Meeting HIS family

14.2K 1K 56
                                    

Devyani's pov -

I opened my eyes and saw my mum-dad and some other people in the room. Maharana sir, one uncle who look like my father's age, two ladies and a guy were in the room except for my mum-dad.

They were busy in their conversation. "Ashok Ji, Bhagwan ka bhala ho. Devyani yaha par hai. Hum to usko lekar kaafi Darr Gaye the, kabse uska phone bhi try kar rhe the lag hi nhi Raha tha." I heard my father's voice.

"Haa bhaisahab, aap sabhi ka bhot bhot shukriya humari beti ka dhyaan rakhe ke liye." My mum said.

"Are shukriya to hume aap ki beti ka karna chahiye Bhabhji, aapki beti Devyani humari beti ko Ghar lekar aayi hai. To shukriya hume bolna chahiye." Ashok uncle said.

"Mum". I said. And they all turned towards me. "Chiku, beta tu thik to hai na?" My mum asked coming towards me. "Haa mum, me thik hoon". I replied while holding her hand.

"Yogendra beta, Amrita beta, meri aap logo se ek request hai, ab aap log yaha aa hi Gaye hai to yahi ruk jaiye humari haveli me. Vese bhi shaam ko aap logo ko function me aana hi hai, to yhi se humare sath chale chaliyega function me."

Ohhh, to aaj hum shaam ko Rajvansh Haveli hi aane wale the. Hum inhi logo ki anniversary party attend karne aaye hai Rajasthan. What a coincidence.

"Devyani beta ne 2 baar humari family ki help kari hai, to hume bhi aap log apni seva karne ka moka de." Maharana sir said to my mum-dad.

"2 baar?" My dad asked looking at me. "H-haa, v-vo,vo papa, actually Maharana sir mujhe pehle ek baar mile chuke hai, t-tabb, tt-a-ab naa u-unka, wallet road par gir gaya tha. To mene unhe vo uthakar diya tha." I said to my dad while looking at Maharana sir, trying to convince him to not tell my mum-dad anything.

"Ohh, accha. Thik hai." My dad said. "Yogendra ji, Bauji sahi keh rahe hai, aap log yahi ruk jaaye. Infact me to kehta hu ki jitne din bhi aap log Rajsthan me hai, aap log yahi ruke."

"Aap humare sheher me hai, to hume bhi thodi khaatir daari karne ka moka de. Aur vese bhi hum dono acche business partners to hai hi. To free time me business se related kucch baatein bhi ho jayegi." Ashok uncle said to my dad.

My dad looked towards my mum, my mum looked towards me. "Aap dono meri taraf kyo dekh rahe hai. Mujhe nahi pata, jesa aap logo ko sahi Lage vo kare." I said shrugging my shoulders. My dad smiled at me.

"Thai hai, Ashok ji." My dad replied. "Chalo badiya hai, Ramdin jaakar mehmaano ke rukne ka intejaam kare." Ashok uncle said to one of his servants.

"Chaliye me aap logo ko, aapka room bta deta hu. Aap log bhi thak gaye honge." Ashok uncle said to my mum-dad.

"Beta tum is room me comfortable ho ya fir tumhe dusra room chahiye." Ashok uncle asked me. "Me yaha comfortable hu uncle, dusre room ki koi jarurat nahi. Mum-papa aap dono bhi jaakar rest kar lijiye. Me thik hu" I said. They nodded and left from there with Ashok uncle.

I took a sigh of relief closing my eyes. I opened my eyes and looked to my left and got startled for a second. Maharana sir, two ladies and that one guy were still in my room. I forgot that they are still here.

"Hh-Hii". I waved my right hand in front of them like a child. "Tumne tumhare papa se jhuth kyo bola beti?" Maharana sir asked me. I already knew he was going to ask me that question.

"Sir, vo actually." "Dadaji". "Huhhh?" I asked. "Dadaji, you can call me Dadaji or dadu, no need to call me Sir. Mere sabhi bacche mujhe Dadu bolte hai, tum bhi bol sakti ho." Maharana sir said.

