Chapter 16: Perfect Match

1.4K 232 41
                                    

Next Day, Sana was getting ready for office in her room when Nandu entered the room.

She saw Sana all dressed and said, "Yeh kya Bhabhi? Kaal itna kuch hogaya aur aaj aap office jaa rahe ho? Aap ki tabiyat thik nahi hai aap ko rest karna chahiye."

Sana smiled and said, "Nandu main bilkool thik hoon. Mujhe dekh ke paata nahi chal raha kya?"

"Phir bhi. Mom ko paata chal gaya toh bohut gussa ho jaayengi." Nandu said sitting on the bed.

Sana sat beside her and said, "Mummy Ji ko main samjha dungi.... Aur har waqt meri itni fikar karne ke liye thank you."

"Iss mein thank you kis baat ki?" Nandu asked. "Aap family member ho humari. Aap ki fikar nahi karenge toh kiski karenge?"

Sana again smiled hearing it. She was overwhelmed seeing the care and affection the people of this house were showing towards her. In a short period of time, they started considering her as one of the family members. And what about her? Didn't she also start considering these people as her own family?

"Waise ek baat kahu?"

Sana's thoughts broke by Nandu's voice.

"Kaal jab Bhai aap ko ghar le aaye the uss waqt aap unconscious thi. Hum sab hi bohut darr gaye the lekin agar sabse zyada koi aap ke liye pareshan the, toh woh the Bhai. Bohut dino baad maine unhe kisi ke liye itna bechain hote dekha. Unko tab tak shaanti nahi mili jab tak doctor ne unhe yeh assure nahi kiya ki aap thik ho. Aur Bhai humari family ke alawa kabhi kisi ke liye itna pareshan nahi hote. Kaal unhe dekh kar mujhe itna toh yakeen ho gaya ki woh aap se bohut pyaar karte hai."

"Pyaar?" Sana asked with disbelief.

"Haan pyaar." Nandu said. "Aap ko nahi lagta woh aap se pyaar karte hai?"

Before Sana could reply, both of them heard Rita Ji's voice.

"Mummy Ji bula rahi hai. Humein jaana chahiye." Sana said to which Nandu nodded.

They both came out of the room.

"Nandu yeh sab kya bol rahi thi? Sidharth mujhse pyaar.... Aisa kabhi ho hi nahi sakta. Woh toh Hina se pyaar karta hai. Aur agar kaal Sidharth mere liye worried ho bhi gaya tha toh usse pyaar karna thodi bolte hai? Hum dono kabhi ek dusre se pyaar nahi kar sakte. Nandu ko hum dono ke rishte ka sach paata nahi hai, isliye sayad usse aisa lag raha hai." Sana said in her mind while leaving.

On the other hand, Rita Ji was working in the kitchen. Suddenly her phone rang and she picked up the call. It was Sana's mother, Pratima Ji.

"Haan Pratima Ji boliye." Rita Ji said.

"Namaste Rita Ji. Woh maine aap se kuch zaroori baat kar ne ke liye call kiya tha." Pratima Ji said.

"Kya baat hai?"

"Woh aaj unn dono ki shaadi ka atwa din hai toh hum astomangala ke liye unhe invite karna chahte the."

"As... Kya kaha aap ne?"

Pratima Ji covered the speaker of the phone with her hand and asked Sneha, "Astomangala ko Hindi mein kya kehte hai?"

"Umm.... Astomangala ko Hindi mein kehte hai.... Pagphera." Sneha replied.

Pratima Ji removed her hand from the speaker and said, "Ji woh Pagphera. Hum unn dono ko pagphere ke liye bulana chahte hai. Waise toh humein pehle hi invite kar dena chahiye tha lekin shaadi itni zaldi mein hua ki yeh baat dimaag se ekdam nikal gaya. Aap Sana aur Sidharth ko aaj humare ghar bhej dengi?"

"Asal mein Sidharth subah subah kaam pe nikal gaya hai. Usne kaha tha usse aaj pura din kaam hai. Aur humare yaaha sirf ladki apne maike wapas jaati hai pagphere ke liye. Ladka usse wapas lene jaata hai."

Marriage First Love Next (Completed)Where stories live. Discover now