Part 12

2.5K 121 3
                                    

After exam,Meerab comes home.

In the whole exam session,Murtasim put lots of hurdles on her path,but somehow she overcome it.

And it's her last exam day.

Meerab:Finally exam khatam hua.
Kinza:Agar teri halat pehle jaise hote to kehti chain se soo jake ghar mein.Lekin tujhe to chain se neend bhi naseeb nahi.
Meerab:Chod naa yaar.
Kinza:Zara si baat hoti to chod deti.Lekin Baat chodnewali nahi hai.Tumhari puri zindegi ka sawal hai yaar.
Meerab:Maine kaha na jab tak sabr hai tab tak mein thik hu.
Kinza:Aur Jis din sabar tutega us din kya karoge.Kabhi socha hai?
Meerab:Mujhe jo sahi laage woh karungi.Lekin Filhal yeh dua hai ki mein sirf pas ho jau.Kis condition mein Maine exam diya woh mein janti hu Aur Allah jane.
Kinza:Don't worry.Pas karloge tum.Meri baat maan Meerab,zulm ki aage awaz utha Bilkul waise jaise shaadi se pehle use agreement sign karwai thi.Apna woh josh fir se apne andar laa yaar.Phir dekhna kya hota hai!Apna ladai khud lad.

Then Ruhail passed in front of them.

Kinza:Ruhail,baat suno?
Ruhail:Bolo.
Kinza:LL.B khatam hote na hote hi tum humko bhul gaye.
Ruhail:Aise koi Baat nahi.
Kinza:Naraz ho kya mujhse?
Ruhail:To nahi hona chahiye.Dost hoke dusre dost aage nazar milane ki bhi qabil nahi chora.Tumpe bharosa karke maine ek bohot gehri raaz bataiya tha aur tumne kiya kya?Baat apne tak nahi rakh paye.
Meerab:It's ok Ruhail.Bhool jau us baat ko.
Ruhail:Bhool ne ki koshish kar raha hu us Baat ko bhi Aur tumhe bhi.

Then Ruhail goes from there.Meerab comes out from University.

Murtasim is waiting for her.

Murtasim:Aate waqt kafi der laaga di.
Meerab:Akhri paper tha to sare friends akatte hoke batee kar rahe the.Isliye der ho gaya.
Murtasim:Matlab famale male friend ek sath.
Meerab:Ji haa.Sab ke sab ek sath.
Murtasim:Meerab Mujhe ladko ke sath free hona Bilkul pasand nahi.
Meerab:Mein aapna had janti hu Murtasim.Itne umar to ho hi gayi hai ki acche bure ki samaj rak sako.Aap fiqr mat kijiye.
Murtasim:Ghar chale.
Meerab:Chale.

After coming home,Meerab meet Bhabi begum.

Bhabi begum:To parcha se jaan chuta tumhara?
Meerab:Ji taijaan khatam ho gaya.
Bhabi begum:Yeh padai choro Aur ghar par aapna pura tawajju do.Murtasim ka kheyal rakkho.
Meerab:To kiya mein nahi deti apna pura tawajju ghar ko.Aur meri padai aab tak khatam nahi hua hai.Result out hone ke baad Mujhe LL.M ke liye enrolled karna hai.
Bhabi begum:To tum padai nahi chodoge?
Meerab:Bilkul nahi.

Meerab comes to her room,and feels relieved.This is the first time she give proper reply to Bhabi begum.

Bhabi begum called Murtasim to her room.

Bhabi begum:Main yeh kiya sun raha hu Murtasim.
Murtasim:Kya?
Bhabi begum:Tumhari biwi aab LL.M karegi.
Murtasim:Pata hi to hai wakeel banna hai use.Shaadi wale din ki agreement ko bool gaye aap?
Bhabi begum:To tum use rukne ke liye kuch bhi nahi karoge?
Murtasim:Exam ke waqt dekha nahi.koi kasar choda tha kya use rukne ko?Phir bhi padai bhi ki exam bhi diya.
Bhabi begum:Shohar hu uski.Tumhe aache tarha se pata hai uski ped mein konsa zanzir bandhoge to use padai ke liye ek paal bhi naseeb nahi hoga.Samaj rahe ho na mein kya kehna chahti hu?
Murtasim:Samaj raha hu Maa.Mein bhi koshish kar raha hu.Dua kijiye jald hi koi khush khabri mil jai.
Bhabi begum:Meri sare dua tumhare sath hai.

