KPKT 78

1.3K 162 12
                                    

Karishma busy with the file, before living the MPT, her cell rings, & she look the cell, with name of notification, she check the messge, "maaf kariye agar aap kaam mei busy hai, toh hum baad mei baat karnge, lekin abhi agar humein aapko message nahi kiya hota toh shayad raat bhar thik se nind nahi aati, aur nind nahi aati, toh kal thana ka kaam bhi adhura rehta aur hum aise hone toh bilkul nahi dete, issliye bina jaada waqt barbaad kiye aapko hum doono ke saare ussolon ko side mei rakhte huye, yeh puchne ke liye message kiya hai, kya aap thik hai, kiu ki humara haal itna toh accha hai nahi aur, baki aap samjh hi sakti hai, message padhne ke baad, aap reply aapke hisab se kariye, humein koi problem nahi hai, miss you coco, aur sab se badi baat aapke haath ki coffee badi jaada miss kar rahe hai, humein coffee banayi lekin aap jaise banti hai waise bani nahi hai, kya daalti hai aap uss coffee mei" Karishma smile while scratching her side nose, & started to reply..

Haseena off the lights & her cell beep with the message, & she check the message quickly, "abhi agar aapka message nahi aata toh kal subhe tak hum hi aapke paas complain likhwane wale the, ke corny namak insan se hum pyar kar baith hai aur ab usske paas humare liye koi time hi nahi hai, naa woh humse koi demand kar rahi hai aur naa hi humein koi aisi pyar bhari baatein, khair ab message aa gaya hai toh humein koi appati nahi hai, waise jo haal aapka hai wahi humara hai, aur hum bhi aapko utna hi miss kar rahe hai, bas time hi nahi mil raha hai, ke chain ki saas le aur aapko iss baare mei baata sake, waise I miss you too, aur coffee humara pyar hota hai aapke liye, iss liye aapko woh pasand hai, iss liye aapko aapke haath ki coffee acchi nahi banti hai" Haseena smile with the blush cheek, & she hold cell near to her chest, & close her eyes..

Santu & Karishma goes on round & Santu asked- Karishma madam ek baat puch sakti hun..

Karishma look to Santu once, who having a tea near the tea stall- hmm pucho..

Santu- aapne aapke maa papa se baat ki hai, aapke aur madamsir ke baare mei..

Karishma look to Santu & says- nahi kar paaye hai, lekin amma ko bola hai, phir bhi thoda tension hai..

Santu- aur madamsir ki ammi, unnka kya, kya woh tyar hongi aapke aur unnke rishte ko lekar..

Karishma sip the tea once & says- wahi toh samjh nahi aa raha hai, ammi waise hai toh soch aur vicharon se kahi upar, lekin kabhi-kabhi aisa lagta hai, unnka jo madamsir ke prati pyar hai, woh hum doono ke pyar se bhi upar hai, aur woh na sab unn maa ke jaisi hi hai, jo aapne beti ka ek perfect family picture mei dekhna chahti hai, jaise ke unnka haq bhi hai..

Santu- toh ab aap kaise..

Karishma- wahi toh samjh nahi aaraha hai na Santu, kiu ki hum kuch dinno pehle lagta tha, Pushpa amma ko jab pata chalega, aur aap sab ko pata chalega toh aap sab kaise react karnge, ek taraf toh yeh darr tha ke tum humein aur madamsir ko galat samjhoge lekin usske ekdum se viparit hua, waise hi ammi ke mammle mei lagta hai, woh jis tarah se hai, matlab woh lagti hai, ki woh aaj ke zamane ki, lekin kabhi-kabhi unnke vichar, unn sab maa-baap jaise hi lagte hai..

Santu shook her head & says- toh aisi baat hai..

Karishma- ji..

Santu says with little excitement- Karishma madam ek baat ho sakti hai, jise aapko pata chal sakta hai, ke woh aap dono ka pyar ko samjh paa rahi hai bhi ya nahi..

Karishma look to Santu & asked- aage bolo..

Santu- web series dikha dete hai, tab humein pata chal sakta hai, ke woh kaise react karti hai, woh sab dekhkar..

Karishma shook her head & says- thik hai, toh tum humein naam baata dena hum unnhe baata denge, agar unnhe pasand aaya toh baatane mei humein asani hogi..

Maddamsir: Kabhi Pyar Kabhi Takkrarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें