Ladki?

15.8K 1.1K 50
                                    

Devendra's Pov -

"Ek kaam diya tha tum logo ko, vo bhi nahi ho paaya tum logo se?" I growled at my men who were assigned for Dadu's security. Their head was bowed down.

"Kya fayda tum logo ko itni training Dene ka Haa, jab tum log se kaam to hota nahi hai."

"Kaha dhyaan tha tum logo ka jab vo harami ne Dadu ke uppar goli chalayi, so rahe the kya sab ki sab?"

"Jab mene phone laga kar pucha tha, tab to tum sabhi ne bola tha ki, ki sir sab kucch control me hai. Ye tha tumhara control." I said angrily to them.

I was trying to control my anger. I know if I lose my control right now, I will end up killing my all man.

"Sorry, sir. Humne sabhi jagah acche se check Kiya tha. Pata nahi ye sab kese ho gaya. Security bahot tight thi. Actual plan ke according Maharana sir ki college me entry 9:30 AM par honi thi. Hum logo ne Maharana sir ke aane ka time 11:30 AM announce kar rakha tha, taaki kisi ko pata naa chale."

"9:30 baje entry hone par bhi Hamla hua. Matlab kisi ko humare plan ke baare me pata tha." One of my man Rony says to me.

"Lekin sir is plan ke baare me humare aur aapke alawa kisi ko nahi pata tha, fir asa kese ho sakta hai." My other man Selv said looking at me.

"Kyonki vo hum me se hi koi tha, jisne un Haramiyo ki help kari Attack karne me." A voice came from behind.

I turned my head. "Bhai." Samar came inside my office and nodded his head in front of me as a respect. I nodded my head to him too.

I'm a person with anger issues and at the other hand Samar is a person who is calm. He handle every situation with calmness. I roar in anger, and he always helps me to calm down my anger.

"Bhai, humne total 6 log bheje the car me Dadu ke sath security ke liye. Aur 1 car or bheji thi jisme 4 log the. Lekin dusri car me jo the unhe mene chhupe rehne ka order diya tha. Unhe kaha tha ki agar kucch gadbad hoti hai tabhi vo bahar nikle."

"Total 10 log Gaye the. Unme se sirf 4 wapas aaye hai sahi sala mat. Dadu ke sath jo 6 log the unme se 2 injured hai, hospital me hai. Or vo 4 log jinko chupp kar rehne ka bola tha, unme se 2 ki dead body mili hai car me. Baaki ke 2 gayab hai." Samar said to me.

I closed my eyes realising, fir se hume humare hi aadmiyo ne dhokha diya hai.

"Kya naam tha un dono ka?" I asked to Samar.

"Rocky and Tejas." Samar replied me. I opened my eyes and looked at Samar, He nodded his head knowing what he has to do now.

"CCTV footage check Kari vaha ki?" I asked Samar again. "Haa bhai check karne ki koshish kari, lekin vha ke saare cameras pehle se hi khraab nikle. Isliye vo ladki ke baare me bhi pata nahi laga paaye hum." Samar replied.

I snapped my eyes towards him. "Ladki?" I asked.

"Haa bhai, Humare aadmiyo ne btaya ki Dadu ki jaan ek ladki ne bachayi hai. Jese hi goli chalne wali thi, vo pata nahi ek dum kaha se aayi, or usne Dadu ko bacha liya. But jese hi police phochi vaha par, vo ek dum achanak se gayab ho gayi." Samar said to me.

"Thik hai. Vo jo koi bhi hai pata lagao uske baare me. Lekin usse pehle uske baare me pata lagao jisne Dadu par hamla karne ki koshish ki hai." I said to him. Samar and all my security man nodded their heads.

"And apart from that, Maa Papa ki jo 30th wedding anniversary ka program hai, usme security or tight kardo. Bina invitation card dikhaye, Bina id card dekhe or bina security checking ke kisi ko andar nhi aane Dena. Kisi bhi insaan par Shaq ho usse turant vahi rok dena." I said to all my man. "Ji sir". They all replied and left from my office.

"Bhai, aapko lagta hai ki asi situation me party rakhna sahi rahega?" Samar asked me.

