Seventy Seven

1K 152 12
                                    

Siddharth knocked on the door of his mother's room, "Good morning, Fiza pahunch gayi hai, jaake mil lo."

Rita Maa frowned. "Kaun Fiza?"

Siddharth sighed. "Vidhi Maasi ki choti beti mumma."

Rita chuckled, "I'm messing with you. Tu kahan ja raha hai?"

"Nikiten, Kritika, Ken, Raghav aur Raqesh airport se aa rahe hain, mein security aur sabka dekhne ja raha hoon Nikhil aur Aashi baaki guests ko sambhal rahe hain. Vidhi aur Abha Maasi bhi pahunchne waale hai. Please aap jaake apne age group waale logo ko attend karo." Siddharth said urgently.

"Don't worry, Siddharth."

Siddharth sighed softly. "Mukku kahan hai?"

"Fresh hone gayi hai. Shehnaaz ke paas chali jaayegi baad mein. Teri shaadi hai Siddharth. Tu thoda sa kam kaam karega toh koi maar nahi daalega tujhe." Rita Maa said softly.

"Raat ko party hai. Ek baar saare dost aa jayenge toh mera attention vaise bhi udhar ho jaayega."Siddharth said softly. "Aapki Digwijay uncle se baat hui?"

"Shaadi ki subaah ko pahunche shayad. Orphanage mein kaam rehta hai na, toh mushkil hai." Maa said softly.

Siddharth nodded. "Shehnaaz ka mood kharab hai, jabse pata chala hai orphanage se koi nahi hoga."

Rita Maa clicked her tongue. "It's okay bacche, uske bhai log hain na. Aur mein Digwijay ji se baat ki hai mene. Shaadi par toh at least kucch der ke liye aa jaayenge." She assured her son

Siddharth smiled. "Ishaan aur Daksh ko leke jaana, Fiza ke paas, uski beti bore ho rahi hai apni Maa ke paas baith ke."

"Ay Ay captain."

***
















"Maama!!" Samyukta whined, sitting on the couch and pulling Siddharth to sit next to her. "Vidhi naani itni dramatic kyu hai?"

Siddharth frowned. "Kya ho gaya?"

Samyukta pouted. "Abhi mumma unse baat kar rahi thi toh aapne jo mujhe locket gift kia tha, yaad hai?-- woh dekh kar Vidhi nani ne bola aap mujhe bigaadte ho."

"Tu woh locket idhar kyu pehen rahi hai bacche?" Siddharth asked softly.

"Abhi casual dress hai, so I threw it on. Maami ne bola ki accha lag raha hai. Maami ne bhi papa ka birthday gift waala locket pehna hai subah se. Vidhi maasi ne unko bola tha ki gala khaali nahi rakhe. Raat ko, main outfit ke saath alag jewelry hai." She explained.

"But point woh nahi hai!" She protested. "Merko gifts dete ho toh kya bigaad rahe ho mujhe?"

Siddharth smiled at the younger girl. "Meri jaan, bade log jab koi advice dete hain toh woh galat nahi hoti, magar woh advice unke circumstances se influenced hoti hai. Unhone jis tareeqey ki zindagi dekhi hoti hai unn experiences se influenced hoti hai. Everyone has different circumstances and thus a different life. Agar unka advice accha lage, aapke life mein fit ho, then act on that advice.. nahi ho toh ignore the advice. Besides, you had earned that gift by performing well in your exams, and she didn't know that, right. Mai tujhe sirf appreciate kar raha hoon, bigaad nahi raha." He said softly.

Samyukta chuckled. "Kya diplomatic ho aap."

Siddharth shrugged. "Tujhe koi aur kaam nahi hai?"

"Lunch ke liye bulaane aayi thi aapko. Sab wait kar rahe hain." Samyukta informed him.

"Sab kaun."

"Family. Maami, Naani, Mumma, Papa, Preeti Maasi, Raj Mausa-ji, Kushal bhaiyya." She counted off people on her fingers.

Forever YoursWhere stories live. Discover now