Part 13

2.5K 109 9
                                    

In the next Morning.

Everyone is talking breakfast at dining hall.Bhabi begum looks at Haya and said;

Bhabi begum:Tayar rehna.Kuch log tumko dekhne aa rahe hai.
Haya:Mujhe shaadi nahi karni hai Maa begum.
Bhabi begum:Karna kya hai tumhe?
Haya:Masters karna hai.
Bhabi begum:Aab tumhare andar bhi Kya meerab ki padai bhut sawar ho gaya?
Haya:Aap kuch bhi kahe maine faisla le liya hai.
Bhabi begum:Itne pad likkhe karoge kya?
Haya:Mein apne liye padna chahti hu.Pehle laagta ta sirf kitab e khulti thi exam mein pas hone ke liye Lekin aab Mujhe ilm hasil karni hai.
Bhabi begum:Jitna ilm hasil karna tha kar liye.Aab shaadi ki badi hai.
Waqas:Agar yeh age padna chahti hai to padne dijiye.
Bhabi begum:Beti ki himayat karte karte jee nahi bhada ki aab iske liye bhi khade ho gaye.
Waqas:Mere liye sare bacchiyan ek barabar hai.Agar Haya chahti hai Masters karna to iski dakhila mein karaunga.
Bhabi begum:(with anger) jo jee mein karo.

Meerab doing some chores im the lounge area,one servent comes and asked;

Servent:Bibiji aaj khane mein kya pakega?
Meerab:Tum jao.mein aati hu kitchen mein.Aake bolti hu.
Servent:Ji thik hai.

Then servent goes from there.

In the kitchen.

Meerab:kebab,gust ki salan Aur tarke wale daal kardena ek.Aur haa ek sabji bhi kar dena.
Servent:Ji bibiji.
Meerab:Sabjiyan do mere paas.Mein kat deti hu.Aur sab tayar karke do.khana bhi chule pa charha dungi.
Servent:Thik hai.

Meerab is paying attention to what she cooked.Suddenly her eyes stuck on Azra,who just hiding her face.

Meerab:Azra kya hua hai? Apna muh kyun chupa rahe ho?
Azra:Kuch nahi bibiji.
Meerab:Tum idhar au mere paas.
Azra:Rehne dijiye na bibiji.
Meerab:Maine kaha na idhar au.

Then Azra comes to Meerab and she removed the veil from her face,shocked to see lots of spots on her face.It's seems like someone beating her badly.

Meerab:Yaa Allah Azra yeh kaise hua?
Azra:Mein siriyon se gir gaya tha.
Meerab:Yeh to siriyon se girne chot kahi se bhi nahi lag rahi.Sach sach batau kiya hua hai tumhe?

Then another servent comes and said;

Servent:Iske khawand ne mara hai use bibiji.Aur yeh aaj pehli baar nahi mara.Har dusre tisre din hi yeh mar khati hai.

Meerab getting shocked and said;

Meerab:Kya Azra tum shadishuda ho?17 saal ki bacchi ki shaadi kisne karwayi.
Servent:Shaadi to sirf naam ki kiya hai.Shaadi ki naam par kharida hai ise Sabj Ali ne.Iske garib baap ko lakh rupaiya ke badle kiya hai niqah.Aab to yeh uska zaigir hai.
Meerab:Astagfirullah Tum woh 50 saal ki bure sabj Ali ki biwi ho?Mujhe laaga beti ho uski.
Servent:Beti bhi nahi lagti nawasi lagta hai uske aage isko.
Meerab:Batau Azra kyun mara hai usne tumhe?

Azra gives hug to Meerab and just crying and crying.