I smiled and nodded. "Dadaji, actually me nahi chaahti ki mere mummy papa ko us din ke incident ke baare me pata chale. Kyonki unhone mujhe bacchpan se kaafi pyaar se rakha hai. Mujhe jara si bhi chot lag jaati thi to meri mummy bhot darr jaati thi. Agar unhe itni badi baat pata lagi ki mene aapko goli lagne se bachaya, jisme mujhe khud bhi goli lag sakti thi. To vo dono kaafi tension me aa jaate."

"Abhi mujhe kucch din baad meri job karne ke liye out of city jaana padega. Agar ye baat unhe pata chal jayegi, to humesha ye baat unke mind me reh jayegi, ki me bahar hu, kahi mujhe kucch ho gaya to. Isliye mene unse ye baat chupaayi."

"Me bas unhe meri wajah se tension me nahi dekhna chahti, isliye mene vo baat chupane ke liye jhuth bola papa se," I replied to Dadaji.

He smiled and came towards me and said "Shaabash beta. Aaj kal ke time me, kaafi kam bacche milte hai, jo apne mummy papa ke baare me itna sochte hai." "Thank-you Dadaji". I said to him.

"Accha mere baaki parivaar walo se to mil le, ye hai meri dono Bahuye. Sharda and Shalini." Dadaji said to me. "Namaste, I said to both of them." They both nodded and smiled at me.

"Or ye Mera Pota, Samar." He said pointing his finger towards the guy. "Hello". I said to him and waved my hand. He nodded his head.

"Ashok se to tu mil Li abhi, Baaki ke logo se party me mil Lena, thik hai?" He asked. "Ji Dadu." I replied to him. He nodded and left from there with his grandson Samar.

"Beta tumhe bhuk lagi hogi na? Me kucch khaane ko lekar aati hu." Shalini aunty said. "Nahi, nahi aunty, me bilkul thik hu. Aap pareshaan naa hoye." I said to her. They both came and sat on the bed beside me.

"Kashish, kesi hai abhi?" I asked them. "Vo bilkul thik hai, so Rahi hai. Accha hua vo tumhe mili aur tum usse le aayi. Nahi to pata nhi kya hota meri bacchi ka". Sharda aunty said.

"Kucch bhi nahi hota Sharda aunty, acche logo ke sath, accha hi hota hai. Chaliye aaj aapki 30th wedding anniversary hai na. Aise sad naa hoye." I said to her and tried to cheer her up.

"Haa Bhabhi, thodi der me taiyaar hone jaana hai. Abhi ye aise roo kar apni aankhein laal naa kare." Shalini aunty said to Sharda aunty.

"Laal se yaad aaya, vo insaan kon tha jisne mere uppar vo sindoor ki thali gira di? Dekhe jara kya halat ho gayi hai meri. Ye laal sindoor nikalne ka naam hi nahi le Raha hai, especially mere sir me se."

"Dekhe aap log, mere hair partition wali jagah par kitna red red ho rakha hai. Asa lag raha hai ki jese mene vaha se hairs red colour me highlight karwa rakhe hai."

Sharda and Shalini aunty both looked at my hair and then looked at each other. They both didn't say anything.

"Kya Hua? Btayee na kon tha vo jisne mere uppar Sindoor ki thali girayi thi? Jese uski wajah se me ye Laal bandariya ban kar ghum Rahi hu na, usse bhi Laal bandar bana kar ghumaungi." I said to them.

They both started laughing. "Bhabhi, mast joke tha na." Shalini aunty said while laughing. "Arehhhh, kya joke. Me seriously bol rahi hu, aap bas uss insaan ka naam bata de. Fir dekhe mene bhi usse Laal bandar naa bnaya to Mera naam bhi Devyani nhi. Aap btaiye kon hai vo, kya naam hai uska?"

"Devendra".

_______________________________________

Let me know how you guys liked it.

Don't forget to vote and comment :)

Loving HIM UnconditionallyWhere stories live. Discover now