Chapter Seventy Two

1.2K 196 9
                                    

"Maami, Ridhi bua bol rahi hai ki two weeks ke baad aap permanently hamare ghar ke member bann jaogi." Ishaan exclaimed, grinning widely at Shehnaaz.

Shehnaaz smiled. "Haan."

Daksh frowned, pushing his twin slightly and cuddled up to his Maami. "Aap toh already humaari family ho na maami?" He asked, confused. "Two weeks baad aisa kya special hoga?"

Shehnaaz sighed, shifting slightly to come face to face with the little boy. "Aapke school mein aap dono ke kitne friends hai?"

The twins frowned thoughtfully. "Bahot saare."

"Aapke best friends hain?"

They both nodded.

"Prateek"

"Karan."

Shehnaaz smiled. "Jab aap dono prateek aur karan se mile the, aap ek dum se best friends bann gaye the?" She asked softly.

The twins' face contorted thoughtfully and they shook their heads.

"Nahi right?"

"Aapko yaad hai, maama ke birthday ke dinn ek party hui thi? Maama, Maami, mumma-papa sab log sundar-sundar kapde pehen ke gaye the?" Shehnaaz asked, in elaboration of her point.

"Jab maama ne aapko ring di thi!" Ishaan exclaimed, his eyes lighting up.

"Aur woh fairytale waali speech bhi di thi!" His bother added, his grin wide!"

Shehnaaz nodded.

"Uss dinn se 2 months pehle hum mile the na? Tab aapke maama aur mein friends bane. Fir maama ke birthday ke dinn, humaari engagement hui, mama ne mujhe best-friend bana dia. Mera promotion ho gaya. Ab, two weeks baad aapke mama aur meri shadi ho jayegi aur hum dono husband aur wife ban jayenge." Shehnaaz explained.

"Phir se ek badi si party hogi, bahot saare log aayenge, bahot saari masti hogi, celebration hoga, hum log dress-up karenge. Aap, mein, mumma, papa, sab! Aur fir aapke maama, mujhe saari duniya ke saamne, apni wife banayenge." She added, smiling widely.

"Samajh gaye?" Samyukta asked, entering the room where the twins and Shehnaaz were sitting.

The twins grinned and nodded.

"Chalo fir, bhaag jao, Ridhi bua ka dimaag khao jaake. Maami busy hai." Samyukta said firmly.

Shehnaaz raised her eyebrow at the younger girl.

"Gaadi ki chaabi--" She produced the keys of Shehnaaz's car. "Lo aur niklo. Beautician ka appointment khatam karo, aur fir apne favorite designer ke studio pahunch jaana, Aashu chachi ko shopping pe jaana hai, toh theme ko dhyaan mein rakhte hue, mujhe laga Ken ke paas hi jaana chahiye."

Shehnaaz nodded. "Thank you for reminding me. Siddharth kahan hai?"

Samyukta frowned, "Papa ke saath the, shaayad pune jaa rahe hain. Dadu-Dadi ko personally invite karne ka bol rahe the. Raj mausa-ji ke parents bhi paas hi mein rehte hain, pune mein toh unko bhi invitation deke aayenge."

***












Forever YoursWhere stories live. Discover now