Chapter 23

324 22 23
                                    

Recap - Nasir is going to visit gulnaaz in the hospital.
Ps - maine ye reread nai kiya hai to koi bhi errors mile to abhi se sorry ❤

Gulnaaz is much better now, all the wounds are definitely painful but isn't bothering her much, she hasn't talked to aalim yet.

She's awake and is sitting on the hospital bed.

Gulnaaz's pov

I'm feeling much better now, physically as well as mentally.
I'm genuinely proud of myself today, even after that level of torture, I did not spill a word.
But I for a fact know that Nasir wouldn't stop here, he would definitely put me through something else that's why for some time i think I need to completely forget my real identity for some time and from now I've to start believing that I'm innocent and I'm in no contact with India.

Well, where is aalim, the last time he was talking to me i fainted, I just want him to know that--

As I was thinking this, I heard a knock on the door. It was Nasir, he had a bouquet in his hand, I can sense that he has a trick up his sleeve. Ok gau-.. Gulnaaz mode on now.

Pov ends.

Naaz - aap?

Nk - hmm, ye lijiye aapke liye (puts the bouquet on the side table)

There was a very awkward silence between them.

Nk - dekhiye, abhi bhi waqt hai, aap confess kar sakti hain..

Naaz - aapki problem kya hai sir? Aakhir kya confess karu mai jab maine kuch kiya hi nahi to??

Nk - dekhiye mujhse farebi mat kariye, mai sab ka sab jaanta hu, kaise aap vo raw chief ko contact karti thi, unhe aapne sab bataya kaise, kab.. Mujhe sab pata hai gulnaaz.. Aur shayad ye bhi ki aapka asli naam gulnaaz nahi hai..

Naaz - sir ye kya khayali pulao bana rahe hain aap? Raw chief ka naam tak nahi pata mujhe.. Aur agar gulnaaz naam nahi hai mera to fir kya hai ye bhi aap bata dijiye?

Nk - gunehgaar.

Naaz - enough is enough sir, aapne illegal tareeke se pehle to 3rd degree 3rd way + lie detector liya mera.. aapne mere shauhar ko mujhe dard dene ke liye istemaal kiya.. Emotionally, physically donon tarah se drain karke bhi aap me itni himmat hai mujhse ye kehne ki?

Nk - to aap confess kabhi karengi??

Naaz - confess karne ke liye kuch ho to sir..

Nk - theek hai fir, aapki marzi.. Ye dekhiye..

He opens his phone and shows gulnaaz a video of aalim.

In the video, he's tied to a chair, with his mouth covered with a strip of duct tape.
Someone scratches the tape out of his mouth and he screams as along with the tape some facial hair of his came out.
As soon as the tape gets removed he says with heavy breath -"naaz please naaz, confess kar dijiye naaz, ye log mujhe bohot taqleef de rahe hain yahan, aur dhamka bhi rahe hain ki agar aapne confession nahi diya to mujhe maar daalenge.. Please naaz jo bhi sach hai bol dijiy---" As he was about to continue somebody once again wrapped his face up with a cloth.
The video ends.

Naaz instantly stood up from the bed, even though she was in a tragic pain.

Naaz - sir ye aap theek nahi kar rahe hain sir, aapko mujhse dushmani ya problem hai to mujhse kahiye na, aalim ko beech mai kyu ka rahe hain aap.. Please sir unhe chhod dijiye.
(She had joined her hands to say this and her was shivering)

Nk - chhod denge chhod denge, lekin pehle tum confess karo. Jitna time tum confession me lagaogi utna dard ham tumhare shauhar ko denge.. Karo confess.

