Maaf kar do na

627 127 56
                                    

Hahaha... everyone could guess that Sameer would be at the same restaurant. But no marks for that... I had given ample hints 😌 What is left to see is how he reacts to this situation. Any guesses on that 😉 Read on to know how close you are in this game

Anuj was surprised to see his wife, 'Tum yahan kyon aayi Tina? Maine kaha tha na main handle kar lunga.'

Tina took the chair next to him, her gaze still on Naina, 'Tum bohot seedhe ho Anuj. Mujhe pata tha tumhari yeh chant behen tumhe manipulate karegi, iski aadat hai har kaam mein interfere karke usey kharab karne ki.'

Naina forced herself to keep her voice low as she spoke through clenched teeth, 'Aapke kisi kaam mein mera koi interest na pehle tha na ab hai. Aap aur bhaiya jo karna chahte ho, jaise karna chahte ho, karo. Mujhe sirf apne ghar se matlab hai, kyonki woh mere mummy papa ka ghar hai.'

'Hai nahi tha.' Tina corrected her, 'Ab tumhare mummy papa hi nahi hain toh unke naam ka kuch bhi tumhara kaise ho sakta hai? Jaanti ho na papaji ne sab kuch Anuj ko hi diya hai?'

'Jaanti hun.' Naina replied sharply, to camouflage the pain that pierced her at Tina's hurtful but true words, 'Lekin isse asliyat nahi badalti. Papers pe bhaiya ka naam hai par sach toh yehi hai ki main bhi papa ki beti hun aur unki har cheez pe mera bhi hak hai.'

Anuj narrowed his eyes, 'Toh ab tujhe us chote se flat mein bhi hissa chahiye? Isliye milna chahti thi tu?'

Tina let out a sarcastic smile, 'Dekha Anuj, maine kaha tha na yeh kuch plan kar rahi hai. Iski nazar tumhare flat par hai.'

'Woh mera bhi ghar hai bhabhi.' Naina was trying hard to keep both her rising temper and tumultuous emotions in check but it was getting tougher, 'Aur bhaiya, main koi hissa nahi maang rahi. Main sirf itna keh rahi hun ki woh ghar iklauti yaad hai mummy ki, usey yun hi mat jaane dijiye.'

Anuj snapped, his voice bitter, 'Yun hi ka kya matlab hai? Paison ki zarurat hai isliye bech raha hun. Warna kahan se laun? Tu degi?'

Tina asserted, siding with her husband, 'Agar tum nahi chahti ki Anuj woh ghar beche toh paise tum arrange kar do.' She told her the exact amouth they needed.

'Main kahan se laungi itne paise, bhabhi?' Naina was flabbergasted to know the astronomical sum, 'Aap log jaante ho mere paas kuch nahi hai.'

Anuj was swift to point out, 'Hota bhi toh tu kaunsa de deti. Anyway, maine decide kar liya hai. Capital raise karne ka aur koi tareeka nahi hai.'

His tone was dismissive, as if nothing mattered to him, neither the house, nor the memories attached to it. He was six years elder to her. He would definitely have reminiscences of the time he had spent with both parents. But all he was thinking about was his new venture.

Steeling her voice, Naina shot back, 'Naya business start karne ke liye apna sab kuch daanv pe laga dena samajhdaari nahi hai. Jitne paise hain utni investment wala kuch kaam shuru kijiye. Ek baar woh set up ho jaaye toh uske profit se aap jo chaho kar sakte ho.'

Anuj placed his hands on the table between them, leaning a little to look at her with flaming eyes, 'Don't cross your limits, Naina. Mujhe business kaise karna chahiye yeh batane wali tu hai kaun? Tune kya achieve kiya hai aaj tak jo mujhe gyaan de rahi hai? Khud ko itni akal wali samajhti hai toh ab tak khud ka business khada kar leti. Lekin tu abhi bhi ek choti si job karti hai aur Natasha ke ghar pe rehti hai. Tujhe pata hai maine do saalon mein apna status kahan se kahan pohoncha diya? Agar koi aam sa start up hota toh main ek second mein paise laga sakta hun. Par ab mujhe top ki league mein jaana hai isliye investment bhi bada chahiye. Tujhe yeh sab kahan samajh ayega. Tu khud middle class level pe rehna chahti hai aur apne saath baaki sabko bhi wahin rakhna chahti hai. Achhi khaasi family hai Natasha ki. Lekin woh sab kuch chod ke ek mamuli se ghar mein rent pe rehti hai aur air hostess ki naukri karti hai. Uska brain wash kar diya lekin main itna bewakoof nahi hun jo teri baaton mein aa jaunga.'

Kiska Hai Tumko Intezaar Where stories live. Discover now