16. Big Little Lies~

764 185 14
                                    

Enjoy reading guys! 🧡🧡
_____________________________

Everyone was trying to contact haseena but her phone was unreachable.

Here Karishma was losing her consciousness and there Haseena was traceless.

"Doctor kya hua h ise?", asked Gauri ma in a worried tone

"Dekhne dijiye mujhe pahle", he said putting others aside.

After probing for a while he said, "inki halat to kaafi kharab hogai hai, baaki ka tests to inke hosh mein aane pr hoga pr filhal ye samjh aaya h ki inhone kaafi dino se theek se khana nhi khaya hai aur din ke ujale mein bhi nhi nikli hai!?"

Both Gauri ma and Fayad could not meet theirs eyes with doctor as they knew that karishma was being punished for nothing.

"Mere khayal mein inhe jitni jaldi ho utni jaldi nature ke saath connect hona chahiye aur saath hi khana aur medicines time pr lena parega, tab hi inki recovery shuru hogi, pr puri tarah se theek hone mein waqt lagega!", he said checking her pulse.

"Ji... ji doctor aap dawaiyan likh dijiye ham dekhbhal kr lenge!", said gauri ma in low voice.

_____________________________

After doctor left and they allowed karishma to take rest, both fayad and gauri ma were waiting in karishma's room, but only after making sure that she is not being disturbed.

"Fayad agar aise hi chalte rha to ye jyada din tak lad nhi payegi khud se...", she murmured while taking a glimpse of unconscious karishma.

"Main samajh rha hu behen, pr haseena mam iske baare mein na kuch sunna chahti h na kuch bolna, aise mein kaise ham madad kr skte hai iski?", he vented out his misery.

"Pr fayad bina kisi gunah ke ham kisi bekasoor ko apni aankhon ke saamne marta nhi dekh skte h!?", she said her point.

"Agar haseena ijajat nhi de rhi to hame uski ijajat ke bagair karishma ki madad krni hogi!", she announced in a determined yet low tone.

"Mtb ham haseena mam ko dhoka denge?", doubtfully asked fayad.

"Dhoka nhj fayad, ek bekasoor ki jaan lene se bachana chahti hu apni haseena ko main... ab tak kisi bekasoor ke khoon se uske haath nhi range hai... aur na aisa hona chahiye, wrna aaj tak sab kuch mitti ke tarah sokhne wali hamari beti, sayad yahan bikhar jaye!", she said being concerned about both karishma and haseena.

"Hmmm.... aap sahi keh rhi h, karishma ne bhale haseena mam ko us raat chhor diya tha, tab bhi uske paas uske saath hui nainsaafi ka karan tha, pr uske baad jo test haseena mam ne karishma ki loyalty ka liya tha, tab bhi wo chahti to chhor skti thi unko, pr tab usne unki jaan bachai thi, khud ki parwah kiye bina!", he said remembering about the mock attack.

"Mujhse jitni madad ho sakegi main karunga, aap sahi hai is baar, sayad indono ki bhalai ke liye is baar ye jhooth hi sahi h!", he said agreeing to Gauri ma's decision.

"Doctor ke hisaab se hame karishma ko wapas logon mein ghulna milana hoga, taaki wo apne aap se bahar aa sake... aur uske khane peene ka dhyan rkhna hoga aur uske dawaiyon ka bhi... ", she recalled what doctor has advised.

"...to main iske khane peene aur dawai ka dhyan rkh lungi, pr fayad villa ke andr isse baat krne wala koi nhi... to kya tum kuch kr skte ho jisse ise wapas yahan rhne ka koi maksad mile?", she asked him with hopeful eyes.

Fayad didn't want to turn down her request, so he thought for a good amount of time and then he said excitedly with a glint in his eyes, hoping his idea would work, "ha... aapko Ebrahim sahab ki pahli deal yaad h?"

CRESCENT SCARS OF LOVE Where stories live. Discover now