KPKT 83

1.2K 146 12
                                    

"mujhe laga hi tha tu mujhe yahi par milegi yaara" Rajvir says, while he seat beside Karishma, who seated at dargah, she look him up to once..

Karishma asked him once with stern face- kya kar raha hai tu yaha par..

Rajvir- tera yaar hun yaha par, toh ab jaada bolne ki koshish mat karo, aur kya baat hai yeh bolo..

Karishma stay quite, & Rajvir says- yaara chup rehne se kuch nahi hoga, tu bolegi, kya baat huyi hai..

Karishma look other side for a moment & she turned to him & narrate him each & every thing, after she done he says- tu galat hai iss baar..

Karishma surprise by his words & she says- Rajvir tu yeh bol raha hai..

Rajvir says with firm tone- jo bol raha hun sach bol raha hun, rishta tum doono ka tha, aur faisla tumne kiya hai, unnki zindagi ka, tum sirf pyar karti ho madamsir se, tum unnki zindagi ka faisla nahi kar sakti, tum doono ne milkar rishta banaya tha na, jab rishta banaya tha, tab tune yaa unnhone gharwalon ke baare mei socha tha, & he wait for Karishma's answer, she didn't says a word..

Rajvir continue- nahi socha tha na, phir kal unnki ammi bimar thi, mai manta hun, mai poori tarah se manta hun, ke unnki jaan khatre mei thi, lekin unnki baat manna ya nahi manna, usska poora adhikar sirf sur sirf madamsir ka hai, phir tumne kaise woh adhikar aapne naam kiya, tum hi bolti ho na, pyar ek aisi baat hai, jis par samne wale ko jitna hum khula chodenge, uthna hi rishta gehra hota hai, usske faisle usse khud le dene chahiye, humein bas usska saath dena hota hai, phir tum hi kaise woh baat bhul gayi, tu agar soch rahi hai, tu sahi hai, toh sirf teri nazar se, humari taraf se nahi..

Karishma asked him with confusion- humari, matlab..

Rajvir- humari mei Santu, Cheetah aur Pushpa ji bhi hai, samjh rahi hai..

Karishma sigh & says- matlab hum galat hai..

Rajvir- haan hai tu galat, hum sab ki nazar mei, bas, agar ho sake toh iss baat ko rokne ki koshish kar, warna tu khud ke haath se madamsir ke mann mei jo pyar ki bhavna hai na, usse maar degi, woh toh khush nahi rahngi, lekin unnko dukhi dekhkar tu sab se jaada khud ko doshi maanegi, tu humesha madamsir ko jazbaati bolti hai, lekin tu jazbaaton mei beh gayi hai..

Karishma- dekhe, hum humari jagah par sahi hai, tu humara dimag mat khaa, warna..

Rajvir cut her mid & says- baat toh tujhe samjh aayi hai, lekin tujhe phir bhi aapni baat par aade rehna hai, reh le, mai nikalta hun, & he left the place..

Karishma says with herself- hum humari jagah par sahi hai, ammi ko kuch ho jaata toh madamsir khud ko kabhi maaf nahi kar paati, hum maante hai, hum doono pyar karte hai ekdusre se, lekin jaan se badhkar toh nahi hai na, agar uss waqt hum nahi bolte toh, shayad ammi aur bhi jaada sochti aur baat sambhal ne ki jagah bigad jaati, aur corny aane se pehle doctor ne kahi baat ko hum jhutla bhi toh nahi sakte the..

Some hours ago:

Karishma- doctor aami kaisi hai..

Doctor- BP shoot ki wajah se unnki yeh halat huyi hai, humein pichle hafte hi unnhe kaha tha, ke woh jaada tension naa le, lekin koi sudhar hi nahi, aur dekhiye aaj woh iss halat mei hospital mei hai, mai toh aasha karta hun ke yeh heartache naa ho, agar aisa hua toh unnki sehet ke liye bilkul accha nahi hoga, agar sidhi bhash mei kaha jaaye toh unnki jaan ko khatra hai, iss umar mei operation karna bhi thik nahi hoga, ab saari baat report par depend karti hai, agar unnhe heartache nahi hoga toh baat acchi nahi toh aapko hi unnki tension ka nivaran karna hoga..

Karishma shook her head in understand way & says- dhaynwad doctor..

