhi nahi tod payenge.Just wait and watch."

Meerab Murtasim Ki HuiWhere stories live. Discover now