Meerab comes to her parents room.

Meerab:Abbu kya mein aapki godi mein sar rakh ke thodi der let sakti hu?
Waqas:Yeh bhi koi kehne ki baat hai beta.Aa jau.

Meerab lying down to her father's lap.

Meerab:Aap ki godi mein sad rakh aisa laaga Abbu ki meri sari pareshani khatam ho gayi hai.
Waqas:Maf kardo Mujhe.mere wajah se hi tumhe aaj itne azmaisho ka samna karna pad raha hai.
Meerab:Isme aap ki kya galti?Konsa ma bap jaanbuj ke apni aulad ko mushkil mein dalta hai?
Waqas:Mein hi to tha woh jisne tumhe pad likkhe age badne ki khwab dekhai.Aur aaj jab tum apna khawab ke taraf apna kadam bada rahe ho.Tab mein kya kar raha hu?Tumhare hoshla badane ki wajai tumhare upar kiye gaye zaidi par chup karke dekh raha hu.Beta tumhara yeh niqamma bap majbur hai.Beti ruksat karne ke baad bap apna sara haq beti par kho deta hai.Aur yeh baat mein bhool gaya tha isliye tumhe udne ki khawab dikhai.
Meerab:Humare mashre ki rewayat itne bure kyun hai Abbu.Jis baap ne duniya mein laya,pala pusa bada kiya.Ekdin woh bap aapne beti ke haq mein ek lafz nahi keh pata.Allah ki banai gayi duniya to aise nahi hai.Allah to kisi ke upar bhi zulm nahi karte.Unki banai gaye makhluk aise kyun hai Abbu? Woh itne bure kyun hai?
Waqas:Allah ne acche bure har tarha ki log ko bheja hai duniya mein.Allah ne is jahan mein Agar paigambaro ki tarha acche insaan bheje the Bilkul waise hi firaun jaise bure insaan bhi bheje the.Beta yeh duniya hai jahan acchai bhi hai aur burai bhi.
Meerab:Soche na Abbu agar duniya ke sare log aap jaise acche ho jai to duniya rehne ke liye kitna accha jaga ho jayegi na.
Waqas:Burai hai is liye hum acchai ka kadar kar sakte hai beta.

Then Meerab closed her eyes and her father's lovingly put his hand on her hair.

In the night.

Meerab scrolling her phone,Murtasim comes to her.

Murtasim:Tumhe mein jab bhi dekhta hu pata hai kya sochta hu?
Meerab:kiya?
Murtasim:Khuda ne bhi tumhe bohot siddat se banai hogi.Tumhare qatil nighahen Aur muskurahat kamjur insaan ki dil ka dora pada sakti hai.
Meerab:Accha!
Murtasim:Bilkul dil se keh raha hu.jhoti tarif to Bilkul bhi nahi kiya.

Then Murtasim holds her hand,and trying to come closer to her.

Meerab:Murtasim mein bohot thak gayi hu.Mujhe Filhal sona hai.
Murtasim:Shohar ko mana nahi karte gunah milta hai.
Meerab:Sare gunha biwi ki sad pe shohar ko kya kuch nahi milta?
Murtasim:Kehna kya chahte ho akhir?
Meerab:Shohar ko paas aane se mana kardu to gunah milega Lekin Shohar aap ni biwi tabiyet ko nazar andaaz karke sirf apne zarorat ki bade mein sochta hai.Tab kya use bohot sawab milta hai?
Murtasim:Silence.
Meerab:Allah ne is duniya mein mard Aur aurat dono ko hi banaiya hai.Gunah karo to ek jaisa hi saza milta hai aur sawab karo to neki bhi ek.Agar Allah ne mard aurat mein koi faraq nahi rakha to is mashre ki log kon hote hai farq karne wale.Yeh baat sochna jarur.

Then Meerab goes to bed and Murtasim remain silent.

Murtasim talking to herself,

"Aab iske muh mein bhi zaban aa gaya.Baat sad se upar uthne se pehle kuch karna padega."

Meerab Murtasim Ki HuiWhere stories live. Discover now