Hawa aane de

907 134 165
                                    

Sameer fumed at Munna once they were alone, 'Can you explain? Yeh tha kya? Na jaan na pehchaan chal pade kisi ke bhi bade bhaiya banne. Woh ladki fraud bhi ho sakti hai. Tujhe phansa deti toh?'

Munna tried to placate him, 'Arey nahi, woh bechari to khud phansi hui thi. Uska boss use harass kar raha tha. Jab woh phone pe baat kar rahi thi toh usne Naina ki drink mei kuch milaya. Pakka uske iraade nek nahi the. Maine to bas Naina ko rescue kiya.'

Sameer threw his hands in air, 'Aap apne aapko koi mahatma ya hero samajhte honge par aap hain nahi. Idiot hain ek number ke. Usne kaha tujhse ki aao mujhe rescue karo? Agar ulta tujhe hi blame kar deti to? Ladki agar shor macha de toh sab usi ki baat sunte hain. Saale tu khud toh pit ta hi mujhe bhi marwa deta.'

Munna looked around at people who had started to give them strange looks because of Sameer's outburst and whispered, 'Naina ki wajah se nahi par teri harkaton se zarur pit jayenge.'

Sameer realised his folly and controlled his anger, pulling Munna inside the car, 'Aaj ka din hi kharaab hai. Chal tujhe ghar chod deta hun.'

Munna sighed as he adjusted the seatbelt, 'Nahi bhai, office ke samne drop kar de. Saare products office mein hi rakhe hain isliye mujhe baaki ka kaam wahin baith ke karna padega.'

Just as he was about to start the car, it occurred to Sameer and he exclaimed loudly, 'Yeh toh wahi ladki thi, jisne mujhe dhakka maara tha.'

'Hein? Tujhe dhakka maara?' Munna was startled, 'Tu Naina ko jaanta hai kya?'

Sameer narrowed his eyes, recalling the outfit of the girl who collided with him, 'Pakka wahi thi. Jaanta toh nahi par jab yahan aa raha tha toh darwaze se PT Usha ke jaise bahar nikli aur mujhe dhakka marte hue bhaag gayi. Mera phone tak gira diya. Shukr hai toota nahi. Aur itni tameez bhi nahi thi ki ruk ke sorry bolti.'

Munna nodded, 'Tabhi bahar gayi hogi, apne us boss ki harkaton se pareshan hokar.'

'Aur uski harkaton se jo baaki logon ko pareshani hui uske liye sorry tak nahi kaha gaya. Itna issue tha toh aayi kyon apne boss ke saath yahan. Hamare saamne toh badi akad dikha rahi thi, usko manaa bhi nahi kar paayi. Aur hamare Munna bhai ko aisi ladki hi mili behen banane ke liye.' Sameer started to get annoyed again.

Munna explained in a calm voice, 'Uska problem bhi samajh yaar. Woh khushi se nahi majboori mein aise aadmi ke saath aayi hogi. Agar behen samajh ke thodi help kar di toh kya ho gaya.'

Sameer was still mumbling when they drove out, 'Duniya bhar ka theka isne le rakha hai. Dimaag pe taala laga ke rakhta hai. Behen bhi bana liya aur us behenji ko job bhi offer karne chala hai. Shaadi hi kar le. Zindagi bhar ke liye uska bodyguard ban jaa.'

Munna was well aware of Sameer's short temper.

He laughed it off, 'Dimaag itna garam kar liya ki kahan se kahan lekar chala gaya baat ko. Behen bhi bol raha hai aur shaadi karne ko bhi keh raha hai. Arey bhai, kisi ki help kar sakte hain to karni chahiye na. Achha ab gussa mat kar. Hamare apne problems kam hain kya jo tu is baat pe time waste kar raha hai.'

Sameer shook his head in frustration, 'Pandit yahan hota toh iske liye woh bhi mera hi saath deta.'

Munna chuckled, 'Galat. Jahan ladki involved ho wahan Pandit hamesha ladki ki side lega.'

Sameer gave a quick frowning look to Munna before turning his attention to the road, 'Ladki ki side leta behenji ki nahi. Uss jaisi ko toh woh palat ke dekhta tak nahi.'

Munna turned serious, 'Aise mat bola kar yaar. Kisi ki appearance ko judge karna achha nahi hota. Aur itni kya buri thi. Normal ladki thi. Seedhi saadi, meri tarah middle class... jahan office jaane wali ladkiyan office ke mahaul ke basis pe kapde pehenti hain. Uske behoode boss ko dekhkar koi bhi bataa sakta hai ki female staff kitni uncomfortable hoti hongi wahan. Tu yeh sab nahi samjhega.'

Kiska Hai Tumko Intezaar Where stories live. Discover now