Meerab:Tum batauge nahi to mein samjhunga kaise?Azra,mein Bilkul tumhare badi behen jaisi hu.Mujhe batau Shayed mein tumhari koi madad kar sakti hu.
Azra:Daal mein namak thori jada ho gaya tha is liye usne Mujhe mara.
Meerab:Zara si baat ke liye hath utha diya tum par.Woh insaan hai yaa hewan?
Servent:Yeh to hum garibon ko mashre ki aam chiz hai bibiji.Shohar ka zara sa bhi gussa aaya nahi biwi ko marne laag jate hai.
Meerab:To tum log mar khate kyun ho?
Servent:Humare pas koi chara bhi to nahi hai.Agar shohar ko rukne lagunga to woh ghar se nikal dega.Agar hum beghar hui to jayenge kaha?Baap bhai bhi to apne ghar mein panha nahi dega.Isse accha hai mar khake hi sahi sad mein chad to rahega.Shohar humare mijaj e khuda hai bibiji.Woh humare sath kuch bhi karne ka izazat rakhte hai.
Meerab:Sad ke upar chad ke liye tum log mar khate rahoge?kahi Ekdin mar khate khate mar hi na jao.
Servent:Woh din to humari azadi ke din honge.
Meerab:Yeh koi masle ka haal nahi hai.Azra tum fiqr mat karo,Sabj ali se baat ki jayegi aur use pucha jayega ki usne yeh harkat kyun ki.Mein hu tumhare sath.

Then Meerab comes to Murtasim and said;

Meerab:Mujhe aap se kuch baat karni thi.
Murtasim:Bolo sun raha hu.
Meerab:Ghar mein jo kam karta hai Azra aaj uske shohar Sabj Ali ne use bohot mara hai.
Murtasim:To mein kya karu?
Meerab:Aap baat kijiye na Sabj Ali se.Aur datiye use uski yeh harqat ke liye.Mujhe Yakeen hai aap kuch bolenge to woh dubara aisi harqat nahi karega.
Murtasim:Yeh un miah biwi ki niji mamla hai.Mera dakhal andazi munasib nahi hoga.
Meerab:Mar pit karna kisi ka niji mamla nahi hota.Aap ko pata hai usne aapni beti ki umar ki ladki se niqah kar beitha Aur aab zara si baat ke liye hath utha raha hai.
Murtasim:Mujhe sab pata hai.Uske shaadi mein main khud shirkat kiya tha.
Meerab:To aapne yeh shaadi hone kaise diya?
Murtasim:Sabj Ali ko mohabbat ho gaya tha Us ladki se.Main kyun rukta use?
Meerab:Aap ki ankhon ki samne ek zurm ho raha tha aur aap khade khade tamasha dekh rahe the.
Murtasim:Mohabbat karna koi zurm nahi hai.Aur niqah kiya hai usne use.Aur Agar shohar kabhi kabar biwi par hath utha bhi de to its not a big deal.
Meerab:It's a big deal.Biwi par hath uthana bohot badi chij hai.Biwi bhi ek insaan hai.Kisi ka kharida hua gulam nahi hai woh.Jo jee mein aaye koi Kuch bhi kahega yaa karega.Aur kya keh rahe the aap Mohabbat karna koi zurm nahi.Sahi keh rahe the aap Mohabbat karna sach mein koi zurm nahi hai.Lekin apne se kam umar ki ladki ko niqah ke naam par kharid lena zurm hai.Us par hath uthana bhi zurm hai.
Murtasim:LL.B ki result out hone se pehle hi wakalat shuru kar diya.Jis tarha se dusro ke bade mein sochte ho.Kabhi mere bade mein bhi soch liya karo.
Meerab:Kya matlab hai aap ka?Mein aapke bade mein nahi sochti?
Murtasim:Pure din Fazool kamo mein masruf rehke raat ko jab mein pas aata hu to thakan ka bahana karke dur hatha deti ho.Lekin aaj se yeh nahi hoga.Mein shohar hu tumhara.Meri bhi Kuch zarorat hai.Aur biwi hone ke nate mere zarorat ka kheyal rakhna tum par farz hai.So be ready for tonight.Aaj mein koi naa nahi sununga.
Meerab:To kya zabardasti karenge mere sath?
Murtasim:Agar zarorat pade to karunga.

Then Murtasim goes from there and Meerab feels disgusting.

[Let me clear you guys,As I say before it's not lovey dovey love story.It's story based on social problems.I just tried to write about realities.It's unnecessary to find love story here]

Meerab Murtasim Ki HuiWhere stories live. Discover now