Yeh kya ho raha hai mujhe

760 119 47
                                    

Anaya could not let this opportunity to tease her brother pass easily. She straightened her shoulders and spoke in a heavy voice, 'Aaj khush toh bohot hoge tum,' then winked, 'Ab aapko Naina, sorry sorry, bhabhi se milne ke liye koi mauka nahi dhoondna padega.'

Ambika was in a teasing mode too, 'Arey isey bahane ki kya zarurat hai yeh toh jab marzi mil leta hoga. Bahane toh humein banana padte hain, kyonki tera bhai itna posseseive hai apni Naina ke liye ki usey humse bhi nahi milne deta.'

Sameer was irritated by their excitement and playful teasing, 'Aap log mazaak choro aur yeh batao ki shaadi ke liye February ki date kisne decide ki? Itni jaldi shaadi karne ki toh koi baat nahi hui thi. Papa ne kaha tha chaar paanch mahine ka time hai mere paas. Fir achanak agle mahine kyon?'

Ambika turned serious, 'Sameer, shaadi jaisa decision life ka bohot bada decision hota hai. Jaanti hun tum bhai behen panditji ki baton ko importance nahi dete lekin sab log kuch bhi bada karne ke liye shubh ashubh ko maante hain. Maine jab teri shaadi ke baare mein pucha toh unhone kaha teri aur Naina ki kundali chahiye. Mujhe pata tha agar tujhse kundli ki baat ki toh tu kabhi nahi lakar dega, isliye maine seedhe Naina ko hi phone kar diya.'

'Kya?' Sameer was astounded, 'Aapne Naina se uski kundali maangi? Aur usne de di?'

Ambika shook her head sadly, 'Baat hi kahan ho paayi? Usne phone nahi uthaya. Shayad office mein kisi meeting mein hogi.'

Sameer was confused, 'Agar shaadi ke liye kundali ki zarurat hi nahi hai toh date kaise nikaalte hain?'

Ambika smiled, 'Maine panditji ko Naina ki birth date bata di aur unhone uske hisaab se options de di.'

'Aapko Naina ki birth date kaise pata?' He was surprised.

Ambika pointed at her daughter with a warm smile, 'Anu ne bataya. Panditji keh rahe the ki tum dono ek dusre ke liye ekdum perfect ho. Best jodi hai.'

Sameer groaned silently. If only his mother knew how they felt about each other was far from perfect.

He asked, trying hard to mask his irritation, 'Perfect hain na? Agar shaadi agle mahine nahi ki toh yeh perfection kam ho jaayega kya? Itni kya jaldi hai aap logon ko?'

Anaya chipped in to give him the reason, 'Kyonki pandit ne kaha hai February ke baad agla muhurat August mein hai. Ruk sakte ho kya August tak?'

In his mind, Sameer cursed the person who could not find a single date suitable for his marriage in the month of May. This wasn't going as per plan at all.

He tried another approach, 'Mummy, aapko shaadi ke liye kitni saari preparations karni hongi. Agle mahine tak kaise hoga sab? Kyon na hum kisi aur pandit se puchh ke dekhen? Ya fir...'

Before he could come up with more ideas, Ambika raised a palm to stall him, a stern look on her face, 'Dekh Sameer, is case mein teri ek baat nahi sunungi. Shaadi toh hamare panditji ki batayi hui date pe hi hogi. Kisi aur ke paas jaane ki zarurat nahi hai. Aur preparations ki chinta tu mat kar. Main sab kar lungi.'

She narrowed her eyes when Sameer did not appear excited, 'Kahin tu aur Naina fir se jhagda karke toh nahi baithe? Shaadi ka naam sunke itna ghabra kyon raha hai?'

'Na... nahi toh.' He quickly shot a glance at Anaya, who seemed concerned at her mom's observation, 'Isme ghabrane ki kya baat hai. Main bas thoda... surprised hun. Aapne achanak... matlab, ekdum se shaadi karne ko bol diya... main prepared nahi tha.'

Ambika rolled her eyes, 'Tum aajkal ke bachhon ka kuch samajh nahi aata. Jab tum dono ki relationship mein koi problem nahi hai toh kisliye delay karna hai? Do saal ka time kam hai kya? Jitna ek dusre ko dekh jaan sakte the utna jaan liya. Baaki shaadi ke baad hi pata chalega. Jab Naina se pyar karta hai toh commitment se darta kyon hai?'

Kiska Hai Tumko Intezaar Where stories live. Discover now