Present:

Karishma continue talking with herself- corny ko baat baatana chahte the, lekin unnke halat uss waqt thik nahi the, aur sab kuch galat waqt pe ho raha tha, aur tch, kiu humare saath hi sab kuch ho raha hai, ek thik hone jaa hi raha hota hai, ke dusra khada ho jaata hai..

In cabin of Haseena, Haseena lost in her & Karishma's thoughts, & Pushpa ji enters into cabin, & she disturbed Haseena..

Haseena coming out from her thoughts & says- kya baat hai Pushpa ji..

Pushpa ji says with pleading tone- madamsir kuch waqt ke liye kya aap sirf Haseena malik aur hum Pushpa singh ho jaate hai..

Haseena shook her head lightly with gesture go ahead, & Pushpa ji says- madamsir bas ek baar Karishma ji baat kijiye, jarur koi na koi baat hogi usse woh aapse kehna chahti hogi, aap ek baar unnse baat toh kariye..

Haseena shook her head in negative way & says- Pushpa ji waqt haath se chuth gaya hai, aur abhi iss mamale mei hum kuch nahi kar sakte, unnhe woh ek pal humein diya tha, jis mei woh ammi ko bol sake ke, woh humse, lekin unnhone woh ek chota sa pal bhi gavah diya..

Pushpa ji- madamsir hum unnke councillor reh chuke hai, woh nahi kar paati hai, aapne dil ki baat, usse waqt dena padta hai humein, aapko hi baat ko samjhna chahiye, woh bhale hi sab ko aapna bhokal wala chehra dikhti hai, lekin aap unnko hum se bhi jaada pehchan ne lagi hai, woh pariwar se dur rahi hai bahot saalon ke liye, aur woh jaanti hai, agar maa-baap paas na ho toh kya dard hota hai, iss liye ek taraf se woh sahi bhi hai..

Haseena- Pushpa ji hum maante hai, woh sahi hai, lekin humari zindagi ka faisla woh kaise kar sakti hai, hum doono ka rishta, usski buniyad bhi toh hum doono ki raazamandi se huyi thi, naa humien unn par aapna pyar thopa tha, aur naa unnhone hum par, hum doono ne milkar woh waqt bhi khud ko diya tha, Pushpa ji hum khud chahte the, ammi ko, amma ko aur uncle ko, hum doono ke rishte ke baare mei pata hona chahiye, lekin unnhe waqt chahiye tha, humein rok kar rakha tha, phir unnhone kaise humari shaadi ka faisla, bina humse puche le liya, unnhe pata hai, hum unnse pyar karte hai, aur hum unnke saath rehna chahte hai, phir kiu unnhone woh sab, Pushpa ji ab baat koi bhi hogi na toh bhi yeh baat sulaj nahi sakti..

Pushpa ji understand the Haseena's words & she left the cabin..

At Badnaam tea stall, Cheetah, Rajvir & Pushpa ji having their tea..

Rajvir says- kuch toh karna hoga Pushpa ji..

Santu- hum kar bhi kya sakte hai Rajvir, Karishma madam ne aapna muh pher liya hai, aur yaha par madamsir ne, ek bhi koi aapni baat chodne ke liye tyar nahi hai..

Cheetah quickly says- ek kaam ho sakta hai..

Pushpa ji look him & says- bolo jaldi, waqt bahot jaada kum hai, bas aaj ka din aur kal ka din hi hai..

Cheetah- madamsir aur Karishma madam ko ek kamre mei band kar de toh..

Rajvir, Pushpa ji & Santu look to Cheetah with helpless face, & Rajvir says- abhi mujhe samjh aaya, tumhare guruji ne kiu tumhe poore jeevan bhar bhramchari rahne kaha hai..

Cheetah gives him confused look, & Pushpa ji says- madamsir aur Karishma madam ek hi ghar mei rehti hai, pata nahi hai kya..

Cheetah says with soft tone- bhul gaya, & again everyone gets busy with the thoughts..

Evening, Haseena back to house, & she look Karishma present in the house, she not says a word & directly entered into her room, Karishma waits for Haseena with coffee mug, & Haseena's door again unlock & she coming out from her room with the bag..

Karishma looks that & asked- kaha par jaa rahi hai aap..

Haseena not look to Karishma & says- aapne humari zindagi ka faisla kiya hai, bas usse nibhane jaa rahe hai, & she left the house, before Karishma say anything..

Maddamsir: Kabhi Pyar Kabhi TakkrarWhere stories live. Discover now