❤ Their Anger 🖤

2.7K 224 138
                                    

Haseena's Apartment

"Sach mein Anubhav ne aisa kaha?" Nidhi asked in disbelief, passing a coffee mug towards Haseena.

Haseena-haan, mujhe pata hai tumhe vishwas nhi hoga but haan...Anubhav ne kaha ki main uske liye special hoon...(her cheeks are still giving competition to red tomatoes).

Nidhi-dekh Haseena Tu khud ko thoda sambhal aur uski baaton mein fas kar pyaar vyaar ke chakkar mein mat pad jana warna baad mein bahot problem hogi tujhe...(she said out of concern).

Haseena-Nidhi...?!

Nidhi-baat samjh Haseena, tum dono ki yeh shaadi sirf jaroorat par tiki hai...tujhe paison ki jaroorat thi toh tune Anubhav se contract ko haan bola aur use tujhse bacche ki jaroorat hai isliye usne tujhe paise diye...teri jaroorat puri ho gyi hai aur jab uski bhi puri ho jayegi toh phir tumhare rishte ki neev hi khatm  aur bina neev ke rishta bhi khatm...

Haseena-aisa kuch nhi hai, mana hamara rishte ki neev paisa aur jaroorat thi par ab hamare rishte mein feelings bhi hai...aur usne khud kaha ki main uski wife hoon...(she tries to answer her heart's questions which are raising a storm of fear in her after Nidhi's words).

Nidhi-usne bola aur tune maan liya *taunted sarcastically*  tune kabhi usse puchha ki use sirf baccha kyun chahiye wife ya girlfriend kyun nhi...

Haseena-use sirf heir chahiye apni family ke liye...

Nidhi-wahi toh main kah rahi hoon ki use sirf heir kyun chahiye woh toh aaram se kisi se shaadi karke apni family bana sakta hai..wife, bacche sab honge par use sirf baccha chahiye means use sirf bacche ki hi jaroorat hai shayad wife ho uske paas pehle se hi...(she said, which unknowingly hurts Haseena).

Haseena-tu bakwas mat kar, aisa kuch nhi hai uski wife hoti toh woh mujhse yeh shaadi kyun karta....( angrily).

Nidhi-shayad uski wife use uska heir nhi de pa rahi ho isliye....

Haseena-tu bakwaas band kar aisa kuch nhi hai...(angrily).

Nidhi-Haseena Tu bahot innocent hai, Tu janti nhi ki yeh duniya yahan ke log bahot selfish hai aur paison wale logon ke liye cheejon aur logon mein koi antar nhi hota...(she tries to make her understand her about her concern and worries for her).

Haseena-mujhse behtar koi nhi janta ki yeh duniya kitni selfish hai isliye kah rahi hoon Anubhav selfish nhi hai....aur agar mujhe usse pyaar hua bhi toh bhi I will never regret that beautiful mistake...(she said with determination and confidence).

Nidhi-aur bacche ke baad tum dono ko alag hona pada toh? Toh tu kya karegi apne us pyaar ka...(she said angrily as she doesn't want to see her bestie with a broken heart).

Haseena-I will love him till eternity chahe hum saath rahe ya na rahe...(she said with confidence in her kohled eyes).

Nidhi-jaisi teri marzi par yaad rahe agar tu tute dil ke saath rote huye mere paas aayi toh jaan le lungi us Anubhav ki...(she said angrily).

Haseena smiles, seeing the love and concern in her best friend's eyes. She hugged her.

Haseena-jaan mat lena warna main bhi mar jaungi...(she said smilingly).

Nidhi-ja nhi lungi par bol dena use agar tujhe kharoch bhi aayi toh main use chhodungi nhi...(grumpily).

Haseena-woh jab yahan aayega tab Tu khud bol dena...(Nidhi broke the embrace in shock).

Nidhi-woh yahan aayega?

Haseena-hmm...usne kaha hai woh Jiya se aur tujhse milne ke liye aayega...(smiling).

My Billionaire Husband ✔Wo Geschichten leben. Entdecke jetzt