"Cards Jaa chuke hai, sabhi ko invitation mil chuka hai. Party to hume karni hi hogi. Or dusri baat ye ki jisne Dadu par hamla kiya un kutto ki wajah se me, Maa-papa ki 30th wedding anniversary khraab nahi karna chaahta."

"Or dusri baat ye ki agar humne party humari Rajvansh Haveli me rakhi hoti, tab jyada tension hota. Party humne humare "Riyasat mansion" me rakhi hai. Jiske baare me jyada log jaante bhi nahi hai or party me invite bhi bas most trusted logo ko hi Kiya gaya hai. To itni tension ki baat nahi hai. Lekin fir bhi security ka dhyaan hume rakhna hoga." I replied to him.

"Ji Bhai." Samar nodded his head and left from my office.

*****

Meanwhile in the Rajvansh Haveli -

Devendra entered in the Haveli and heard his Choti maa's voice. "Bhabhi aapne suna ki nhi, Papa ji ki jaan ek ladki ne bachayi hai. Vo ladki ne ek dum se aakar papa ji haath pkda or unhe car ke piche chupa liya. Jisse unhe goli lagne se bachh gayi. Shalini said.

"Haa Ashok ji ne btaya mujhe. May gold bless the girl. Kha milte hai ase acche log aaj kal ke time." Devendra heared his mother Sharda's voice.

His mind automatically went to "That girl". After Samar told him "A girl" saved his Dadu. Her thoughts was not leaving his mind. But he didn't understood one thing, why did she left without informing anyone? Why she ran away from there?"

"Devendra tu aagya beta" He snapped out of his thoughts after hearing his mother voice.

"Ji maa". He replied to his mother coming towards her. "Beta Kashish ko phone laga kar dekh to ek baar, agar vo aa paaye to function me." Sharda asked his son.

"Maa, uske exam hai, abhi 2 din pehle hi mana kiya tha na usne ki vo nahi aa paayegi. Aap baar baar bologe to usko accha nahi lgega. Vo bhi sabhi logo ko Miss kar rahi hogi vaha. Ase baar baar bologe to vo exam par concentrate nahi kar payegi." Devendra replied to her.

"Haa Bhabhi, Chiku sahi keh raha hai. Kashi ko exam par focus karne de. Party ka kya hai vo to firse kar lenge hum. Kyo Chiku?". Shalini said looking at Devendra.

"For good sake, choti maa, mera naam Chiku nahi hai. Kitni baar bola hai mujhe Chiku na bulaye. Bada ho gya hu me." Devendra replied to his choti maa.

"Tu kitna bhi bada ho jaaye, lekin mere liye to tu mera Chiku hi hai. Aaj bhi yaad hai mujhe jab me is ghar me shaadi kar ke aayi thi, to tu kese bhaagte hue mere pass aaya tha, or meri godi me aakar beth gaya tha."

"Aaj bhi yaad hai mujhe kese tu sirf meri godi me aakr hi chup hota tha, sirf mere hath se hi khana khata tha. Isliye mere bacche, tu kitna bhi bada ho jaaye lekin mere liye to tu mera Chiku hi hai." Shalini said to him kissing his forehead.

"Aur me? Me to vese bhi aapka kucch hu hi nahi. Jo bhi hai bas Bhai hi hai. Mera to koi hai hi nhi yaha." Samar said coming towards them. He started his fake acting of crying. "Jo bhi hai bas Badi maa hi hai." Samar said while hugging Sharda.

"Haa mera baccha, tu to mere jigar ka tukda." Sharda says while hugging back to Samar.

"Oyeeee! Ye thoda over acting karna naa kam karde." Shalini said while twisting Samar's right ear.

"Aaa-aaa, Maa dukh Raha hai." Samar pleaded his mother. "Dukhega hi beta, teko to abhi batati hu me." Shalini replied while picking her slipper from her left leg.

"Oyeeee mata ji", Samar said and started running from there. Shalini also started running behind him. Sharda was laughing seeing Shalini and Samar like this and Devendra he was just looking at them.

He was not smiling. Nobody ever saw him smiling after the death of his Younger brother Mrityunjay. But still there was a look of happiness on his face looking at his family.

___________________________________

Let me know you guys are liking the story or not. Please don't forget to vote and comment :)

Loving HIM UnconditionallyWhere stories live. Discover now