Naaz (sobbing) (falls on knees as she was shivering way too much) - sir kya kahu mai sir, kya confess karu? Mujhe thoda idea bhi agar hota raw ke baare me to mai jhooth bol deti aapko khush karne ke liye sir lekin mujhe to utna idea bhi nahi hai, sir mai apne mulk se gaddari kyu karungi sir? Aapko aalim se kya problem hai sir, usne kuch nahi bas apne mulk se wafadari nibhai hai sir! Maine bhi vohi kiya hai, to hame aakhir ye saza kyu?
Sir mulk se gaddari se bura ilzaam aur kya ho sakta hai..aur maut se bhi bura torture to already aapne mujhe de chuka, agar mujhe kuch pata hota to mai tab hi bat deti na..aapko mujhse aur test karane hai? Kara lijiye? Ek aur baar 3rd degree dena ho de dijiye lekin aalim ko chhod dijiye sir, let him go... Khuda ke vaaste use jaane dijiye sir
(Cries badly)

Nk - hmm..

Gautami notices that Nasir's thoughts are finally inclining towards "she's actually innocent" Side. So she takes advantage of the moment.

Naaz - sir aapne mujhpe itna torture kiya, itna tadpaaya lekin mai kuch nahi bol rahi, bas mujhe ye bataiye ki aapne ek pal keiye bhi uss shauqat par shak kiya? Mujhe to aapne saza - e - maut se bhi buri tarah tadpaaya, bhale hi mai itne saalon se wafadaari se apna kaam kar rahi hu, aur aap ko to mujhpe itna trust bhi tha ki aapne mujhe itne kam time me ISI analyst head bana diya tha.. Vo bharosa keval ek statement se gayab kaise ho gaya?

Nk - kyuki shaukat hamara bohot purana agent hai ye to aap bhi jaanti hain..

Naaz - purani agent to ada ali bhi thi na??

Nk - matlab?

Naaz - matlab ki ada ali bhi ek bohot purani agent thi hamari, usko bhi to indian army ne pakad liya aur fir usne bhi unke aage ghutne tek liye aur hame galat information dena shuru kar diya??

Nk - aap kehna kya chah rahi hain??

Naaz - yahi sir ki ho sakta hai shaukat ko bhi wahan ki army ne pakad liya ho aur uske through kuch bhi bakwas information faila raha ho..vo chahte ho ki ham apne aap mai hi ulajh kar mission pe focus karna bhul jaaye and exactly vohi hua.. Itne dinon me jabse aapki shaukat se baat hui hai, kya aapne mission oe dhyaan diya?? Kya dobaara usse baat hui? Nahi na, kyuki I'm pretty sure he's been held hostage aur usse ye sab kehelvaya jaa raha hai..
Please think about it this way sir.
(She's so smart dude)

Nk has gotten completely in a delusion now.

Nk - ham sochenge iss baare me..
(Leaves the room)

(Naaz smirks when he leaves)

As he leaves the room, somebody else opens the gate.

___________________________________________

𝐊𝐲𝐚 𝐥𝐚𝐠𝐭𝐚 𝐡𝐚𝐢 𝐤𝐚𝐮𝐧 𝐡𝐨𝐠𝐚? 𝐀𝐧𝐝 𝐚𝐚𝐠𝐞 𝐤𝐲𝐚 𝐡𝐨𝐠𝐚? 𝐀𝐧𝐝 𝐰𝐡𝐲 𝐝𝐢𝐝 𝐧𝐚𝐚𝐳 𝐬𝐦𝐢𝐫𝐤? 𝐀𝐚𝐥𝐢𝐦 𝐤𝐞 𝐬𝐚𝐚𝐭𝐡 𝐤𝐲𝐚 𝐡𝐨𝐠𝐚?

𝐉𝐚𝐚𝐧𝐧𝐞 𝐤𝐞 𝐥𝐢𝐲𝐞 𝐛𝐚𝐧𝐞 𝐫𝐚𝐡𝐢𝐲𝐞 𝐡𝐚𝐦𝐚𝐫𝐞 𝐬𝐚𝐚𝐭𝐡.

𝐃𝐢 𝐯𝐨𝐭𝐞, 𝐜𝐨𝐦𝐦𝐞𝐧𝐭 𝐚𝐧𝐝 𝐟𝐨𝐥𝐥𝐨𝐰 ❤

𝐒𝐭𝐚𝐲 𝐭𝐮𝐧𝐞𝐝 ❤

A known stranger | Ft. Abhyutami Where stories live. Discover now