Chapter:11 Humsafar k sath bhi Tanha

7.6K 284 18
                                    

Soha's nikkah dress is here.

Happy reading !

°°°°°°°°

Soha's POV

"Banno re banno meri chali sasural ko,
akhiyon mai paani de gai,
Dua mai,
Meethi gurr thani le gai...."

Ifra was singing this song so loud for the neighbors also to hear. Qasam se pagal ho gai ha ye larki.

Aj do mahinay guzar gaye han aur pata bhi nahi chala. Kab rishta teh hua, kab saari tayari ho gai shadi ki aur ab kal ek beti ki zindagi ka sab se mushkil tareen marhala, jab woh apne naam k sath kisi aur ka nam jorti hai, jab woh apna sab kuch chor k apne maa baap, bhai behn bas ek insan k sath chal parti hai. Woh bhi bas maa baap ki khushi k liye.
Han! Kal mera nikkah hai. Mne koi bhi grand marriage karne ka khawab nahi sajaya tha aur na hi aisa karne ka mne kisi se kuch kaha. Bas sadgi se nikkah aur rukhsati, thank God is par Sheharyar aur us k ghar waly bhi maan gye. Although, I haven't seen or contact Sheharyar from past do months. Pata nahi kiu, par mujhe lagta hai k woh is shadi se khush nahi han, neither I am happy.
Acha hai! Dono apni apni zindagi aram se jiye gay, bina interfere kiye.

Zuhaib ki shadi sahi dhoom dham se band bajy k sath barat le kar jaye gay. Aur phir hum dono ka walima ek sath ho jaye ga Insha Allah

Ye meri bhi khawahish hai aur alia ka khawab bhi. Alia is a nice girl, kuch hi arse mai we became friends. Han thori moody hai. Par she is too lovely.

Mera nikkah baba k kehne par zuhaib ki shadi se 1 week pehly rakha hai. So kal mera nikkah aur rukhsati hai aur zuhaib ki shadi agly week.

     Time is like a bird. It would fly away and you can't even catch it.
And its well said that Some search everywhere for a cure, something to make them whole, when all along that was locked away inside because many times, the only thing that is wrong with us is our view of ourselves.

So I have changed the view of myself. And have accepted my fate and Destiny.

"Ooo miss philosopher??? Aj k din toh itna sochna chor do! Bahir aa jao Sheharyar bhai k khayalo se. "
Baaz nahi aye gi ye larki !!!

Actually ye madam mere ghar aa k reh rahi han do din se. Aur ab kal nikkah hai toh mere hi bed par baith k mera hi sar khaa rahi hai.

"Mujhe us k elawa aur bohat kam han sochne ko
Ab soo jao subha bohat kam han. " I replied.

"Hannnnnn kal ka din toh kam ha hi.... kal ki raat bhi bohat sohani ho giiiiiiii....."
This girl! I am telling you ye mere hath se aj mary gi.

"Tu chup kar k soo rahi hai ya mai mama k pas jao?" I faked an angry face.

"Acha acha baba! Soo ja. Par kal tum isi time mujhe yaad karo gi. Jab Sheharyar bhai aye gay room mai...."

She moved towards the door.

"Aur room ka darwaza lock kary gay...."

And she locked the door. And started walking slowly.

"Aur phir yu paas aa k baith jaye gay..."

Then she sat on bed beside me, and held my hand,

"Phir tumhara hath pakre gay...."

I looked up and slapped her slowly and said " aur phir ma yu use thapar maru gi"

"Tch tch tch. Mujhe to abhi se hi Sheharyar bhai par taras aa raha hai. Bechare tumhare liye proposals dhond dhond thak gye aur ab khudi is azab ma phans gye. Wase koi nahi DOCTOR biwi mili hai unhay. Khudi mar mur bhi kar de gi aur khudi elaaj bhi kar de gi. " I laughed at her statement but didn't said anything, just took my pillow and laid down on bed and closed my eyes.
After sometime, ifra also slept. It was now midnight around 2 o'clock I guess. Sleep was not even a bit near me. I stood up and walked towards teris. I watched the sky ,stars and the moon. And then towards my hands.
  Zindagi ma bohat dafa ye mehndi ka rang laga hai mere hatho par, par aj pehli bar ye mehndi kisi k nam ki rachi hai in hathelio par. Ye mehndi gawah hai k mai kisi aur ki hone ja rahi hun. Ye ghar, ye rishtay sab kisi sardi ma road par chalty hue fog ki tarha madham ho jaye gay. Aur jo baqi reh jaye ga, jo baqi nazar aye ga ankho ko woh naye chehre, naye rishty, aur nai zindagi ho gi.
A tear slipped from my eye.
Aye mere Rab! Mai tujh se apni har khawahish k pure hone ka mutaliba nahi karti. Tu toh RAHEEM hai, sab ki har dua puri karta hai. YA RAB! MERE MAA BAAP KO HAMESHA KHUSH RAKHI! UN KI ZINDAGI KI HAR MUSHKIL AUR PARESHANI DUR KAR DE. Aur mere Allah! Mujhe himmat aur taqat de k ye naye rishty mai khush asloobi se nibha sakon. Ameen sum ameen.

Zindagi Ka Safar ( The Journey Of Life)Where stories live. Discover now